Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika Aur Dua [Eng & Urdu]

Salatul Tasbeeh is among the most rewarding prayers in Islam. In this article, we’ll share the origin of this salah along with its step-by-step method according to the Hadith of Rasoolullah ﷺ

Agar ap Salatul Tasbih ki namaz ka tarika seekhna chahtay hain to ye article end tak parhain. Is main hum apko Salatul Tasbeeh ka waqt, niyat, rakat, dua, aur mukammal tareeqa bataegay.

Please share this article with your friends and family as sadqa e jariyah.

Salatul Tasbih Ki Namaz Ka Step By Step Tarika In Urdu/Hindi

Ayye ab seekhtay hain ke Salatul Tasbeeh ki namaz ka tarika kya hai. Wazu karke qibla rukh kharay ho jae, uske baad ye steps follow karain.

Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika aur Dua

Step 1: Sab se pehle Salatul Tasbeeh ki niyat karlain.

Step 2: Ab Allahu Akbar keh kar hath baandh lain

Step 3: Sana, Surah Fatiha, aur koi Surat parh lain.

Step 4: Ab ruku main janay se pehle 15 martaba Salatul Tasbeeh ki dua parh lain (سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ)

Step 5: Ab Allahu Akbar keh kar Ruku main chalay jae

Step 6: Ruku ki tasbeeh parhne ke baad Salatul Tasbih ki dua 10 martaba parh lain.

Step 7: Ab Ruku se uth kar kahain سَمِعَ اللّٰهُ لِمَنْ حَمِدَه aur phir 10 martaba Salatul Tasbeeh ki dua parh lain

Step 8: Ab Sajday main chalay jae aur Sajday ki tasbeeh سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلیٰ ke baad 10 martaba Salatul Tasbih ki dua parh lain.

Step 9: Ab pehle Sajday se uth kar beth jae aur 10 martaba parh lain.

Step 10: Ab doosray sajday main jae aur سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلیٰ ke baad phir 10 martaba parh lain.

Step 11: Ab doosray Sajday se uth kar bethay aur 10 martaba Salatul Tasbeeh ki Dua parh lain.

Is tarha 1 rakat main 75 martaba apne سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ parh lia.

Step 12: Ab Doosri Rakat ke liye kharay ho jae aur bilkul isi tarha 4 rakat mukammal kar lain.

Step 13: 2nd aur 4th rakat main doosre sajday se uth kar Salatul Tasbeeh ki dua parhen ke baad qaaday main beth kar Attahiyyat parhengay jis tarha aam namazo main parhi jati hai.

Is tarha 4 rakat main ap Salatul Tasbih ki dua 300 martaba parhengay.

Agar namaz ke doran kalmay ka hisab rakhne main mushkil ho to apni unglio ko kalaee par ahista se hila kar madad le saktay hain.

Is tarha Salatul Tasbih ki namaz mukammal ho jaegi.

Allah Taala Qubool farmae.

Doosra Tarika

Jo Tarika upar bayan kiya gaya uske alawa bhi aik tarikay se Salatul Tasbeeh parhi ja sakti hai. Dono tarikay sahi hain.

Salatul Tasbeeh ka dossra tarika ye hai.

salatul tasbeeh ka tarika aur dua

Salatul Tasbih Kaise Padhte Hain [For Ladies & Gents]

Ayye ab hum Salatul Tasbeeh ki namaz parhne ke baray main kuch aur zaruri maloomat hasil karte hain takay ye namaz hum bulkul sahi tarikay se parh sakay.

Waqt

Sab se pehle Salatul Tasbeeh ka sahi waqt kya hai? Ye nafli namaz hai jo makruh aur mamnu auqaat ke alawa kisi bhi waqt parhi ja sakti hai. Yani Fajr ki namaz ke baad se tulu e aftab tak, Zuhr se adha ghanta pehle (Zawal ka waqt), aur Asr se maghrib ke darmiyan isko nahi parh saktay.

Iske alawa jis waqt chahay parhay.

Lekin Ulama ne farmaya ke Jumma ki namaz se pehle Salatul Tasbeeh parhli jae to bohat bais e barakat hai aur yehi iska behtreen waqt hai. Lekin iske alawa Tahajjud ke waqt ya kisi aur waqt bhi parhi ja sakti hai.

Khaas Fazeelat ki raatain yani Shab e Barat, Shab e Qadar, aur Yom e Arafah main bhi Salatul Tasbeeh ka ehtimam karna chahye.

Niyat

Salatul Tasbeeh ki koi khaas niyat nahi. Bas apni zaban main itni niyat karlain:

“Main 4 rakat Salatul Tasbih Nafil Namaz ki niyat karta hu Allah Taala ki riza ke liye”

Niyat ke alfaaz zaban se khena bhi zaruri nahi kyu ke niyat dil ke iraday ko kehtay hain. Is liye bas irada kafi hai

Rakat

Salatul Tasbeeh ki namaz main 4 rakat hoti hain. Yani 4 rakat 1 salam ke sath parhi jaengi. Ye 4 rakat bilkul aam namazo ki tarha parhi jati hai bas is main farq ye hai ke Salatul Tasbih ki dua bhi parhi jati hai jo agay bayan ki jaegi.

Salatul Tasbeeh Ki Dua

Salatul Tasbeeh ki dua dar asal teesra kalma hai, jo ye hai.

salatul tasbeeh ki namaz ka tarika aur dua - subhan allah wal hamdulillah wala ilaha ilallahu wallahu akbar

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

Ye kalma Salatul Tasbeeh ki har rakat main 75 martaba parha jaega. Is tarha 4 Rakat main 300 martaba ho jaega. Har rakat main jab pehli martaba ye Kalma parhain to iske baad وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِٱللَّٰهِ ٱلْعَلِيِّ ٱلْعَظِيمِ bhi parh lena chahye.

How To Offer Salatul Tasbeeh? Step By Step Method In English

Let’s learn the step-by-step method of Salatul Tasbeeh.

Time

Salatul Tasbih is a Nafil namaz, so you can offer it any time you want except the prohibited times (After Fajr till sunrise, 30 min before Zuhr, between Asr and Maghrib).

Scholars say the best time to offer Salatul Tasbeeh is before Jumma prayers or at the time of Tahajjud. It is also immensely rewarding to offer Salatul Tasbeeh during Ramadan.

Niyat

There’s no specific Niyat for Salatul Tasbeeh. Just say the following in your own language “O Allah, I intend to offer 4 Rakat Salatul Tasbeeh for your pleasure.”

Rakat

Salatul Tasbeeh consists of 4 Rakat. These 4 Rakat are offered like any other regular 4 rakat prayer. The only difference is that in every Rakat you will read the Dua of Salatul Tasbih 75 times. So, in 4 Rakat you will read Salatul Tasbih Dua 300 times in total.

Dua

The dua of Salatul Tasbih is actually the third kalma.

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

You have to read this kalma 300 times in Salatul Tasbeeh.

Method

Here’s the step-by-step method of Salatul Tasbih.

Step 1: Make the niyah of Salatul tasbih

Step 2: Start the namaz by saying Allahu Akbar, then read Sana, Surah Fatiha, and a Surah from the Holy Quran.

Step 3: Now before going is Ruku, read the Dua of Salatul Tasbeeh 15 times (سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ)

Step 4: Now say Allahu Akbar, go in Ruku, and read the Ruku tasbeeh. After that, read the Salatul Tasbih Dua 10 times.

Step 5: Now get up from Ruku and say سَمِعَ اللّٰهُ لِمَنْ حَمِدَه. Then read Salatul Tasbih Dua 10 times.

Step 6: Now go to Sajdah and say سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلیٰ. Then read Salatul Tasbih Dua 10 times.

Step 7: Now get up from the first Sajday and read the Salatul Tasbih Dua 10 times.

Step 8: Now go to the second Sajdah, read its tasbeeh, and then read the Salatul Tasbeeh dua 10 times.

Step 9: Get up from the second Sajdah, sit, and say the Salatul tasbih kalma 10 times.

This way, you’ll read this Kalma 75 times in the first Rakat. Now get for the second rakat and repeat the same steps. In the 2nd and 4th Rakat, you’ll sith in Attahiyyaat after getting up from the second Sajdah and reading the Salatul Tasbih Dua.

In total, you will read this Dua 300 times in 4 Rakat.

What Is Salatul Tabeeh?

Salatul Tasbeeh is a voluntary (nafil) Namaz with immense rewards and blessings. It was taught by Rasoolullah ﷺ to his uncle Abbas رضي الله عنه. Although it’s a Nafil Namaz, the Prophet encouraged his uncle to offer it daily or as frequently as possible. It is offered like a regular prayer but we have to read the 3rd Kalma 300 times in its 4 rakat.

Salatul Tasbeeh ek nafli Namaz hai jo Rasoolullah ﷺ ne apne chacha Abbas رضي الله عنه ko sikhaee. Is namaz main 4 rakat hoti hain aur isko padhne ka bohat ajr o sawab hai. Isko aam namazo ki tarha hi parha jaega bas farq ye hai ke is main teesra kalma 300 martaba parha jata hai.

Benefits & Fazilat In Hadith

The benefits and fazilat of Salatul Tasbeeh is described in detail in the following hadith.

‏ يَا عَبَّاسُ يَا عَمَّاهُ أَلاَ أُعْطِيكَ أَلاَ أَمْنَحُكَ أَلاَ أَحْبُوكَ أَلاَ أَفْعَلُ بِكَ عَشْرَ خِصَالٍ إِذَا أَنْتَ فَعَلْتَ ذَلِكَ غَفَرَ اللَّهُ لَكَ ذَنْبَكَ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ قَدِيمَهُ وَحَدِيثَهُ خَطَأَهُ وَعَمْدَهُ صَغِيرَهُ وَكَبِيرَهُ سِرَّهُ وَعَلاَنِيَتَهُ عَشْرَ خِصَالٍ أَنْ تُصَلِّيَ أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ تَقْرَأُ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ فَاتِحَةَ الْكِتَابِ وَسُورَةً فَإِذَا فَرَغْتَ مِنَ الْقِرَاءَةِ فِي أَوَّلِ رَكْعَةٍ وَأَنْتَ قَائِمٌ قُلْتَ سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ خَمْسَ عَشْرَةَ مَرَّةً ثُمَّ تَرْكَعُ فَتَقُولُهَا وَأَنْتَ رَاكِعٌ عَشْرًا ثُمَّ تَرْفَعُ رَأْسَكَ مِنَ الرُّكُوعِ فَتَقُولُهَا عَشْرًا ثُمَّ تَهْوِي سَاجِدًا فَتَقُولُهَا وَأَنْتَ سَاجِدٌ عَشْرًا ثُمَّ تَرْفَعُ رَأْسَكَ مِنَ السُّجُودِ فَتَقُولُهَا عَشْرًا ثُمَّ تَسْجُدُ فَتَقُولُهَا عَشْرًا ثُمَّ تَرْفَعُ رَأْسَكَ فَتَقُولُهَا عَشْرًا فَذَلِكَ خَمْسٌ وَسَبْعُونَ فِي كُلِّ رَكْعَةٍ تَفْعَلُ ذَلِكَ فِي أَرْبَعِ رَكَعَاتٍ إِنِ اسْتَطَعْتَ أَنْ تُصَلِّيَهَا فِي كُلِّ يَوْمٍ مَرَّةً فَافْعَلْ فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي كُلِّ جُمُعَةٍ مَرَّةً فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي كُلِّ شَهْرٍ مَرَّةً فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي كُلِّ سَنَةٍ مَرَّةً فَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ فَفِي عُمُرِكَ مَرَّةً ‏”‏ ‏.

(Source)

The Messenger of Allah (ﷺ) said to al-Abbas ibn AbdulMuttalib: Abbas, my uncle, shall I not give you, shall I not present to you, shall I not donate to you, shall I not produce for you ten things? If you act upon them, Allah will forgive you your sins, first and last, old and new, involuntary and voluntary, small and great, secret and open.

These are the ten things: you should pray four rak’ahs, reciting in each one Fatihat al-Kitab and a surah. When you finish the recitation of the first rak’ah you should say fifteen times while standing: “Glory be to Allah”, “Praise be to Allah”, “There is no god but Allah”, “Allah is most great”. Then you should bow and say it ten times while bowing. Then you should raise your head after bowing and say it ten times. Then you should kneel down in prostration and say it ten times while prostrating yourself. Then you should raise your head after prostration and say it ten times. Then you should prostrate yourself and say it ten times. Then you should raise your head after prostrating and say it ten times in every rak’ah. You should do that in four rak’ahs.

If you can observe it once daily, do so; if not, then once weekly; if not, then once a month; if not, then once a year; if not, then once in your lifetime.

Yani jo shakhs Salatul Tasbeeh parhta hai, Allah Taala uske tamam aglay pichlay gunah muaaf farma dete hain. Lekin yaad rahay ke Huqooq ul Ibad is se muaaf nahi hotay jab tak unki talafi na kardi jae ya phir muaafi na maang li jae.

Allah Taala hum sab ko Salatul Tasbih ki fazilat hasil karne ki tofeeq ata farmae.

Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ke Baad Dua Karain

Jab Salatul Tasbeeh ki namaz mukammal kar lain to Durood e Ibrahimi parhain aur phir girgira kar dair tak Allah Taala se apnay tamam dunyawi aur deeni muaamlat ke liye khoob dua karain.

Chahay Gunah nahi choot rahay ho, qarz ki adaigi ka masla ho, achay rishtay ki talash ho, ya aur koi bhi zarurat ho, is moqay par dil laga kar Allah Taala se maangay. Sath sath Salatul Hajat ki dua bhi parh lain kyu ke woh bhi is moqay ke lihaaz se bohat munasib dua hai.

Hamay bhi dua main yaad rakhay.


by

Follow our WhatsApp Channel

X