Exam Papers Mein Kamyabi Aur Asani Ki Dua [Urdu/Hindi]

Chahy ap Matric kar rahay ho ya O-Levels, A-Levels, ya kisi bhi class ka exam de rahay ho, paper se pehle tension hona natural hai.

Exams main successful hone ke liye mehnat aur tayyari to karni hi hogi. Lekin Muslaman tayyari ke sath sath dua ke zarye Allah Taala se madad bhi hasil karta hai.

Is article main hum apko aisi duain, wazifay, aur aamaal bataengay ke insha Allah ap ko Allah Taala exam papers main asani ata farmaengay aur zabardast kamyabi mile gi.

Is article ko apne class fellows aur friends kop bhi bhejay takay unka Final paper, semester exam, ya jo bhi test woh de rahay hain acha ho jae.

Chalye jantay hain exam papers ki dua.

Exam Success Dua And Kamyabi Ka Wazifa

To be successful in your exams apko pura saal mehnat karna hogi aur har class ka lesson samajhna hoga.

Yaad rakhain Momin na sirf amal par bharosa karta hai aur na sirf dua pe.

Balkay Momin amal bhi pura karta hai aur dua karke nazar apne Allah par rakhta hai. Kyu ke asal kamyabi Allahi ki taraf se hoti hai.

Jab apke exams qareeb anay lagay to tayyari ke sath sath ye amal shuru kar dain.

Rozana baad Fajr, baad Maghrib, aur sonay se pehle ye parhay.

  • Kalima Tayyiba – La Ilaha Illallah Muhammdur Rasoolullah
  • Durood e Ibrahimi (ya koi sa bhi Durood)
  • Astaghfar
  • Surah Fatiha
  • Ayat ul Kursi
  • Surah Ikhlaas, Surah Falaq, Aur Surah Naas 3-3 baar.
  • Akhir main phir durood sharif.

Ye parh kar exam main kamyabi ki dua karain Allah Taala behtreen tayyari karwa dengay insha Allah aur jo yaad karengay zehn main mehfooz ho jaega.

Is ke alawa 5 waqt ki namaz ki pabandi lazmi karain aur gunah ke kamo se bachay warna dua ka asar kam ho jaega.

Aur himmat ho to raat ko uth ke taza Wazu karke Tahajjud Ki Namaz ada karain apne papers main kamiyabi ki duain mangay.

Paper Walay Din Ki Dua

Paper walay din, Fajr ki Namaz ke baad woh amal karain jo upar bataya hai. Us ke baad exam papers ke liye ye dua 7 martaba parhain.

حَسْبِىَ اللّٰهُ لَآ اِلَهَ اِلَّا هُوَ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ وَ هُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيْمِ

Urdu/Hindi Translation

Mujhe Allah Kafi Hai, Uske Siwa Koi Ibadat Ka Mustahiq Nahi, Mene Usi Par Tawakkul Kiya, Aur Wo Arsh e Azeem Ka Maalik Hai

Is ke baad waqt ho to Surah Yaseen ki tilawat karlain.

Is ke baad ye dua papers ke liye parhain.

اَللّٰھُمَّ اِنِّیْ اَسْأَلُکَ خَیْرَ ھٰذَا الْیَوْمِ وَفَتْحَہْ وَنَصْرَہ وَ بَرَکَتَہ وَ ھُدَاہ۔

Translation in Urdu/Hindi

Aay Allah! Main Apse Aj Ke Din Har Khair Ka Sawal Karta Hu Aur Is Din Ki Kamiyabi Aur Apki Madad Aur Barakat Aur Hidayat Ka Sawal Karta Hu.

Insha Allah in amaal ki barakat se pura din har kaam apke muafiq hoga.

Exam Paper Acha Hone Ki Dua

Exam paper acha honay ke liye Allah Taala se apni zaban main bhi dua mangtay rahain. Lekin uske sath sath ye kaam bhi karain ke chaltay phirtay ye ilm main izafay ki dua mangay.

ربِّ زِدْنِي عِلْماً

Is dua ki barakat se insha Allah do yaad karengay woh yaad rahega aur papers ki tayyari main bhi madad hogi.

Translation

O Allah! Increase my knowledge.

Aay Allah! Mere Ilm Main Izafa Farma

Imtihan Paper Shuru Karne Se Pehle Ki Dua

Jab imtihan dene ke liye exam hall main ajae to paper shuru karne se pehle ye duain aur qurani ayat parhay.

أَلَمْ نَشْرَحْ لَكَ صَدْرَكَ

وَوَضَعْنَا عَنكَ وِزْرَكَ

ٱلَّذِىٓ أَنقَضَ ظَهْرَكَ

وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ

فَإِنَّ مَعَ ٱلْعُسْرِ يُسْرًا

إِنَّ مَعَ ٱلْعُسْرِ يُسْرًۭا

فَإِذَا فَرَغْتَ فَٱنصَبْ

وَإِلَىٰ رَبِّكَ فَٱرْغَب

  • Is ke baad ye dua 3 martaba parhay

رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي

Transliteration: Rabbish rahli sadri wa yassirli amri wah lul uqdatam mil lisaani, yaf qahu qaooli

Translation:

My Lord, expand for me my breast [with assurance] and ease for me my task and untie the knot from my tongue that they may understand my speech

“Aay Allah! Mera Seena Khol Day, Aur Mera Kaam Asan Karday, Aur Meri Zaban Ki Girah Khol Day Takay Log Meri Baat Samajh Sakain”

Is ke baad bismillah parh kar paper shuru karin insha Allah asan ho jaega aur Allah Taala kamiyabi dengay.

Exam Paper Ke Beach Main Padhne Ki Dua

Exam ke doran agar kahin par yaad na aae, ya confuse ho jae to Allah Taala ke in mubarak naamo se unko pukaray.

Ya Allah, Ya Rahman, Ya Raheem

Ya Mughni, Ya Samad, Ya Azeez

Ya Nasir, Ya Haleem, Ya Kareem

Bi Rahmatika Astaghees

Aslehli Sha’ni Kulla.

Paper Dene Ke Baad Ki Dua

Jab paper de kar ajae to Allah Taala se dua karain ke jo apne kia, us se behtar apko kamiyabi de day.

Khaas tor par is dua ka ehtimam karain.

اللَّهُمَّ أَحْسِنْ عَاقِبَتَنَا فِي الْأُمُورِ كُلِّهَا وَأَجِرْنَا مِنْ خِزْيِ الدُّنْيَا وَعَذَابِ الْآخِرَةِ

Translation:

Aay Allah! Aap Hamare Tamam Kaamo Ka Acha Anjam Kijiye Aur Hamay Dunyo o Aakhirat Ke Azab Ki Ruswaee Se Bachayye.

“O Allah! Help us successfully complete all our matters and protect us from the humiliation of your punishment in this world and the hereafter.”

Exam Mein Kamyabi Ki Dua

Is ke alawa jab tak result na ajae, har namaz ke baad Allah Taala se exam papers main kamiyabi ki dua kartay rahain apni zaban main bhi aur jo duae upar bayan ki gaee unke zarye bhi.

Asal baat to yehi hai ke agaq ap puri mehnat karain, saal bhar parhaee karain, aur lessons ko achi tarha samjhay, to insha Allah apke paper bhi achay hi hongay.

Lekin mumin apne har kaam main khair Allah se mangta hai is liye mehnat ke sath sath in duao aur wazaif ka bhi ehtimam karain to insha Allah aur ziada faida ho ga.

Allah Taala tamam schools, colleges, universities aur madaris ke students ko kamiyabi ata farmae, unke exam papers ki achi tayyari karae, aur unko behtreen numbers se pass karae, Aameen.


by

Follow our WhatsApp Channel

X