Istikhara Ki Dua Aur Sunnat Tarika | Full Guide In Urdu & Hindi

Istikhara is a beautiful sunnah of our beloved Holy Prophet Muhammad ﷺ. It is a simple Dua that the Prophet ﷺ has taught us to read before every important matter to seek Allah’s blessings and pleasure.

In this article, we’ll share Istikhara Dua along with its Sunnah method.

Is article main hum apko Istikharay ka sunnat tarika sikhaengay takay ap apnay tamam muamlaat main khud isktikhara kar sakain.

Istikhara ke baray main intihaee mufeed bayan jis main sab jawabat mojud hain

Title: Istikhara Ki Haqeeqat, Sunnat Tareeqa, Aur Dua
Speaker: Maulana Mehboob Elahi Sahab

Click Here To Read Istikhara Guide In English

Istikhara Ki Dua With Urdu Translation

Istikharay ki dua hadith sharif main Hazrat Jabir رضي الله عنه se riwayat hai. Ayye is dua ko arabic, urdu, aur hindi main seekhtay hain

Istikhara Ki Dua In Arabic

dua e istikhara ki dua aur tareeqa sunnat ke mutabiq

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ خَيْرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي ـ أَوْ قَالَ عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ ـ فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِنْ كُنْتَ تَعْلَمُ أَنَّ هَذَا الأَمْرَ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي ـ أَوْ قَالَ فِي عَاجِلِ أَمْرِي وَآجِلِهِ فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنْهُ، وَاقْدُرْ لِي الْخَيْرَ حَيْثُ كَانَ ثُمَّ أَرْضِنِي بِهِ

(بخاری 1166)

Istikhara Dua Ki Tilawat Aur Parhne Ka Tareeqa

Dua e Istikhara ko sahi talaffuz ke sath parhna seekhne ke liye is video ko dekhay.

Transliteration

Allahumma Inni Astakheeruka Bi Ilmika Wa Astaqdiruka Biqudratika Wa As’aluka Min Fazlikal Azeemi Fa Innaka Taqdiru Walaa Aqdiru Wa Ta’lamu Walaa A’alamu Wa Annta Allamul Ghuyub.

Allahumma Inn Kunnta T’alamu Anna Haazal Amra Khaeerulli Fi Deeni Wa Ma’ashi Wa Aaqibati Amri Faqdirhu Lee Wa Yassirhu Lee Summa Baarik Lee Feehi

Wa Inn Kunnta T’alamu Anna Haazal Amra Sharrul Lee Fee Deeni Wa Ma’ashi Wa Aaqibati Amri Fasrifhu Anni Wasrifni Anhu Waqdir Lial Khaeera Haeesu Kana Summa Arzini Bihi.

Dua e Istikhara In Urdu

Istikhara Dua In Arabic With Urdu Hindi Translation

“Aay Allah! Main apse khair talab karta hu, Apkay Ilm kay waastay se aur qudrat talab karta hu Apki qudrat Ki madad se Aur Ap se sawal karta hu Apke fazal ka.

Pas bay shak aap qudrat rakhnay walay hain aur main aajiz aur kamzor hu Aur Ap jantay hain, main nahi janta, Aur Ap posheeda baato ko bakhoobi jannay walay hain.

Aay Allah! agar ye kaam (apne kaam ka naam lain) jo Ap ke Ilm main hai meray liye meray deen, muaash, aur aakhirat kay liye Khair hai, To is ko meray liye muqaddar farma dijiye aur asan farma dijiye. Aur phir us main meray liye barakat daal dijiye.

Aur agar Ap ke Ilm main Is kaam kay andar shar hai meray deen aur muaash aur aakhirat kay liye, to usko mujh say door kardijiye Aur mujh ko us se door kardijiye.

Aur jahan khair ho usko meray liye muqaddar kar dijiye aur mujh ko us par razi kardijiye.”

dua e istikhara in urdu. Istikharay ki dua ka urdu tarjuma. Istikhara ka sunnat tarika.

Istikhara Ka Asan Tareeqa Sunnat Ke Mutabiq | Step By Step

Ab jab kay apne Istikharay ki dua seekh li to hum ab step by step istikhara ka tareeqa discuss kartay hain.

Jab kisi kaam main istikhara karna ho to ye tareeqa ikhtiyar karain.

Step 1: Tehqeeq

Sab se pehle jo bhi muamla hai us main apna zehn istimaal karain aur tehqeeq karain. Apni aqal se muamlay ko samjhay aur us par koi rai qaim karain.

Step 2: Istishara Yani Mashwara

Jab apni rae qaim kar lain to uske baad us muamlay kay baray main kisi aisay shakh se mashwara karain jo uska tajarba rakhta ho.

Is ko Istishara kehtay hain aur ye istikharay ka intihaee zaruri hissa hai jisay aksar log chor detay hain.

Lekin yaad rakhay kay mashwara kisi tajarba kaar admi se karain jo us muaamlay ka maahir ho.

Maslan ap operation ke liye doctor ka intikhab kar rahay hain to un logo se mashwara karain jo us doctor se pehle ilaaj karwa chukay hain.

Isi tarha agar ap gari khareed rahay hain to pehlay kisi gari kay expert se mashwara kar lain.

Is se muaamla apkay saamnay bilkul waazay ho jae ga, insha Allah.

Step 3: Niyat

Mashwaray ke baad number ata hai Istikharay ka.

Istikharay main niyat ye rakhay kay main Allah Taala se khair mangnay ke liye Huzoor e Akram ﷺ ke batae huay tareeqay ke mutabiq Istikhara kar raha hu.

Aay Allah app mere liye behtreen cheez chun lijiye.

Step 4: Salatul Istikhara (Istikhara Ki Namaz) Ka Tareeqa

Is kay baad Wazu karain aur Salatul Istikhara yani istikharay ki namaz ki niyat se 2 rakat nafl ada karain.

Ye nafl aam namazo ki tarha parhay jaengay aur in main kisi bhi surat ki tilawat ki ja sakti hai.

Ap ye nafl kisi bhi waqt parh saktay hain jab makrooh waqt na ho, yani Fajr kay foran baad, Asar kay baad, aur zawal kay waqt (zuhr se nilkul pehle) nahi parh saktay.

Iskay alawa jis waqt chahay salatul istikhara kay nafl ada kar lain.

Step 5: Dua e Istikhara

Jab Istikhara ki namaz parh lain us ke baad dua e istikhara jo upar bayan ki thi usko samajh kar parhain.

Is dua ka ek ek lafz hamaray aqa Rasoolullah ﷺ ka taleem karda hai is liye iski qadr karain.

Muhabbat aur yaqeen kay sath is dua ko parhain aur jahan أَنَّ هَذَا الأَمْرَ aae wahan apne kaam ka naam lain (maslan beti ki shadi ka rishta ya karobar waghera).

Jab ye dua parh lain us kay baad girgira kar Allah Taala se apni zaban main bhi dua kar lain.

Awwal akhir durood shareef parh kar dua mukammal kar lain.

Istikhara Karne Ka Sahi Waqt Kya Hai?

Istikhara kisi bhi waqt kia ja sakta hai. Istikharay ki dua bhi ap har waqt parh saktay hain. Lekin istikharay kay nafl makrooh waqt main na parhay.

Ulama farmatay hain kay Istikharay ka acha waqt baad isha yani sonay se pehle hai. Takay is waqt sukoon o itminan se dua e istikhara maang kar so jae.

Lekin raat ko moqa na ho to jab chahay par saktay hain

Istikhara Kitnay Din Kartay Hain?

Baaz riwayat main Hazrat Anas رضي الله عنه se marwi hai kay Rasoolullah ﷺ ne 7 roz tak istikhara karnay ko farmaya.

Is liye istikharay ka yehi tarika aur dua 7 din tak follow karain.

Lekin ye zaruri nahi. Agar is se kam waqt ho to jitne din mumkin ho istikhara kar lain.

Kya Istikharay Ke Baad Sona Zaruri Hai

Nahi, Istikharay kay baad sona zaruri nahi. Lekin baaz ulama is liye sonay ka kehtay hain takay istikharay kay baad yaksuee rahay aur dehan apne maqsad ki taraf hi rahay.

Lekin ye zaruri nahi.

Kya Istikharay Ka Jawab Khwaab Main Ata Hai?

Nahi, aisi koi baat hadith sharif se sabit nahi. Istikharay ka jawab khwab main ana koi zaruri nahi.

Balkay aksar logo kay khwab to wesay bhi bay mani hotay hain. Is liye khwabo kay chakkar main na rahain.

Bas Istikhara karke Allah se khair mangtay rahain aur jis taraf bhi Allah Taala asbab bana dain us kaam ko kar lain. Mutmaeen rahain kay Allah Taala ki barkat apke sath shamil hai.

Istikhara Ki Nishaniyan Kya Hain?

Yu to boht se logo ne Istikharay ki mukhtalif nishaniyan bayan ki hain lekin hadith sharif main un main se koi sabit nahi.

Bas itni baat hai kay jab istikhara kay zarye Allah se khair maang li to ab mutmaeen rahay aur jis kaam ki taraf dil ka rujhan ziada ho woh Allah par tawakkal karke kar lain.

Itminan e qalb hi Istikharay ki sab se bari nishani hai.

Mukhtasir Istikhara Ki Dua Aur Tareeqa

Agar kisi bhi wajah se istikharay ka moqa na ho to ap Mukhtasir Istikhara bhi kar saktay hain.

Mukhtasir Istikhara main nafl nahi parhnay hotay balkay sirf chotay istikharay ki dua parhna hogi.

Chota istikhara karnay kay liye ye dua parhain.

اَللّٰھُمَّ خِرۡلیِ وَا خۡتَرۡلیِ

choti istikhara dua short dua of istikhara

Transliteration

Allahumma Khirli Wakhtarli

Urdu/Hindi Translation

Aay Allah! Mere kaam main khair daal dijiye aur mere liye chun lijiye

Istikhara Kya Hai?

Istikhara ka matlab hai Allah se khair talab karna. Ye Rasoolullah ﷺ ki mubarak sunnat hai jiske zarye Musalman apnay kisi bhi zaruri kaam maslan shadi ka rishta final karne ya karobari faislo se pehle Allah Taala ki taraf ruju kartay hain aur uski barkat aur khair ka sawal kartay hain.

Hazrat Jabir رضي الله عنه farmatay hain ke Allah ke Nabi ﷺ hamay istikharay ki dua isi tarha sikhatay thay jis tarha Quran e Kareem ki ayat sikhatay thay.

Istikhara intihaee asan amal hai jiske liye apko kisi aur ki madad ki zarurat nahi. Ye ek dua hai jo ap khud Allah se maang saktay hain.

Istikharay ke teen steps hain

  • Istishara
  • Istikhara Nafl Namaz
  • Istikhara Dua

Hadith shareef main ata hai kay istikhara karne wala namurad nahi hota yani uske kaam main bay barkati nahi hoti. Kyu kay jab insan koi faisla kar lay aur istikharay kay zarye Allah se khair bhi maang lay, to insha Allah uska kaam uske haq main ho jata hai.

Istikhara Kyu Karte Hain Aur Kab Karna Chahye?

Istikhara karne ka maqsad Allah Taala se ruju karna hai.

Ye koi jadu, miracle, ya ilm e nujoom nahi hai jiske zarye hamay mustaqbil ki baatain pata chal jae.

Baaz log samajhtay hain kay istikhara karnay se khud ba khud pata chal jaega kay kya karna chahye. Aisa nahi hai.

Istikhara sirf Allah se khair ki dua hai.

Yani hum ye dua kartay hain kay Allah hamaray hum se sahi faisla karwa aur us main barkat ata farma day. Aur agar jo hum kar rahay hain us main hamare liye khair na ho to usko hum se door kar day.

Bas ye dua kartay hain.

Is liye istikharay ka maqsad Allah ki taraf ruju karna hai na kay agay ki batay maloom karna.

Istikhara sirf confusion ke waqt hi nahi kartay blakay har aham kaam se pehle karna chahye. Takay apkay faislo main Allah ki barkat shamil ho jae aur us ka jo bhi shar aur buraee ho woh apse door ho jae.

Istikhara Ki Fazilat Aur Faiday

Istikhara karne ki buhat fazilat hai aur iskay dunyavi faiday bhi bohat hain.

1- Ittiba e Sunnat Ka Sawab

Isitkhara karna sunnat hai. Is liye jab ap sunnat ki niyat se apne zaruri kaamo se pehle istikhara karengay to apko Sunnat par amal ka sawab aur uski barakaat hasil hongi insha Allah. Aur sunnat par chalna Allah taala ki khusnoodi ka zariya hai

Naqshay Qadam Nabi ﷺ Kay Hain Jannat Kay Rastay

Allah Se Milaatay Hain Sunnat Kay Rastay

2- Allah Ki Taraf Ruju Karne Ka Sawab

Istikhara Ruju ilallah ka behtreen zariya hai. Is se hamara nazriya ye banta hai kay har kaam Allah SWT ki marzi se hota hai is liye agar woh hamaray kaam main khair daal day to koi hamay uqsan nahi pohncha sakta.

3- Khair O Aafiyat

Istikhara karne se Allah taala kaam main khair daal dete hain aur jo kaam hamaray liye nuqsan day hota hai us se doori kay asbab ban jatay hain. Is tarha hamaray kaamo main barkat ati hai aur aafyat hasil hoti hai.

4- Dili Sukoon O Itminan

Istikhara karnay se dil ko itminan hota hai kay hum ne dono jahan kay maailk se khari maangli is liye ab hamara kaam insha Allah paya e takmeel tak pohnch jaega. Isi tarha, agar istikhara karne ke baad woh kaam na ho to dil ko sukoon rehta hai kay yaqeenan ye mere rab ki koi maslihat hai jiski waja se ye kaam nahi hua.

Shadi Aur Rishtay Kay Liye Istikhara Ka Tarika

Betay ya beti ki shadi kay liye log aksar istikhara kartay hain. Ayye shadi ke istikharay ka tarika seekhtay hain.

Step 1: Khandan Walo Ki Tehqeeq

Sab se pehla step tehqeeq hai. Yani jis larkay ya larki ka rishta aya hai, uski puri tehqeeq karain.

Dekhain ke ye log deendar hain ya nahi, in main sharafat hai ya nahi. Kyu ke agar sharafat na ho to log agay zindagi main boht tang karte hain.

Is liye sharafat aur khandaan zarur dekhay. Is ke alawa khandaan ka apne sath match dekhain le ap hi ki tarha kay log ho, milta julta life style ho, ek tarha ka rehen sehen ho.

Is se larka aur larki dono ko shadi ke baad adjust karne main asani hoti hai.

Tehqeeq ke liye jahan se rishta aya hai un se 3-4 martaba mulawat karain, baat cheet karke dekhain. Agar log samajh aae to phir unke muhallay main parosio se mulaqat karke unke baray main maloom karain ke kese log hain.

Is ke alawa online dekhain Facebook, LinkedInm Twitter, Instagram, TikTok waghera par ke larka ya larki kya kar rahay hain.

Jab apni si tasalli ho jae to agle step pe jae.

Step 2: Buzurgo Se Mashwara

Apne khandan ke samajhdar buzurgo ko sara muamla batae aur unka mashwara lain. Agar darmiyan main koi aisay log ho jo dono khandano ko jantay ho to unse zarur mashwara karain.

Isi tarha, kisi achay samajhdar alim e deen ya deendar admi se bhi pura muamla bata kar mashwara karain.

Step 3: Shadi Ke Istikharay Ki Namaz Aur Dua

Jab apni tasalli ho jae aur mashwara bhi karlain to ab ap Istikhara karain. Shadi ke istikharay ki dua bilkul wohi hai jo aam dua hoti hai. Yani jo upar hum ne apko bataee.

Bas ye hai kay dua main jab أَنَّ هَذَا الأَمْرَ par aae to yahan apne betay ya beti ka naam le kar uske rishte ka kahain. Bas iske alawa dua e istikhara parhne ke doran rishte ka muamla zehen main rakhain.

Is tarha istikhara 7 din tak karain. Is doran chota istikhara ki dua bhi din main parhte rahain.

Insha Allah uske baad jis faislay ki taraf dil ka ziada rujhan ho Allah par tawakkal karke woh kaam kar lain.

Kya Online Istikhara Service Istemal Karna Chahye?

Aj kal online istakhara services boht mashhoor hain jahan log free istikhara kartay hain ya baaz log pesay bhi letay hain.

Khoob samajh lain kay shariat main Istikhara doosro se karana sabit nahi. Doosro se mashwara karna yani istishara karna chahye.

Istikhara khud karna sunnat hai.

Ise se farq nahi parta kay hum kitne gunah gar hain. Hamara Allah boht muaaf farmanay wala hai. Woh kareem hai.

Is liye us muaafi mangay aur khud istikhara karain. Allah se khair talab karain, woh zarur dega.

Yaad rakhay, sunnat kaam ko sunnat tareeqay se karna chahye.

Kisi aur ko istikharay ka na kahain. Wesay bhi jiska muaamla hota hai woh jis fikr ke sath istikhara karta hai koi dusra nahi kar sakta.

Is liye online istikhara services ya kisi aur se istikhara karwana sunnat se hat kar hai is se bachna chahye.

Istikhara Se Mutalliq Ghalat Aur Batil Aqaid

Hamaray muaashray mai n Istikhara se mutalliq boht se batil aur ghalat nazriyat aur aqaid achukay hain jinka sunnat or shariat se koi talluq nahi.

Un main se kuch ye hain.

1- Doosro Se Istikhara Karwana

Jesa ke abhi zikr kia, Istikhara khud karna sunnat hai. Kisi Sahabi se sabit nahi kay us nay Rasoolullah ﷺ se istikhara karwaya ho. Ya Allah ke Nabi ﷺ ne farmaya ho ke lao main tumhara istikhara kardu.

Aisa kuch nahi.

Istikhara khud karain yu ke ye apka aur Allah ka muaamla hai. Aur Allah ke sath rabtay ke liye kisi aur ki zarurat nahi.

2- Khwab Ya Isharay Ka Intizar Karna

Istikharay ka jawab khwaab main ana bhi aik ghalat aqeeda hai. Istikharay aur khwab ka koi talluq nahi. Haan ye ho sakta hai kay istikharay ke baad achay khwaab aae aur uski wajah se dil kisi aik taraf ziada ma’il ho jae.

Lekin phir bhi khwabo pe bharosa nahi karna chahye balkay istikharay ke baad apne dil ki kefiyat aur rujhhan dekhay. Jis taraf apka dil ziada jhukay bas woh kaam kar lain.

3- Mustaqbil Maloom Karna

Istikhara koi ilm e najoom nahi ke uske zarye ghaib ki baatain pata chal jae. Ghaib to sirf Allah ko maloom hai. Kisi najoomi ya amil ko kuch nahi maloom.

Is liye istikharay ke zarye sirf Allah se khair mangay. Baqi tamam baato se ijtinab karain.

4- Apni Marzi Chahna

Istikhara karne ka matlab hai Allah se khair mangna. Ab agar istikharay ke baad jo kaam hamara pasandeeda hai kisi wajah se woh na ho sakay to ye nahi samajhna chahye ke istikhara bay kaar hai.

Bhai ye socho ke Allah ne istikharay ki barakat se tumhay us kaam se door kardia. Shayad wo tumharay haq main behtar nahi tha.

Aur jo tumhay napasand tha woh shayad tumharay haq main behtar tha.

Ye to Allah hi ko maloom hai.

Is liye jab istikhara karlia to ab apni marzi mat chalao. Balkay jis taraf Allah Taala rastay khol day us ko ikhtiyar karlo aur mutmaeen raho ke mere maalik ne mere liye behtar hi chuna hoga.


by

Follow our WhatsApp Channel

X