Ashura Ki Namaz Ka Tarika | 10 Muharram Ki Ibadat Ka Time, & Rakat (Urdu/Hindi)

Youm e Ashura, 10th Muharram ul Haram, is among the most significant days of the Islamic calendar. This is why Prophet Muhammad ﷺ emphasized fasting on Ashura Day and encouraged Sahaba to indulge in Nafl namaz and dua.

In this article, we will discuss the Namaz e Ashura (the nafl prayers of Ashura) and how to perform them.

We will show you the complete Ashura ki namaz ka tarika and answer all your questions related to this topic in Urdu, Hindi, and English.

Let’s get started.

Namaz e Ashura Kya Hai Aur Kya Ye Sunnat Hai?

Namaz e Ashura nafl namaz hai jo Youm e Ashura ke moqay par parhi jati hai. Iska maqsad Allah Taala ka qurb hasil karna aur Ashura ke mubarak din apne ap ko ibadat aur dua main mashghool rakhna hai.

Lekin aik baat khoob samajh leni chahye ke Ashura Ki Namaz kisi hadith ya Sahabi se sabit nahi. Ye koi sunnat nahi aur na hi iska zikr kisi bhi hadees main milta hai.

To phir ye kahan se aee?

Haqeeqat ye hai kay Namaz e Ashura ya Ashura ki namaz ummat ke naik buzurgo aur Ulama ke mukhtalif tareeqo aur tajarbaat ko mila kar banaee gaee hai.

Is namaz ka zikr kisi aik jaga nahi milta.

Balkay mukhtalif buzurgo ne Ashura ke din jo ibadaat apnay tor par kari, baad ke logo ne unhi ko Namaz e Ashura ke naam se jama kardia.

Yu samajh lain ke ye aam nafl namaz hai jo aap Ashura ke din ada karengay, jis tarha kisi bhi aur din nafl parhtay hain.

Is main kisi bhi surat ki tilawat kar saktay hain aur koi khaas amal is ke liye alag se nahi.

Iski alag se koi fazilat bhi nahi na hi aam nafl namazo se ziada iska sawab hai.

Jis tarha kisi bhi aur din Nafl parhay jatay hain wesay hi ye bhi hain.

Lekin kyu kay Rasoolullah ﷺ ne Youm e Ashura par Roza rakhnay aur nafli ibadat ki talqeen farmaee hai, is liye is din Nafl namaz ka ehtimam karna chahye.

Khulasa ye kay Namaz e Ashura naam ki koi khaas namaz shariat main nahi. Lekin Ashura ke din nafl parhna achi baat hai kyu ke ye mubarak din hai.

Iska jo bhi tarika agay bayan kia jaega woh mukhtalif buzurgo ka tajarba hai, koi hadees ya sunnat nahi.

Ashura Ki Namaz Kitni Rakat Hain Aur Waqt?

Ashura ki namaz aam nafl namazo ki tarha parhi jaegi. Is mai nbhetar hai ke 2 – 2 rakat karke 4 se 6 rakat ada karain.

Isko 10 Muharram ke din makrooh auqaat ke ilawa kisi bhi waqt ada kia ja sakta hai.

Makrooh auqaat ye hotay hain

  • Fajr ki namaz ke baad se suraj nikalne k 15 minute baad tak.
  • Zawal ka waqt (yani Zuhr ka waqt shuru honay se pehle 20 mi nute ka waqt)
  • Asr se maghrib ka waqt

In auqaat ke ilawa kisi bhi waqt Namaz e Ashura ada ki ja sakti hai.

Behtar hai agar isko Zuhr ke baad ada karain ya Ishraaq ke sath ada kar lain. Dono tarha se sahi hai.

Youme Ashura Ki Namaz Kaise Padhe | Step By Step Tarika In Urdu/Hindi

Youme Ashura ki namaz padhne ka tarika bohat asan hai. Ayye hum isko step by step samajh letay hain.

Behtar hai ke Ashura ke din roza bhi rakhay takay rozay ki barakat se nafli ibadat main aur noor peda ho.

Ashura Ki Namaz Ka Tarika Aur Niyat

Step 1: Taza wuzu kar lain nafl ibadat ki niyat se

Step 2: Iske baad paak saaf kapre pehen lain aur behtar hai ke safaid libaas pehnay

Step 3: Koi achi khushbu ya itar lagae

Step 4: Behtar hai ye namaz ghar main ada karain kyu ke nawafil ghar main padhna afzal hai.

Step 5: Koi alag kamra ya jaga dekh kar waha tanhaee main namaz ada karain.

Step 6: Ab Namaz e Ashura ki niyat kar lain. Niyat dil main karna kafi hai aur koi khaas alfaaz nahi. Bas yu keh lain “Aay Allah, main apki riza ke liye 2 rakat nafl namaz is mubarak ashura ke din ada kar raha hu. Is ko qubul farma lijay”

Step 7: Iske baad Aam namaz ki tarha Allahu Akbar keh kar namaz shuru kar dain

Step 8: Surah fatiha ke baad kisi bhi surat ki tilawat kar saktay hain. Lekin behtar hai ke kisi taweel surat ki tilawat karain jesay Surah Yaseen, Mulk waghera. Lekin agar koi taweel surat yaad na ho to jo yaad ho woh padh lain. Maslan Surah Kaafiroon pehli rakaat main aur Surah Ikhlaas Dusri rakaat main.

Step 9: Ruku aur sajda is namaz main taweel karain aur Tasbeehaat yani Subhana Rabbi Yal Azeem Aur Subhana Rabbi Yal Aala kam az kam 7 – 7 martaba kahain

Step 10: Iske alawa Sajdo main arabi zaban main jo dua yaad hain woh parhain. Maslan Rabbana Aatina Fiddunya Hasana Wa Fil Aakhirati Hasana Waqina Azaban Naar. Ya Iske alawa bhi arabi main jo bhi dua yaad ho baar baar mangay.

Step 11: Jab 2 rakat mukammal kar lain to dubara isi tarha 2 rakat ki niyat karke namaz shuru kar dain.

Step 12: Is tarha se 4,6 ya 8 rakat ada kar lain.

Ashura Ki Namaz Ke Baad Wazifa

Jab Namaz e Ashura se farigh ho jae to kuch dair Allah taala ka zikr karain. Khaas tor par Tasbeeh e Fatimi (33 dafa Subhan Allah, 33 dafa Alhamdulillah, 34 dafa Allahu Akbar) ka zarur ehtimam karain.

Is ke ilawa11 martaba durood sharif (koi sa bhi durood)

100 martaba La ilaha Ilallah

100 martaba Subhanallahi Wabi Hamdihi Subhanallahil Azeem

Iske baad 15-20 minute Quran e Kareem ki tilawat karain jahan se bhi chahy, koi khaas surat padhna zaruri nahi.

Iske baad dua ka ehtimam karain aur khoob girgira ke Allah taala se apne liye, apni family, dosto, aur puri ummat ke liye dua karain.

Ashura (10 Muharram) Ki Namaz Ka Tarika In English

Ashura prayers or Namaz e Ashura is a nafl prayer based on the experiences and teachings of different scholars over the years.

It is not proved from Sunnah or Hadith, nor did any Sahabi ever offer it by this name. There’s no namaz by this name, and any nafl offered on Ashura has the same virtues as any other nafl namaz, nothing extra.

However, since Ashura is a blessed day and Prophet Muhammad ﷺ encouraged Muslims to fast and pray on Ashura, therefore, offering nafl namaz on this day is certainly a virtuous act.

This namaz is like any other Nafl prayer and can be offered at any time, except for the prohibited times (after Fajr till 15 min after sunrise, 20 minutes before Zuhr time, between Asr and Maghrib).

You have to make Wudu first. Then you can offer this namaz in 2 – 2 rakat and can offer up to 4, 6, or 8 rakat (or as many as you want).

You can read any surahs in this namaz, but it is better to recite long surahs like Yaseen, Mulk. But if you don’t remember them, read Surah Kaafiroon in the first rakaat and Surah Ikhlaas in the second rakaat.

In Ruku and sujood read the tasbeehat and any other Arabic dua that you remember.

After the namaz, read tasbeeh e fatimi, durood sharif, and kalima e shahadat 100 time.

Then make dua for yourself, your family, and all ummah.

Kya Apne Namaz e Ashura Ka Tarika Samajh Lia?

Jesa ke apne dekha ke 10 Muharram Ashura Ki Namaz padhna bohat asan hai. Iska maqsad Ashura ke din Allah Taala ki yaad main masghool rehna hai. Is liye ap Ahura ke din roza bhi rakhay aur jitna mumkin ho nafl namaz ke zarye Allah Taala ko razi karne ki koshish karain.

Allah Taala hum sab ko sunnat tarika par amal ki tofeeq ata farmae aur har bidat aur gumrahi se bachae.


by

Follow our WhatsApp Channel

X