Eid ul Adha Ki Namaz Ka Tarika & Niyat For Men And Ladies

Eid ul Adha Muslamano ki dusri bari Eid hai jo Hajj jesi azeem usshaan Ibadat ke baad ati hai.

Is din tamam Musalman Eid ul Adha ki namaz parhtay ada kartay hain aur Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ki sunnat ata kartay huay apne apne janwar Allah ki raah main zibah kartay hain.

Hum is website par bakrid ki qurbani ka tarika detail main bata chukay hain.

Ayye is article main hum Eid ul Adha ki namaz ka tarika seekhtay hain.

Eid ul Adha Ki Namaz Ka Tarika In Urdu/Hindi

Eid ul Adha ki namaz tamam Musalman mardo par wajib hai. Ye namaz sirf ba jamat ada ki ja sakti hai aur behtar hai ke khulay maidano aur eid gaaho main ada ki jae.

Tamam namazo ki tarha is namaz ke liye bhi ba wazu hona zaruri hai

Eid ul Adha ki namaz ka azeem ijtima Musalmano ki shaan o shaukat aur quwwat ka muzahira karti hai aur apas main muhabbat aur ittihad ka dars deti hai.

Eid ul Adha Ki Namaz Ka Time

Eid ul Adha ki namaz ka time Ishraq ka waqt shuru hotay hi ho jata hai. Yani jab fajr ki namaz ke baad suraj nikalta hai, uske taqreeban 15 minute baad Eid ul Adha ki namaz ka waqt shuru ho jata hai.

Is waqt se le kar zawal se pehle pehle tak ye namaz jamat ke sath parhi ja sakti hai.

Aam tor par kyu ke Namaz e Eid ke baad qurbani karni hoti hai is liye log Bakrid ki namaz jaldi parhtay hain.

Yeh waja hai ke aksar ilaqo main Eid ul Adha ki namaz ishraq ka waqt shuru hotay hi parh li jati hai.

Eid ul Azha Ki Namaz Ki Niyat

Eid ul Adha ki namaz wajib hai jis main 6 takbeerat extra hoti hain.

Iski niyat is tarha ki jaegi.

“Main Eid ul Adha ki namaz ki niyat karta hu 6 za’id (extra) takbeerat ke sath jo kay wajib hain”

Is niyat ke baad namaz ke liye tayyar ho jae.

Eid al Adha Namaz Ki Rakat Aur Tarika

Eid ul Adha ki namaz aam namazo ki tarha hi hoti hai jis main 2 rakat hoti hain. Imam is main kisi bhi surat ki tilawat kar sakta hai.

Bas is main farq ye hai ke Eid ul Adha ki namaz ki dono rakat main total 6 extra takbeerat ba awaz w buland kahi jaengi.

Uska tareeqa ye hai.

Eid ul Adha Namaz 1st Rakat

  1. Imam Takbeeer e Tehreema (Allahu Akbar) keh kar pehli Rakat shuru karega.
  2. Sana (yani subhana kalla humma wali dua parhi jaegi)
  3. Uske baad Imam kaano tak hath utha kar Allahu Akbar kahega aur hath khulay chor dega (bandhay ga nahi) aur tamam muqtadi bhi aisa hi karengay.
  4. Phir imam dubara kaano tak hath utha kar Allahu Akbar keh kar hath chor dega aur muqtadi bhi aisa hi karengay.
  5. Is ke baad Imam dubara kaano tak hath utha kar Allahu Akbar kahega aur hath bandh lega. Muqtadi bhi aisa hi karengay.
  6. Is ke baad Imam normal namaz ki tarha tilawat karega, ruku, sajda karega, aur is tarha pehli rakat mukammal ho jaegi.

Eid ul Adha Namaz 2nd Rakat

  1. Jab imam dusri rakat ke liye khara hoga to normal namaz ki tarha tilawat karega, yani surah fatiha parhega aur uske sath surat milaega.
  2. Uske baad rulu main janay se pehle imam ba awaz buland takbeer kahega yani kaano tak hath utha kar Allahu Akbar kahega aur hath chor dega.
  3. Phir dubara kaano tak hath utha kar Allahu Akbar kahega aur hath chor dega.
  4. Phir teesri martaba kaano tak hath utha kar Allahu Akbar kahega aur hath chor dega.
  5. Phir Allahu Akbar keh kar ruku main chala jaega aur baqi namaz aam namazo ki tarha parhegay yani attahiyyat main bethengay, durood sharif parhengay aur salam pher dega.

Is tarha se Eid ul Adha ki namaz ki 2 rakat main total 6 takbeerat extra kahi jaengi.

Eid Ki Namaz Ke Baad Dua

Eid ul Adha ki namaz ke baad qubuloyat e dua ka behtreen waqt hota hai. Is liye bohat ethimam ke sath dua mangni chahye aur Allah Taala seapni dunya o aakhirat ke tamam muamlaat main madad mangni chahye.

Namaz e Eid ul Adha Ka Khutba

Namaz e Eid ul Adha ke baad uska Khutba parha jata hai. Yaad rakhye ke Eid ul Adha Ki namaz ka khutba sunna sab namazio par Wajib hai. Yani agar isko sunay baghair chalay gae to Eid ki namaz naqis rahegi aur gunahgar bhi hoga.

Is khutbay main kasrat ke sath takbeerat kahi jati hain aur Allah Taala ki hamd o sana bayan ki jati hai.

Jab khutba mukammal ho jae to ab aap Eid gaah se rawana ho saktay hain.

Eid ul Adha Ki Namaz Ka Tarika For Ladies

Mardo ki tarha ladies bhi Eid ul Adha ki namaz parh sakti hain. Lekin unke upar ye wajib nahi hai. Yani agar na parhay to koi gunah nahi.

Ladies ki Eid ki namaz ki dusri shart ye hai ke unke liye masjod ya Eid gaah main munasib intizam ho aur mardo ke sath mixing ka khatra na ho.

Agar aisa intizam ho, to ladies ko Eid namaz parhnay main koi harj nahi.

Ladies ki Eid ul Adha ki namaz ka tarika bilkul wohi hai jo upar mardo ke liye bayan kia gaya hai.

Woh usi tarha imam ko follow karnegi aur khutba sunegi.

How To Pray Eid ul Adha Prayer

Eid ul Adha prayers are Wajib (mandatory) for all Muslim men. It consists of 2 rakats and is offered like normal prayers. However, it has 6 extra takbeerat in its 2 rakat.

Let’s learn how to pray Eid ul Adha prayers in detail.

Eid ul Adha Prayer Time

Eid ul Adha prayers are offered once the prohibited time after Fajr ends. This means Eid ul Adha namaz can be offered approximately 15-20 minutes after sunrise.

Since people have to perform qurbani after Eid ul Adha prayers, most people prefer offering it early.

Eid ul Adha prayers can only be offered in Jamat (congregation) and should be held on open grounds to show Muslim unity and community strength.

Eid ul Adha Prayer Niyat

After making Wudu you must make the intention of Eid namaz.

Eid ul Adha prayers niyat will be as follows

“I intend to offer 2 rakat wajib Eid ul Adha prayers with 6 additional takbeerat”

After this niyat, get ready to offer the namaz.

Eid ul Adha Prayer Method

Here’s a recording of the Eid aul Adha prayers in Masjid al-Haram to show you exactly how it is done. The detailed method is described below the video.

Eid al Adha prayers are offered the same way as a normal namaz.

But the only difference is that it includes 3 additional takbeerat in the first rakat and 3 in the second.

Here’s how to do it.

  1. In the first rakat, the Imam will begin the prayers by saying Takbeer e Tehreema, Allahu Akbar.
  2. After this you will read Sana (subahana kall humma dua)
  3. Then the imam will say the first extra takbeer by lifting his hands up to his ears and saying “Allahu Akabr” and then leave his hand unfolded (open).
  4. Then he’ll say the second takbeer the same way.
  5. Then he’ll say the third takbeer the same way but this time he’ll fold his hands.
  6. You must follow the imam in this.
  7. Now the imam will recite Fatiha and a surah. Then perform ruku and sajda like a normal prayer to complete the first rakat.

Then the imam will get up for the second rakat.

  1. He will start the second rakat by reciting Fatiha and a surah like a normal namaz.
  2. Then before going in Ruku, he will say the fourth extra takbeer and leave his hands open.
  3. Then he’ll say the fifth takbeer.
  4. Finally, he’ll say the sixth Takbeer and still leave his hands unfolded.
  5. Then he’ll say Allahu Akbar again and go in ruku.
  6. The rest of the namaz will be the same as a normal prayer.

This way you’ll finish your Eid prayers with 6 extra takbeerat.

After the Eid ul Adha namaz, make abundant dua becuase it is an excellent time for the acceptance of prayers.

Eid ul Adha Prayer Khutba

Listening to the Eid ul Adha khutba is wajib which means you can’t leave until it is completed. The khutba happens after the Eid namaz where the imam recites various hadith and Quranic verses, along with takbeerat.

Once the Khutbah is over, you can leave for your homes.


by

Follow our WhatsApp Channel

X