Shab e Meraj Ka Waqia And History

Shab e Meraj Islamic history ka bohat important waqia hai. Ye na Sirf Rasoolullahﷺ ka ek moajza hai balkay hamare liye bohat se sabaq bhi apne andar rakhta hai.

Ayye is article main shab e mairaj ki importance and is se hasil hone wali naseehat ko samajhtay hain.

Shab e Meraj Kya Hai

Shab e Meraj ek ba barkat raat hai jo har saal Rajab ke Islami maheenay main 27 tareekh ko ati hai.

Is raat ke ba barkat honay ki bunyadi waja ye hai ke is main Allah Taala ne apne mehboob nabi Hazrat Muhammad ﷺ ko ek hi raat main zameen se le kar saato asmano ki sair karwaee, jannat o dozakh ka mushahida karwaya, namazo ka tohfa dia, aur mulaqat ka sharf bakhsha.

Ye itna ajeeb waqia tha ke jab Rasoolullah ﷺ ne logo ko iske baray main bataya to Kuffar ne aap ka mazaq uraya. Lekin is moqay par Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه ne Huzur ﷺ ki himayat ki aur farmaya ke jis nabi ke paas rozana asman se wahi ati ho uske liye asman par jana kya mushkil hai.

Khoob samajh lena chahye ye waqia khwaab main pesh nahi aya. Balkay Allah Taala ne apni qudrat se apne Nabi ﷺ ko jism samait saato asamano ki sair karaee aur hum kalami ka sharf bakhsha.

Waqia e Meraj Ki Islami Hijri Date

Safar e Meraj Islami Hijri calendar shuru honay se ek saal pehle 621 AD main pesh aya jo Nabuwwat ka 11th saal tha. Islami maheeno ke lehaz se 27 Rajab ki tareekh banti hai.

Meraj Un Nabi Ka Waqia Quran Aur Hadith Main In Urdu

Quran e Kareem ki Surah Bani Israeel (Asra) main Waqia e Meraj kuch is tarha bayan kia gaya hai

سُبْحَـٰنَ ٱلَّذِىٓ أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِۦ لَيْلًۭا مِّنَ ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَامِ إِلَى ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا ٱلَّذِى بَـٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَـٰتِنَآ ۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ

Mafhoom: Paak hai woh zaat jo apne banday (Muhammad ﷺ) ko raato raat masjid e haram se masjid e aqsa tak le gaee jiske maahol par hum ne barkatain nazil ki hain. Takay unhe hum apni kuch nishaniya dikhae. Bay shak woh har baat sunnay wali aur har cheez dekhnay wali zaat hai.

Is waqia ki tafseel mukhtalif ahadith se kuch yu milti hai.

Maghrib ke baad Hazrat Jibril Rasoolullah ﷺ ke paas hazir huay aur apko Baitullah Sharif le ja kar apka seena mubarak chaak kia aur Qalb e Athar ko Ghusal dia.

Uske baad apko ek taiz raftar sawari jiska naam Buraq tha, us par sawar karke Masjid e Haram se Masjid e Aqsa le gae.

Yahan phanch kar Ap ﷺ ki mulaqat tamam nabiyo se karaee gaee. Phir apne tamam ambiya ki imamat farmaee aur unko ba jamat namaz parhaee.

Ye Safar e Meraj ka pehla hissa tha jise Isra kehtay hain.

Wahan se Jibrail Ap ﷺ ko saato asmano par le gae. Har Asman par Ap ﷺ ki kisi pichle nabi ya peghambar se mulaqat hui. Akhir kaar Ap ﷺ ko jannat ke darakht Sidra tul Muntaha pe le jaya gaya jahan Apko tanhaee main Allah SWT ke sath hum kalami ka sharf mila.

Is moqay par Allah Taala ne Muslamano ko 5 namazo ka tohfa bhi dia jo is ummat par farz kardi gaee takay woh Allah Taala ka qurb hasil kar sakain.

Read: Kya Shab e Meraj Ka Roza Rakhna Chahye?

Waqia e Meraj Main Ummat Ke Liye Sabaq

Waqia e Meraj ke moqay par Rasoolullah ﷺ ko Jannat aur Jahannum ke halat dikhae gae. Is main ummat ke liye bohat ibrat aur sabaq hai. Khaas tor par jahannum main baaz baray baray gunaho ki saza dikhaee gaee takay Ummat unse bach sakay.

Un main se kuch ki tafseel ye hai.

Gheebat Karne Ka Azab

Rasoolullah ﷺ ne Safar e Miraj ke doran dekha ke kuch log hain jinke Taambay ke nakhun hain jis se woh apne chehray aur jism ko zakhmi kar rahain hain. Jibraeel ne farmaya ye woh log hain jo dusre musalmano ki gheebat kartay thay, yani unki ghair mojudgi main unka zikr is tarha kartay thay ke agar unko pata chalta to unko nagawar guzarta.

Farz Namaz Chornay Walo Ka Anjam

Rasoolullah ﷺ ko aisay log dikhae gae jinka sar ek bohat baray pathar se kuchla jata tha. Jiske baad woh khud bakhud theek ho jatay aur dubara unka sar khucla jata. Aur isi tarha hota rehta.

Jibraeel ne arz kia ke ye woh log hain jo jaan boojh kar Farz namaz chor detay thay.

Zakat Na Denay Walo Ka Anjam

Phir Ap ﷺ ko aisay log dikhae gae jinki sharam gaah par agay aur peechay kapro ke kuch tukray liptay huay thay aur woh oont aur bail ki tarha jahannum ke pathar aur kantay kha rahay thay.

Jibraeel ne arz kia ye woh log hain jo Dunya main apne maal ki zakat nahi dete thay.

Zina Kaar Mardo Aur Aurto Ka Anjam

Uske baad Ap ﷺ ko aisay mard aur aurat dikhae gae jinke samne acha aur umda khana rakha hua hai lekin woh sara hua gosht kha rahay hain.

Jibraeel ne arz kia ye woh log hain jo dunya main halal shohar ya biwi ke hotay huay bhi zina main mubtala hotay thay aur na jaiz talluqat rakhte thay.

Amanat Main Khayanat Karne Walay Ka Anjam

Phir Ap ﷺ ko dikhaya gaya ke aik shakhs hai jis ke paas lakrio ka bohat bara gathra hai jise woh utha nahi sakta lekin woh us main mazeed akria la la kar rakh raha hai.

Bataya gaya ye woh shakhs hai jo dunya main dusro ke huqooq kha jata tha ya amanat main khayanat karta tha.

Bay Amal Wa’iz Aur Ulama Ka Anjam

Phir Ap ﷺ ko dikhaya gaya ke kuch logo ke hont aur zaban lohay ki qenchio se katay ja rahay hain. Kuch dair main unki halat theek ho jati. Phir uske baad dubara unko yehi azab dia jata aur ye silsila isi tarha chalta rehta.

Bataya gaya ye woh wa’iz, khateeb, aur ulama hain jo doosro ko naseehat kartay thay magar khud amal nahi kartay thay.

Yateem Ka Maal Na Haq Khanay Wala Ka Anjam

Phir Ap ﷺ ne kuch aisay logo ko dekha jinke hont oont ki tarha thay aur woh aag ki sholay kha rahay thay jo unke pakhanay ke rastay se nikal jatay thay.

Bataya gaya ye woh log hain jo yateemo ka maal na haq kha lete thay aur unko mehroom kar dete thay.

Sood Khor Ka Anjam

Phir dikahya gaya ke kuch log hain jo aik neher main tair rahay hain aur jese hi us se nikalne ki koshish karte hain to unke mu par aik pathar maar dia jata hai aur woh phir us neher main chalay jatay hain. Unke pait bohat baray baray hain aur woh pathar kha rahay hain.

Bataya gaya ye woh log hain jo dunya main Sood ka maal khaya kartay thay.


by

Follow our WhatsApp Channel

X