Darood e Tanjeena (Salatul Tunajjina or Tunjina) Full PDF | Fazilat, Wazifa, Audio

Rasoolullah ﷺ par Durood o Salam parhna bay shumar barkarto aur rehmato ka zarya hai.

Is article main hum apko Darood e Tanjeena, jisko Salatul Tunajjina ya Tunjina bhi kehtay hain, parhna sikhaengay.

Darood e Tanjeena Full Wazifa Arabic PDF

Sab se pehle Darood e Tanjeena ke Arabic alfaz seekhtay hain.

اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَیِدِنَا وَ مَولَانَا مُحَمَّدٍ وَ عَلٰى اٰلِ سَیِدِنَا وَ مَولَانَا مُحَمَّدٍ صَلَاةً تُنْجِیْنَا بِهَا مِنْ جَمِيْعِ الأَهْوَالِ وَالآفَاتِ وَتَقضِيْ لَنَا بِهَا جَمِيْعَ الحَاجَاتِ وَتُطَهِّرُنَا بِهَا مِنْ جَمِيْعِ السَّيِّئَاتِ وَتَرْفَعُنَا بِهَا عِنْدَكَ أَعلَى الدَّرَجَاتِ وَتُبَلِّغُنَا بِهَا أَقْصَى الغَاياَتِ مِن جَمِيعِ الخَيرَاتِ فِي الحَيَاةِ وَبَعدَ المَمَاتِ

darood e tanjeena - salat tunjina or tunajjina

Transliteration

Allahumma Salli Ala Syedina Wa Maulana Muhammadin Wa Ala Aali Syedina Wa Maulana Muhammadin Salatan Tumjeena Biha Min Jamee’il Ahwaali Wal Aafaati Taqzi Lana Biha Jamee’al Hajaati Wa Tutahhiruna Biha Min Jamee’is Sayyi’ati Wa Tarfa’una Biha Indala Aa’lad Darajati Wa Tuballighuna Bihaa Aqsal Ghayati Min Jamee’il Khaeerati Fil Hayati Wa Baadal Mamaati Innaka Ala Kulli Shaee’in Qadeeer

Urdu/Hindi Translation

Aay Parwardigar Ap Durood Nazil Farmae Rasoolullah ﷺ aur ap ﷺ ki aal par, Aisa Darood Jis Ki Barakat Se Aap Hamay Har Museebat Aur Aafat Se Nijat Ata Farmae, Aur Us Ke Zarye Ap Hamari Tamam Hajaat Puri Karain, Aur Hamay Tamam Gunaho Se Paak Karain, Aur Apnay Haan Hamay Aala Darajat Tak Bulandi Ata Karain, Aur Tamam Khairo Ki Intiha Tak Hamay Pohnchae, Zindagi Main Bhi Aur Mot Ke Baad Bhi, Bay Shak Ap Har Zheez Par Qadir Hain.

English Translation

O Allah! Send blessings upon Muhammad ﷺ and His family and children. And by those blessings, give us peace from all calamities, fulfill all our wishes, wash all our sins, grant us high status, and give the best of all that is good in this world and after death. For you are capable of doing everything.

Download Darood e Tanjeena PDF

Durood e Tunjina Audio Pronunciation

Sahi Word Kya Hai – Tanjeena, Tunajjina, or Tunjina?

Baaz jaga lafz Salatul Tanjeena hai aur baaz kitabo main Tunajjina aur Tunjeena hai.

To sahi talaffuz kya hai?

In main se Tanjeena to koi lafz nahi.

Baqi Tunajjina aur Tunjeena dono lafz parhay ja saktay hain kyu ke inke maani main koi bara farq nahi ata.

Is liye Durood e Tunajjina ya Tunjeena kehna chahye.

Durood e Tunajjina Authentic Hadith Aur Sunnat Se Sabit Hai?

Nahi, Salatul Tanjeena ya Darood e Tunjina kisi Hadith se sabit nahi aur na hi Rasoolullah ﷺ ne isay taleem farmaya.

Is liye isko sunnat samajhna ya iska darja masnoon Durood sharif se ziada samajhna ghalat hai.

Lekin Darood e Tanjeena ke alfaz main koi shirkia baat nahi, balkay is main Rasoolullah ﷺ par durood o salam bheja gya hai aur uski barakat se Allah Taala se mushkilat se panah mangi gaee hai.

Is liye isko dua aur wazifa ke tor par parha ja sakta hai.

Ye Ulama aur buzurgan e deen ke wazaif main se raha hai is liye agar koi bator dua parhna chahy to parh sakta hai. Lekin Masnoon Durood is se afzal hain.

Agar ap ka dil Durood e Tunjina pe razi nahi, to is main koi harj nahi. Bas 2 rakat Salatul Hajat parh kar Allah Taala se dua karain, insha Allah har pareshani ko door karne ke liye ye bhi kafi hai.

Tafseel is fatway main dekhi ja sakti hai

Darood e Tanjeena Ki History

Darood e Tanjeena aya kahan se? Kyu ke ye hadith main to nahi hai.

Iski kuch history hai jo mukhtalif riwayat main ati hai.

Aik buzurg Musa Al Zareer RA samandar main safar kar rahay thay kay unki kashti sakht tufan main phans gaee. Musa Al Zreer RA ko Khwaab main Rasoolullah ﷺ ki ziarat hui jis main Ap ﷺ ne Darood e Tanjeena sikhaya aur farmaya ke sab kashit walo se kaho iska wird karain.

Shaikh jab khwaab se jagay to unho ne tamam kashti walo ko is durood ki talqeen kari. Sab ne iska wird shuru kiya aur 300 martaba hi parha tha ke tufan ki shiddat kam hona shuru ho gaee aur bil Akhir Allah Taala ne kashti ko tufan se nikal dia.

Salatul Tunjina Ki Fazilat

Salatul Tunjina ki koi fazilat Quran o Hadith se sabit nahi kyuke ye Hadith main ata hi nahi.

Lekin Ulama, mashaikh, aur buzurgan e deen ne apne tajarbat ki bunyad par farmaya ke ye durood sharif parhne ki barakat se Allah taala sakht se sakht mushkil asan farma detay hain, balae door ho jati hain, aur bazahir har taraf se rukawat honay ke bawujood Allah Taala ki khaas madad ati hai.

Kya Durood e Tunjina Parhna Chahye?

Durood e Tunjina ko parhnay ki kuch sharait hain.

  • Is ko sunnat ya hadith ka durood na samjhay
  • Is ko masnoon durood se afzal na samjhay
  • Iski koi khaas fazilat apni taraf se sabit na karain

Balkay, isko Dua ke tor par parh saktay hain kyu ke iske alfaaz boht mubarak hain aur un main koi shirk wali baat nahi balkay Allah hi se madad mangi gaee hai.

Is liye parhne main harj nahi agar sirf aam dua ke tor par parhay.

Darood e Tanjeena Wazifa Parhnay Ka Tarika

Darood e Tanjeena parhnay ka koi khaaas tarika nahi. Isko bator Dua ap har namaz ke baad parh saktay hain. Is ke liye Wazu karna bhi zaruri nahi.

Is ke alawa chaltay phirtay bhi parha ja sakta hai.

Darood e Tanjeena ka Wazifa bhi parh saktay hain. Buzurgo ne farmaya ke museebat ko door karne ki niyat se 300 martaba Durood e Tunjina ka wird karna bohat mujarrab hai.

Parhtay waqt is ke translation ko zehen main rakhain aur Allah Taala se mangay.


by

Follow our WhatsApp Channel

X