Shab e Qadar Ki Khaas Namaz Aur Nawafil Ka Tarika

Shab e Qadar woh azeem raat hai jo 1000 maheeno se behtar hai. Is raat main ibadat, zikr, nawafil, dua ka khoob ehtimam karna chahye kyuke is main Allah ki rehmat ki barish ho rahi hoti hai.

Ayye aj apko Shab e Qadar ke khaas nawafil aur namaz ke baray main batatay hain.

Shab e Qadar Main Kis Tarha Ibadat Karain? – Bayan by Mufti Taqi Usmani Sahab

Shab e Qadar Main Nawafil Ki Fazilat

Shab e Qadar ki fazilat bay shumar ahadith aur Qurani ayat se sabit hai.

Is Raat main ibadat karne walay shakhs ko hazaro saal ki ibadat ka sawab milta hai.

Yehi waja hai ke hamare Pyaray Nabi Hazrat Muhammad ﷺ Shab e Qadar ko talash karne ke liye Ramadan ke akhri ashray main Etikaaf kia kartay thay, yani lagatar 10 din tak masjid main hi qayam farmatay thay aur ibadat aur dua main mashghool rehte thay.

Yehi mamool Sahab ikram aur Ummat ke naik logo ka raha hai.

Is liye har Taaq Raat, yani Ramadan ki 21, 23, 25, 27 aur 29 raat ko Shab e Qadar ki talash main Maghrib se Fajr tak nawafil, tilawat, zikr, aur dua main lagay rehna chahye.

Sochye, agar Shab e Qadar mil gaee, to sirf 2 rakat nafil parhnay ka sawab laakho nafil ke barabar ho jaega.

Lailatul Qadar Ki Khaas Nafil Namaz

Shab e Qadr ke liye koi makhsoos nafil namaz hamay Hadith ya Sahaba ke amal se nahi milti. Ye hamari marzi hai ke hum har us tareeqay se nawafil ada kar sakte hain jo jaiz hai.

Baas kitabo main burugo ne apne tajarbat likhay hain ke pehli rakat main surah yaseen, doosri rakat main surah rahman waghera parhay. Ye zaruri nahi. Na hi iski alag se koi fazeelat hai. Agar ap chahy to is tarha bhi nafil parh sakte hain.

Lekin agar koi aur soorat bhi tilawat karli to koi harj nahi.

Asala baat bas ye hai ke Shab e Qadar main nafil namaz is tarha ada karni chahye ke lamba qayam karain, lamba ruku karain, aur lambay sajday karain.

Qayam ke doran jo bari se bari surat yaad ho us ki tilawat karain. Isi tarha ruku aur sajfay main tasbeehaat dair tak parhain. Uske alawa Hadith ki Arabic duain jo bhi yaad ho woh bhi ruku aur sjday main parhna chahye.

Is tarha se sukoon aur aram se Nawafil ada karain aur is baat ka dehan rakhay ke mera malik mujhe dekh raha hai.

Ayye ab apko kuch nafil namazo ke baray main batatay hain jo ap is raat main parh sakte hain. Lekin ye sirf mashwara hai. Apki marzi, ap parhna chahy to theek warna tilawat kar lain, zikr karlain, ya dua main lag jae. Asal baat ye hai ke Allah ke sath mashghool rahain bas.

Ye kuch nafil namazain hain jo ada kar sakte hain Shab Qadar main.

Awwabeen Ki Namaz

Shab e Qadar ka waqt maghrib ke baad se shuru ho jata hai. Is liye Maghrib ke foran baad 6 Rakat nafil namaz Awwabeen ki ada kar lain.

Ye namaz aam nawafil ki tarha 2-2 rakat karke ada ki jae gi. Ap kisi bhi surat ki tilawat kar sakte hain.

Yani jab Maghrib ke 3 farz aur 2 sunnat parh lain, us ke baad 2-2 rakat karke 6 rakat awwabeen ada kar lain. Ye bohat fazilat wali nafil namaz hai

Salatul Tauba

Raat main Taraweeh ki namaz ke baad kuch dair aram kar lain aur phir raat ke akhri 2-3 ghantay ibadat ke liye khaas kar lain.

Iski ibtida Salatul Tauba ke 2 nafil ada karke karain. Ye nafil bhi aam namaz ki tarha parhe jaengay.

Bas apko niyat Namaz e Tauba ki karni hai.

Yani is Mubarak raat main sab se pehle apni pichli zindagi ke tamam gunaho se tauba karain. Allah Taala ke samne roe, sharminda ho, aur ainda ke liye mazboot irada karain ke puri koshish karengay ke kabhi jaan boojh kar gunah na ho.

Read Syed ul Astaghfar in Shab e Qadar

Salatul Hajat

Iske baad 2 rakat Salatul Hajat ada karain.

Salatul Hajat Rasoolullah ﷺ ki sunnat hai aur aam nafil namazo ki tarha parhi jati hai. Bas iske baad Dua e Hajat paarhi jati hai jo ye hai.

salatul-hajat-ki-namaz-ki-dua-urdu-translation
salatul hajat ki namaz ki dua-urdu-translation-tarjuma

Salatul Hajat parh kar Allah Taala se ye dua karain ke woh apko Shab e Qadar naseeb farma day aur is azeem raat ki tamam barkatain aur fazilaty apko mil jae.

Allah Taala insan ki talab dekhte hain.

Agar hum sachay dil se mangay gay to Allah Taala zarur hamay Shab e Qadar naseeb farma dengay.

Tahajjud

Iske baas 2-2 rakat karkay 8 rakat tahajjud ki namaz ada kar lain.

Shab e Qadar main tahajjud ki namaz parhan bay intiha sawab aur fazilat rakhta hai. Apni tahajjud ki namaz ko khoob lamba karain. Yani har rakat main jitni lambi surat yaad ho aram aram se tilawat karain.

Agar choti soorat yaad ho to 2-3 soorato ki tilawat karlain.

Lambay sajday, ruku karain. Sajdo main dair tak arabic dua mangay aur khoob ro ro kar Allah Taala se faryad karain.

Is tarha raat ka aksar hissa Tahajjud ki namaz parhtay huay guzaray kyu ke nawafil main ye sab se azeem nafil namaz hai.

Salatul Tasbeeh

Salatul Tasbeeh bhi bohat ziada fazilat wali namaz hai. Is liye himmat karke har taaq raat main is ko 1 martaba ada karlena chahye.

Salatul Tasbeeh ki namaz ka tarika ye hai.

salatul-tasbeeh-ki-namaz-ka-tarika-aur-duaJPG

Lekin yaad rakhay ke Salatul Tasbeeh nafil namaz hai jisko tanha ada karna chahye.

Salatul Tasbeeh jamat se ada karna theek nahi hai. Ulama ne is ko Bidat likha hai kyu ke Sahaba ikram se aisa koi amal sabit nahi.

Follow our WhatsApp Channel

X