Summary
Bakra Eid Ki Tareekh | 10th Dhul Hijjah, 29 June 2023, Thursday (Pak, India, Bangladesh) |
Qurbani Ka Waqt | 10th Zil Hajj Namaz e Eid k baad se 12th Zil Hajj maghrib se pehle tak kisi bhi waqt |
Qurbani Ke Janwar Ki Iqsam | Gae, Bakra, aur Oont aur inke qabeel ke tamam janwar |
Qurbani Ki Niyat | إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ، إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ |
Qurbani Karte Waqt Ki Dua | ,اللّٰهُمَّ مِنْكَ وَ لَكَ بِسْمِ اللِّٰه اللّٰهُ أَكْبَر |
Zibah Ke Baad Dua | “اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْهُ مِنِّيْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ وَّ خَلِيْلِكَ إبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِمَا السَّلَام” |
Qurbani Farz ya Wajib? | Wajib |
Eid ul azha jisko aam zaban main Bakrid ya Bakra Eid bhi kehtay hain, Muslamano ki dusri bari Eid hai jo har saal Hajj ke foran baad ati hai. Is din sari dunya ke musalman Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki sunnat ko zinda karte hain aur Allah SWT ke huzoor qurbani pesh karte hain.
Lekin qurbani ka sunnat tarika kya hai, janwar kesa hona chahye, niyat aur dua kya karain, aur qurbani ka gosht kese taqseem karain?
In sab sawalat ke jawab apko is guide main mil jaengay insha Allah.
Is ko khud bhi ghor se parhay aur apne dosto ke sath bhi share karain takay woh bhi sahi tareeqay se qurbani kar sakay.
Table of Contents
- Bakrid Ki Qurbani Kya Hai?
- Qurbani Ki Dua, Tarika, Rules, Aur Sharait
- Qurbani Ki Dua (Niyat)
- Zibah Ka Tareeqa
- Qurbani Zibah Karne Ke Baad Ki Dua
- Qurbani Ke Janwar Ki Khaal Ka Hukm
- Qurbani Ka Gosht Taqseem Karne Ka Tarika
- Kya Qurbani Farz Hai Ya Wajib?
- Qurbani Ka Waqia, Kahani Aur History
- Qurbani Ki Fazilat In Quran o Hadith
- Qurbani Ke Fayde Is Dunay Main
Bakrid Ki Qurbani Kya Hai?
Bakra Eid (Bakrid) Islam ki dusri Eid hai jis main maaldar Musalman apne rab ke huzoor janwar ki qurbani pesh karte hain. Ye har Islami saal main Ashra e Dhul Hijjah ke aakhri din yani 10th Dhul Hijjah ko ati hai aur teen din chalti hai. Yani 10, 11, aur 12 Zil Hajj Eid ul Azha ya Bakra Eid ke din hotay hain.
In teeno dino main Musalman Hazrat Ibrahim A.S ki sunnat ko zinda karte huay apne apne janwar ki qurbani karte hain.
Is qurbani se na sirf musalmano main Allah ki raah main apna jaan o maal kharch karne ka jazba peda hota hai balke iske zarye lakho ghareeb o miskeen logo ko gosht khanay ko milta hai.
Bakrid ki bunyad Allah ke mehnoob nabi Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki us qurbani par hai jab unho ne Allah ke hukm par apne betay Hazrat Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko qurban kardia. Allah ne unki qurbani qubool karte huay Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki jaga jannat se aik mendha bhej dia aur Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko kuch na hua.
Qurbani ka bunyadi falsafa hi ye hai ke jab Allah ka hukum ajae to Musalman apna jaan o maal Allah ki raah main kharch karne se daraigh na karay.
Bayan: Qurbani ka asal pegham kya hai? Speaker: Mufti Taqi Usmani Sahab Db |
Bakra Eid Ki Date Kis Din Hai?
Is saal Pakistan, India, aur Bangladesh main Eid ul Azha (Bakrid) 29 June 2023 Thursday ke din expected hai. Saudi Arab aur UAE main Bakra Eid 28th June, Wednesday ko hogi.
Qurbani Ki Dua, Tarika, Rules, Aur Sharait
Sunnat ke mutabiq qurbani karne se Qurbani ka sawab barh jata hai aur janwar ko takleef bhi kam se kam hoti hai.
Ayye qurbani ka tareeqa sekhte hain.
Qurbani Ka Janwar Kaisa Hona Chahiye
Sab se pehle samjhay ke kis janwar ki qurbani ho sakti hai.
Shariat main Gae/Bail, Bakra/Bakri, ya Oont/Oontni ki qurbani ki ja sakti hai. Jo janwar in janwaro ke qabeel se hain unki qurbani bhi jaiz hai.
Maslan, Bhair ya dumba bakray ke qabeel se hai, isi tarha bhens gae ke qabeel se hai. In sab ki qurbani jaiz hai.
Bakra, Gae, ya jo bhi janwar qurbani ke liye lain woh sehat mand aur bay aayb hona chahye. Bay aayb ka matlab ke janwar mazoor ya zakhmi na ho. Apni istita’at main rehtay huay darmiyana darjay ka janwar lena chahye.
Qurbani Janwar Kay Aib Daar Honay Ke Ahkaam
Qurbani ka janwar aib daar nahi hona chahye yani us main koi wazay nuqs na ho, woh lula langra, kana na ho, zakhmi na ho.
Lekin is main thori tafseel hai jo ap neechay diye gae image main parh saktay hain.
Qurbani Kay Janwar Main Kitne Hissay Hain
Qurbani ke janwaro main Gae, Oont aur unke qabeel ke janwaro main 7 hissay hotay hain. Yani 7 log mil kar aik gae ya oont ki qurbani kar sakte hain.
Jabke Bakra aur Dumba main aik hi hissa hota hai is liye ye sirf aik shakh ki taraf se qurbani hogi.
Qurbani Ke Janwar Ki Umar
Qurbani ke janwar aik khaas umar ke ho tab ho tabhi unki qurbani sahi hogi. Is main tafseel ye hai
- Bakra/Bakri: kam az kam 1 saal
- Gae/Bail: Kam az kam 2 saal
- Oont/Oontni: Kam az Kam 5 saal
Tafseel ke liye fatwa mulahiza farmae: Qurbani ke janwar ki umar
Qurbani Ka Waqt Aur Time Limit
Qurbani ka waqt Eid al azha ke teen din tak rehta hai. Yani 10, 11 aur 12 Zil Hajj ko qurbani ki jasakti hai.
Sab se afzal Eid ul azha ke pehle din yani 10 zil hajj ko qurbani karna hai. Uske baad 11 Zil Hajj, aur uske baad 12 Zil Hajj.
Qurbani ka waqt Eid ke pehle din 10 Zil Hajj ko Bakra Eid ki Namaz ke foran baad se lay kar Eid ke teesray din yani 12 Zil Hajj ki Maghrib se pehle tak hai.
Is doran kisi bhi waqt qurbani ki ja sakti hai.
Agar roshni ka sahi intizam ho to raat ke waqt bhi qurbani ki ja sakti hai (Lekin 12 Zil Hajj ki maghrib se pehle pehle).
Tafseel ke liye Fatwa: Qurbani ka Waqt
Qurbani Ki Dua (Niyat)
Jab janwar ko qurbani ke liye laae to Qibla rukh lita dain is tarha ke woh baaya (left) karwat par ho.
Phir ye dua parhna behtar hai
Arabic:
إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَّمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ،
إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Transliteration:
Inni Wajjahtu Wajhiya Lillazi Fataras Samawati Wal Arza Haneefan Wama Ana Minal Mushrikeen. Inaa Sawlaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil Aalameen
Urdu/Hindi/Roman Translation
Main apna rukh Uski (yani Allah) Taraf Karta Hu Jis Ne Aasmano Ko Aur Zameen Ko Paida Kiya Sab Se Yaksu Ho Kar Aur Main Shirk Karne Walo Main Se Nahi Hu
“Farma dijay ke bay shak meri Namaz, aur Mera Hajj, aur Qurbani (samait tamam bandagi) Aur Meri Zindagi Aur Meri Maut Allah Ke Liye Hai, Jo Tamam Jahano Ka Rab Hai”
Zibah Ka Tareeqa
Niyat ke baad Seedhay hath main churi pakar kar kahain
اللّٰهُمَّ مِنْكَ وَ لَكَ
Transliteration:
Allahumma Minka Wa Laka
Mafhoom:
Aay Allah Ye Qurbani Aapki Taraf Se Hai Aur Ap Hi Ki Riza Ke Liye Hai
Phir kahain
بِسْمِ اللِّٰه اللّٰهُ أَكْبَر
Transliteration:
Bismillahi Allahu Akbar
Mafhoom:
Allah Ke Naam Se Zibah Karta Hu, Allah Sab Se Bara Hai
Ye keh kar janwar ke galay par is tarha se taiz dar churi pheray kay Sans ki nali aur uske atraf ki ragay kat jae jesa ke is tasweer main dikhaya gya hai
Lekin puri gardan kaat kar alag na karay. Isi tarha, zibah kartay hi janwar ka seena chaak karke uske dil pe churi na maray kyu ke is se janwar ko aziyat hoti hai aur najis khoon puri tarha nahi nikalta.
Qurbani Zibah Karne Ke Baad Ki Dua
Qurbani ka janwar zibah karne ke baad ye dua parhay
“اَللّٰهُمَّ تَقَبَّلْهُ مِنِّيْ كَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ وَّ خَلِيْلِكَ إبْرَاهِيْمَ عَلَيْهِمَا السَّلَام”
Transliteration:
Allahumma Taqabbalhu Minni Kama Taqabbalta Min Habeebika Muhammad Wa Khaleelika Ibrahim Alaimassalam
Mafhoom:
Aay Allah is qurbani ko meri taraf se qubool farma (kisi aur ki taraf se karain to uska naam lain) jaise tu ne Apne Habib ﷺ aur Apne Khalil Ibrahim علیہ السلام Ki Taraf Se Qubool Farmaee.
Is ke baad janwar ke thanda honay ka intizar karain aur jab tak puri tarha se jaan na nikal jae khaal hargiz na utarain.
Qurbani Ke Janwar Ki Khaal Ka Hukm
Qurbani ki khaal qurbani karne wala teen tarha se istemal kar sakta hai
- Khud apne istemal main le aae
- Kisi ko hadya kar day
- Ghareeb ya miskeen ko day
Lekin agar Qurbani ki khaal ko farokht (sell) kardia to phir uski qeemat kisi mustahiq e zakat miskeen ko dena wajib hai.
Tafseel ke liye fatwa mulahiza farmae: Qurbani ki Khaal
Qurbani Ka Gosht Taqseem Karne Ka Tarika
Qurbani ka gosht halal aur tayyab rizq hai jisko qurbani karne wala apni marzi ke mutabiq istemaal kar sakta hai.
- Chahay to sab khud rakh lay
- Sab kisi miskeen ko day day
- Sab rishtedaro ko hadya kar day
Lekin behtar hai kay qurbani kay gosht ke teen hissay karliye jae.
- Aik hissa ghareeb miskeen aur zarurat mando ko pohncha day
- Aik hissa rishtedaro main taqseem karday
- Aur aik hissa khud apne istemal ke liye rakh lay.
ٰQurbani ka gosht deen ki dawat ki niyat se ghair muslim zarurat mando ko bhi diya ja sakta hai. Lekibn zarurat mand musalmano ko dena ziada afzal hai.
Kya Qurbani Farz Hai Ya Wajib?
Qurbani Sunnat e Ibrahimi hai lekin iska Hukm Wajib ka hai. Yani har woh Musalman mard aur aurat jis kay paas Qurbani ke nisab ke barabar maal ho us par wajib hai ke woh qurbani karay.
Qurbani Ka Nisab | Qurbani Kis Par Wajib Hai?
Qurbani ka nisab boht asan hai.
Jis bhi Aaqil Baligh Musalman mard ya aurat ke paas, qurbani ke dino main uski zatti milkiyat main, qarz hata kar, 7.5 Tola Gold ho us par qurbani wajib hai.
Agar gold na ho lekin mandarja zail cheezo main se aik ya aik se ziyada ho jinko total qeemat 52.5 Tola Silver (Chandi) ki qeemat ke barabar ho to aisay shakhs par bhi qurbani wajib hogi.
Woh cheezay ye hain.
- Gold (sona)
- Silver (chandi)
- Naqad cash
- Maal e Tijarat (business inventory ya phir aisa maal jis se kiraya ata ho)
- Roz marra ki zarurat se ziada ghar ka saman
Agar in sab cheezo ki value mila kar 52.5 Tola Chandi ki qeemat ke barabar banay to Qurbani wajib ho jaega.
Agar kisi shakh ki zatti milkiyat main qarz hata kar itna maal banta hai to Qurbani karni hogi. Aur Qurbani ke liye Maal par saal guzarna bhi shart nahi. Yani agar qurbani se aik din pehle bhi itna maal agya to Qurbani karna wajib hogi.
Tafseel ke liye Fatwa mulahiza farmae: Qurbani Ka Nisab
Qarz ki surat main Qurbani ka masla: Maqrooz par qurbani
Sab Ghar Walo Ki Taraf Se Aik Qurbani Ya Alag Alag?
Aik masla ye samajh lain kay qurbani har maaldaar mard o aurat par alag alag wajib hai. Yani agar ghar main 7 log maal daar, aaqil, baaligh mojud hain to sab apne maal se alag alag qurbani karengay.
Ye nahi ho sakta kay sab logo ki taraf se aik bakra qurban kardia jae. Is tarha sabki qurbani ada nahi hogi.
Qurbani Ka Waqia, Kahani Aur History
Abhi hum ne Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki qurbani ka zikr kia tha. Ayye apko qurbani aur Bakrid ki history thori detail main batae.
Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Allah ke boht mehboob Nabi thay jinko Allah Taala ne tarha tarha se azmaya.
Lekin unki sab se bari azmaish us waqt aee jab unho ne khwaab dekha ke woh apne betay Hazrat Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko zibah kar rahay hain.
Nabi ka khwaab bhi wahi hota hai yani Allah ki taraf se hukm tha ke Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko qurban kardo.
Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ nabi to thay lekin baap bhi thay. Sochay kitna mushkil faisla hoga unke liye.
Lekin unho ne Allah ke hukm ko agay rakha aur apne betay Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko is kaam ke liye raazi kia. Quran isko yu bayan karta hai.
فَلَمَّا بَلَغَ مَعَهُ ٱلسَّعْىَ قَالَ يَـٰبُنَىَّ إِنِّىٓ أَرَىٰ فِى ٱلْمَنَامِ أَنِّىٓ أَذْبَحُكَ فَٱنظُرْ مَاذَا تَرَىٰ ۚ قَالَ يَـٰٓأَبَتِ ٱفْعَلْ مَا تُؤْمَرُ ۖ سَتَجِدُنِىٓ إِن شَآءَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلصَّـٰبِرِينَ
Mafhoom: To jab woh (Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) unke (yani Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) sath dorne ki umar ko pohncha to Ibrahim ne kaha ke beta main khwaab main dekhta hu ke (goya) tumko zibah kar raha hu. Tum batao tumahara kya kahayal hai? Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ne kahake abba jo apko hukum hua hai wohi kijiye, khuda ne chaha to aap mujhe sabar karne walo main se paengay (surah saffat, ayat 102)
Dekhay kya zarf hai Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ka.
Uske baad Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko le kar Mina ki wadi main pohnchay takay qurbani karain.
Raste main teen maqamat par Shaitan ne Hazrat Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ko behkaya ke tumharay walid kitni ziadti kar rahay hain.
Teeno moqo par Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ne shetan ko kankar phek kar maray jis se qoh zameen main dhans gya.
Inhi teeno maqamat par aj Jamarat mojud hain jahan Hajj ke doran Haji rami karte hain yani shetan ko kankar marte hain. Ye isi waqiya ki yaad main hai.
Agay Allah Taala waqia bayan farmatay hain (saffat ayat 103 to 107)
oقَدۡ صَدَّقۡتَ الرُّءۡيَآ ۚ اِنَّا كَذٰلِكَ نَجۡزِىۡ الۡمُحۡسِنِيۡنَ oوَنَادَيۡنٰهُ اَنۡ يّٰۤاِبۡرٰهِيۡمُۙ oفَلَمَّاۤ اَسۡلَمَا وَتَلَّهٗ لِلۡجَبِيۡنِۚ
oوَفَدَيۡنٰهُ بِذِبۡحٍ عَظِيۡمٍ
Mafhoom:
Jab dono ne hamara hukm maan liya aur baap ne betay ko mathay ke bal lita dia, to hum ne unko pukara kay “Aay Ibrahim!” tum ne apna khwaab sacha kar dikhaya. Hum naik logo ko aisay hi badla diya karte hain. Bila shuba ye bohat bari azmaish thi. Aur humne aik bari qurbani (mendha) ko un (yani Ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ka fidya diya (yani ismail عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki jaga mendha zibah agya aur zibah hogya)
Allah taala ko Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki ye qurbani itni pasand aee ke qayamat tak ke musalmano par is ko lazim kardia.
Lekin Alahdulillah, hamay sirf janwar qurban karne ko kaha, apni aulaad ko nahi. Yani woh janwar jo hamari milkiyat ho, jisay ya to hum ne pala ho ya bazar se khareeda ho, usko Allah ki raah main qurban kar dain.
Ye hai qurbani ki mukhtasir history.
Qurbani Ki Fazilat In Quran o Hadith
Quran o hadith main Qurbani ke bay intiha fazail bayan kiye gae hain. Ap ne abhi parha ke Allah taala ko Ibrahi عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki qurbani kitni pasand aee kay tamam musalmano par farz kardi gaee.
Surah Hajj (ayat 37) main Allah taala ka irshad hai
لَن يَنَالَ اللَّهَ لُحُومُهَا وَلَا دِمَاؤُهَا وَلَٰكِن يَنَالُهُ التَّقْوَىٰ مِنكُمْ ۚ كَذَٰلِكَ سَخَّرَهَا لَكُمْ لِتُكَبِّرُوا اللَّهَ عَلَىٰ مَا هَدَاكُمْ ۗ وَبَشِّرِ الْمُحْسِنِينَ
Mafhoom:
Allah ko na in janwaro ka gosht pohnchta hai na khoon, albatta tumhara taqwa aur parhaizgari usko pohnchti hai. Isi tarha humne in janwaro ko tumharay tabay kardia takay tum Allah ki buzurgi bayan karo is par ke usne tumhay hidayat ki, aur naik logo ko khush khabri suna do.
Aik moqay pe Sahaba Ikram ne Huzoor ﷺ se poocha
الَ قَالَ أَصْحَابُ رَسُولِ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يَا رَسُولَ اللَّهِ مَا هَذِهِ الأَضَاحِيُّ قَالَ ” سُنَّةُ أَبِيكُمْ إِبْرَاهِيمَ ” . قَالُوا فَمَا لَنَا فِيهَا يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ” بِكُلِّ شَعَرَةٍ حَسَنَةٌ ” . قَالُوا فَالصُّوفُ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ” بِكُلِّ شَعَرَةٍ مِنَ الصُّوفِ حَسَنَةٌ ” .
Mafhoom:
Ya Rasoolullah ﷺ ye qurbani kya hoti hai? Huzoor ﷺ ne farmaya “Tumharay walid Hazrat Ibrahim ki sunnat hai” Sahaba ne poocha hamay qurbani karke kya milega?
Huzoor ﷺ ne farmaya “Janwar ke har baal ke badlay aik neki milegi”
Sahaba ne poocha “Oon kay baray main kya hukm hai?”
Huzoor ﷺ ne farmaya “Oon ke bhi har baal ke badlay aik neki milegi” ( Sunan Ibn Majah 3127)
Syeda Aisha رضي الله عنها farmati hain ke Huzoor e Aqdas ﷺ ne farmaya
عَنْ عَائِشَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ “ مَا عَمِلَ ابْنُ آدَمَ يَوْمَ النَّحْرِ عَمَلاً أَحَبَّ إِلَى اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ مِنْ هِرَاقَةِ دَمٍ وَإِنَّهُ لَيَأْتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِقُرُونِهَا وَأَظْلاَفِهَا وَأَشْعَارِهَا وَإِنَّ الدَّمَ لَيَقَعُ مِنَ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ بِمَكَانٍ قَبْلَ أَنْ يَقَعَ عَلَى الأَرْضِ فَطِيبُوا بِهَا نَفْسًا ” .
Mafhoom:
Adam ki aulad ka koi amal Qurbani ke dino main Allah ke nazdeek Janwar ka khoon bahanay se ziada mehboob nahi. Qayamat ke din ye qurbani ke janwar apne singh, khur, aur baalo ke sath aengay. Inka khoon zameen par girne se pehle Allah ki bargah main qubool hojata hai. Is liye Khush dili se qurbani karo.
Hazrat Abu Huraira se riwayat hai ke Piyare Nabi ne farmaya
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ قَالَ “ مَنْ كَانَ لَهُ سَعَةٌ وَلَمْ يُضَحِّ فَلاَ يَقْرَبَنَّ مُصَلاَّنَا ” .
Mafhoom:
“Jo shakh bhi maal aur istita’at ke ba wujood qurbani na karay woh hamari Eid gaah main na aae” (Sunan Ibn Majah 3123)
Qurbani Ke Fayde Is Dunay Main
Qurbani ke akhirat main to bay shumar fazail aur fawaid hain hi, lekin dunya main bhi qurbani karne ke boht se faiday hain. Un main se kuch ye hain.
Maal Ki Muhabbat Kam Hoti Hai
Qurbani ka janwar khareednay aur usko sirf Allah ki riza ke liye qurban karne se insan ke andar maal ki muhabbat kam hoti hai aur ye jazba peda hota hai ke Allah ke hukm ke agay har zheez qurban hai.
Is se uski zindagi main hirs aur lalach khatam hoti hai aur woh ek behtar insan banta hai.
Ghareeb Aur Miskeen Logo Ko Gosht Milta Hai
Lakho log aisay hain jinko ghurbat ki wajah se pura saal gosht naseeb nahi hota. Lekin qurbani ke dino main log qurbani ka gosht ghareebo miskeeno main taqseem karte hain jis se aisay log bhi pait bhar kar khana khatay hain. Is se muashray main khush haali barhti hai.
Arbo Rupay Ki tijarat Hoti Hai
Har saal lakho log qurbani ke janwar khareedtay hain jis se arbo rupay ki tijarat hoti hai. Janwar behcne walay pura saal is din ka intizar karte hain takay janwar bech kar pesay kamae. Isi tarha qurbani ke janwar ki khaal se leather industry chalti hai aur lakho factories ko maal supply hota hai. Overall, puray muasharay main is se khush haali ati hai.
Bay Shumar Logo Ko Rozgar Milta Hai
Qurbani ke nateejay main lakho logo ko rozgar milta hai. Maslan, qasaee, biyopari, transport walay, janwar bechne walay, aur isi tarha bay shumar industries ko faida hota hai.
Rishtedaro Main Muhabbat Peda Hoti Hai
Qurbani ka gosht ghareebo miskeeno ke sath sath apne rishtedaro ko bhi dia jata hai. Is se sila rehmi aur apas ki muhabbat main izafa hota hai aur families strong hoti hain.