Summary
Kya Dua e Ashura Hadith Main Ati Hai? | Nahi, iska kisi hadith main zikr nahi |
Kya Is Dua Ki Waja Se 1 Saal Tak Koi Museebat Nahi Ati? | Aisi Koi Baat Kisi Mustanad Hawalay Se Sabit Nahi |
Kya Dua e Ashura Parhni Chahye? | Dua ke alfaaz sahi hain aur koi shirkia baat nahi is liye isko aur duao ki tarha aik dua ke tor par parh saktay hain. Lekin iske baray mian koi khaas aqeedah ya fazilat nahi samajhna chahye |
Ashura Day is described as one of the most virtuous days of the Islamic calendar in various Hadith. This is why Prophet Muhammad ﷺ encouraged Sahaba to fast on Ashura Day and spend it in Nafl prayer and Dua.
In this article, we’ll share Dua e Ashura, a dua many people read on 10th Muharram, in Arabic, Urdu and English. We will also tell you if it’s a sunnah to read this dua and whether you should read it or not.
Let’s get started.
Kya Dua e Ashura Parhne Se Aik Saal Tak Maut Nahi Ati? Zaruri Wazahat
Youm e Ashura Ki Dua Kya Hai | Download PDF
Ashura ki dua main Allah Taala ko Ashura ke din huay mukhtalif waqiyat ka wasta de kar Allah ki madad talab ki jati hai.
In waqiyat ki tafseel hum Ashura ke article main bata chukay hain. Is tarha se dua karna jaiz hai kyu ke dua Allah hi se mangi ja rahi hai.
Dua e Ashura Arabic main ye hai
Dua e Ashura Roman Transliteration
Ya Qaabila Taoobati Aadama Yaooma Aashooraa
Ya Faarijal Karbi Zinnooni Yaooma Aashooraa
Ya Jaami’a Shamli Yaqooba Yaooba Aashooraa
Ya Saami’a Da’wati Moosa Wa Haroona Yaooma Aashooraa
Ya Mugheesha Ibraheema Minan Naari Yaooma Aashooraa
Ya Raafi’a Idreesa Ilas Sama’ee Yaooma Aashooraa
Ya Mujeeba Da’wati Sawlihin Fin Naaqati Yaooma Aashooraa
Ya Naasira Syedina Muhammadin ﷺ Yaooma Aashooraa
Ya Rahman Addunya Wal Aakhirati Wa Raheemahuma Salli Ala Syedina Muhammadin Wa Ala Aali Syedina Muhammadin Wa Salli Ala Jamee’il Ambyaa’ee Wal Mursaleen, Waqzi Hajaatina Fid Dunya Wal Aakhirah, Wa Atil Umrana Fi Taw’atika Wa Mahabbatika Wa Rizaaka Wa Ahyina Hayatan Tayyiba, Wa Tawaffana Alal Eemaani Wal Islam, Bi Rahmatika Ya Arhamar Rawhimeen.
Allahumma Bi Izzil Hassani Wa Akheehi Wa Ummihi Wa Abeehi Wa Jaddihi Wa Baneehi Farrij Anna Maa Nahnu Fih.
Ashura Ki Dua In Urdu/Hindi Translation
Aay Ashura Kay Din Adam Ki Dua Qubul Karne Walay
Aay Ashura Kay Din Yunus Ka Bojh Halka Karne Walay
Aay Ashura Kay Din Yaqoon Ko Unke Betay Se Milanay Walay
Aay Ashura Kay Din Musa o Haroon Ki Dua Sunnay Walay
Aay Ashura Kay Din Ibrahim Ko Aag Se Bachanay Walay
Aay Ashura Kay Din Idrees Ko Aasmaano Par Uthanay Walay
Aay Ashura Kay Din Saaleh Ki Oontni Ke Liye Dua Qubul Karne Walay
Aay Ashura Kay Din Hamary Aqa Muhammad ﷺ Ki Madad Karnay Walay
Aay Is Dunya Main Meherbani Karnay Walay Aur Aakhirat Main Rehmat Farmanay Walay
Hamaray Aqa Muhammad ﷺ Par Khaas Barkatain Aur Rehmatay Nazil Farma Aur Unki Aal Aulaad Par Bhi, Aur Tamam Nabiyo Aur Rasoolo Par.
Aur Hamari Tamam Hajaat Aur Zaruriyat Is Dunya O Aakhirat Ki Puri Farma, Aur Hamay Apni Farman Bardari Wali, Muhabbat Wali, Riza Wali Taweel Umar Ata Farma
Aur Hamay Pakeeza Zindagi Ata Farma Aur Islam Aur Eemaan Par Maut Ata Farma, Apni Khaas Rehmat Se Aay Sab Se Ziyada Reham Karne Walay
Aur Aay Allah Izzat Ke Wastay Hassan Aur Hussain Ki, Aur Unke Maa Baap Ki, Aur Unke Nana ﷺ Ki, Aur Unki Tamam Aulaado Ki
Hamaray Gham Door Farma Aur Hamari Mushkil Asan Farma.
Dua e Ashura In English
- O You who accepted the repentance of Adam on this day of Ashura;
- O You who delivered Jonah from his burden on this day of Ashura;
- O You who reunited Jacob (with his son) on this day of Ashura;
- O You who heard the plea of Moses and Aaron on this day of Ashura;
- O You who rescued Abraham from the fire on this day of Ashura;
- O You who raised Idris to heaven on this day of Ashura;
- O You who answered the plea of Saleh with a she-camel on this day of Ashura;
- O You who helped our Master Muhammad (the grace and peace of Allah be upon him) on this day of Ashura;
- O Merciful One in this lowly world and in the hereafter; O Compassionate One of the two abodes;
- Salli ‘alaa sayyidinaa Muhammadin wa ‘alaa aali sayyidinaa Muhammadin wa salli ‘alaa jamee’il-ambiyaa-i wal-mursaleen; Bestow your grace upon our Master Muhammad and upon the people of Muhammad, and upon all the prophets and all the messengers!
- Waqdi haajatinaa fid-dunyaa wal-aakhirati wa atil ‘umranaa fee taa’atika wa mahabbatika wa ridaak! And grant us our need in this life and in the hereafter, and grant us many years in Your obedience and Your love and Your pleasure!
- Wa ahyinaa hayaatan tayyibatan wa tawaffanaa ‘alal-eemaani wal-islaami bi rahmatika yaa arham ar-raahimeen. And return us to a life of purity and take us not (in death) except upon faith and submission by Your mercy, O You who is the most compassionate of all those who show compassion.
- Allaahumma bi ‘izzil-hasani wa akhi wa ummihi wa abeehi wa jaddihi wa baneehi; O Allah! By the honour of Hasan and of his brother, and that of his mother and that of his father, and by the honour of his Grandfather(Peace be upon him) and that of his children
- Farrij ‘annaa maa nahnu feehi! Relieve us of what has befallen us!
Ashura Ki Dua Kis Hadith Se Sabit Hai?
Ashura ka din dua aur ibadat ka din hai. Isi liye Rasoolullah ﷺ ne is din khud bhi roza rakha aur Sahaba ko bhi iski talqeen ki.
Mutaddid Ahadith main aya hai ke Ashura ke din Allah Taala ne bohat se qomo ki tauba qubool ki aur ainda bhi karengay.
Is lehaz se ye din dua ka din hai.
Roza rakh kar is din ehtimam se dua karni chahye.
Lekin Ashura ki dua ke liye kya hadith main koi khaas alfaaz atay hain? Jesa key Dua e Ashura kay naam se masshhoor hai?
Iska Jawab hai nahi.
Aisi koi dua hadith se sabit nahi, na hi iski koi fazilat Rasoolullah ﷺ ya kisi Sahabi ne bayan kari.
Is liye is dua ko khaas ashura ki dua samajhna aur sunnat samajh kar parhna sahi nahi.
Lekin, is dua kay alfaaz bilkul theek hain, is main koi shirkiya baat nahi, aur na hi Allah taala ke siwa kisi aur se manga gya hai.
Is liye, agar koi Dua e Ashura ke alfaaz parh kar bhi dua karta hai to kar sakta hai. Lekin isko Sunnat na samjhay, na hi iski koi khaas fazilat apni taraf se banae jesa ke baaz log kehtay hain ke is dua ko parhnay se aglay ek saal koi museebat nahi ati. Iska hadith main koi suboot nahi.
Baqi sirf dua ke tor pe parha ja sakta hai.
Kya Dua e Ashura Parhna Sahi Hai?
Jesa ke bataya gya kay Ashura ke din dua ka khoonb ehtimam karna chahye. Apni dunya o Akhirat ki har dua apni zaban main mangay. Iske alawa Hadith Sharif main jo duain Rasoolullah ﷺ se sabit hain woh mangay.
Is ke sath sath Dua e Ashura bhi parhi ja sakti hai kyu ke is ke mafhoom aur alfaaz sahi hain, koi shirkia baat nahi.
Bas isko sunnat na samjhay na hi iske baray main koi aqeeda banae ke is se pura saal koi museebat nahi aegi.