Shab e Qadar Ki Ahmiyat Aur Fazilat In Urdu & Hindi

Shab e Qadr Islami saal ki sab se mubarak raato main se aik hai.

Is raat ki is qadr fazilat aur ahmiyat hai ke agar kisi shakhs ko ye mil jae to uski dunya o aakhirat sawar jae. Is puri raat main Allah Taala ki rehmat ki moosladhaar barish hoti rehti hai.

Is article main tafseel se Shab e Qadr ke baray main janengay aur is ehmiyat pe roshni dalengay

Shab e Qadr Kya Hai Aur Kis Date Pe Hoti Hai?

Shab e Qadr Ramadan ul Mubarak ke akhri ashray ki taaq raato main se ek raat hoti hai. Lekin is ki exact date ya tareekh kisi ko nahi maloom.

Taaq Raato se murad hai Ramadan ki 21, 23, 25, 27 aur 29 wee raatain.

Is raat ki is qadar fazilat hai ke Allah Taala ne isko 1 hazar maheeno se behtar raat qara dia hai.

Yani jo shakhs Shab e Qadr ko paa lay aur usko ibadat main guzaray to ye aisa hai jese usne 1000 saal ibadat kari.

Shab e Qadar is ummat ke liye Allah Taala ka khaas tohfa hai. Pichli Ummato main logo ki umar bohat lambi hoti thi aur baaz ummato main to kaee hazar saal ki umar hua karti thi.

Isi tarha jinnaat ki umar bhi hazaro saal hoti hai aur woh agar chahay to khood ibadat kar sakte hain.

Lekin Allah ke Habib Rasoolullah ﷺ ki ummat ki umar ob naverag 60 se 70 saal hoti hai. Is liye hum utni ibadat nahi kar saktay kitni pichli ummatain karti thi.

Is liye Allah Taala ne hamari ummat ko Shab e Qadr ki soorat main ye azeem nemat ata farma di kay agar tum is raat main ibadat karlo to tumhay 1000 maheeno se ziada ibadat ka sawab dia jae ga.

Is liye har musalman ki khwahish hoti hai ke woh shab e qadr hasil karay.

Shab e Qadar Ki Fazilat Ki Kya Waja Hai Aur Is Raat Kya Hota Hai?

Mukhtalif riwayat se Shab e Qadr ki fazilat ki wujuhat pata chalti hain.

Ulama farmatay hain ke is raat main Allah Taala ne Qurab ne Kareem nazil karne ki ibtida farmaee yani raat main pehli wahi nazil hui.

Is raat farishto ko khaas hukum hota hai ke kasrat se zameen main ghoomay aur Allah ke naik banday jo dua aur ibadat main mashghool hain un par Allah ke rehmatain aur sakina nazil karain.

Quran Main Shab e Qadr Ki Ahmiyat – Surah Al-Qadr

Shab e Qadr ke baray main Allah Taala ne Quran e Kareem ki Surah Qadr nazil farmaee jis main is raat ko yu bayan kia.

إِنَّآ أَنزَلْنَـٰهُ فِى لَيْلَةِ ٱلْقَدْرِ

وَمَآ أَدْرَىٰكَ مَا لَيْلَةُ ٱلْقَدْرِ

لَيْلَةُ ٱلْقَدْرِ خَيْرٌ مِّنْ أَلْفِ شَهْرٍ

تَنَزَّلُ ٱلْمَلَـٰٓئِكَةُ وَٱلرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمْرٍ

سَلَـٰمٌ هِىَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ ٱلْفَجْرِ

Transliteration Surah Al-Qadr:

Inna Annzalnahu Fee Laeelatil Qadr

Wama Adraaka Maa Laeelatul Qadr

Laeelatul Qadri Khaeerum Min Alfi Shahr

Tanazzalul Malaa’ikatu War Roohu Feeha Bi Izni Rabbihim Minn Kulli Amr

Salaamun Hiya Hatta Mat La’il Fajr

English Translation Surah Al-Qadr

Indeed We have sent it (the Qur’ān) down in the Night of Qadr.

And what may let you know what the Night of Qadr is?

The Night of Qadr is much better than one thousand months.

The angels and the Spirit descend in it, with the leave of your Lord, along with every command.

Peace it is till the debut of dawn.

Urdu/Hindi Translation Surah Al-Qadr

Bay Shak Hum Nay Is Quran Ko Shab e Qadr Main Nazil Kia

Aur Tumhay Kya Maloom Kay Shab e Qadr Kya Cheez Hai

Shab e Qadr Aik Hazazr Maheeno Se Bhi Behtar Hai

Is Main Farishtay Aur Rooh Apnay Parwardigar Ki Ijazat Se Har Kaam Ke Liye Utartay Hain

Woh Raat Saraapa Salamti Hai Fajr Ke Tulu Honay Tak

Explanation

Jesa ke Surah Qadr ke tarjumay se waazay hai ke Allah Taala ne is azeem raat ki fazilat khud bayan kar ke hamay is ki taraf mutawajjay kia hai.

Is liye iski fazilat aur ahmiyat main koi shak o shuba nahi.

Shab e Qadar Kay Baray Main Hadith Sharif

Shab e Qadr ki fazilat bohat si ahadees mubarak main Rasoolullah ﷺ ne bayan farmaee hai.

Un main kuch ye hain.

مَنْ صَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ، وَمَنْ قَامَ لَيْلَةَ الْقَدْرِ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ

Mafhoom: “Jis ne bhi eeman aur sawab ki niyat se Ramadan ke rozay rakhay, us ke tamam pichlay gunah muaaf kardiye jaengay. Aur jis kisi ne Lailatul Qadr main qayam kia (yani anamz parhi) emaan ke sath aur Allah se ajr ki ummeed ke sath, to uskay tamam gunah muaaf kardiye jaengay.” (Bukhari)

‏ تَحَرَّوْا لَيْلَةَ الْقَدْرِ فِي الْوِتْرِ مِنَ الْعَشْرِ الأَوَاخِرِ مِنْ رَمَضَانَ

Mafhoom: Shab e Qadr ko Ramadan ke akhri ashray ki taaq raato (yani 21, 23, 25, 27 aur 29 wee shab) main talash karo

In ahadith se wazay hai ke Rasoolullah ﷺ ne na sirf Shabv e Qadr ki fazilat bayan kari balay Sahaba kiram ko is raat ko taaq raato main talash karne ki talqeen farmaee.

Shab e Qadr Main Kya Karna Chahye

Shab e Qadr ibadat aur dua ki raat hai.

Is raat main koi khaas ibadat nahi. Balkay jo nafli ibadat bhi Rasoolullah ﷺ aur Sahaba ikram se sabit hai woh ki ja sakti hai.

Asal ye hai ke is raat ko Allah ke zikr, tilawat e quran, Tahajjud aur qiyam ul lail, dua ke zarye abad kia jae.

Jitna ziada mumkin ho tanhaee main reh kar Ramadan ki taaq raato main Shab e Qadr ko talash karna chahye. Aur iska tarika yehi hai ke dua aur ibadat main mashghool rahain.

Follow our WhatsApp Channel

X