Wazu Ka Tarika | How To Do Wudu [Niyat, Faraiz, Sunnahs]

Wudu (also spelled as Wazu and Wuzu) helps you purify and clean yourself before performing Namaz, Tawaf, reading the Quran, and other acts of worship.

It is not only a source of cleanliness but also a means of forgiveness of our sins.

In this article, we’ll share the steps by step Sunnah method of Wudu (in English, Urdu, and Hindi) and explain everything you need to know.

Wazu Ka Sunnat Tarika Step By Step

Wazu main bohat si sunnatain hain jinke karne se insha Allah kamil Wazu sunnat ke mutabiq ho jata hai.

Hum step by step sunnato ke sath Wazu ka tarika bayan kardete hain.

wazu-ka-sunnat-tarika-in-urdu-hindi-step-by-step
wazu-ka-sunnat-tarika-in-urdu-hindi-step-by-step-2

Wazu Ki Niyat

Wazu ka sunnat tarika seekhne ke liye ye steps follow karain

1.Sab se pehle Wazu ki niyat karain. Niyat ka matlab ye hai ke jis bhi ibadat ke liye Wazu bana rahay hain uski niyat kar lain. Maslan, main Asr ki namaz ker liye Wazu kar raha hu ya main Namaz e Janaza ada karne ke liye Wazu kar raha hu. Lekin is Wazu se dusri namazain bhi parh saktay hain dubara Wazu karne ki zarurat nahi

2. Ab Wazu ki Dua parh lain بِسم اللهِ و الحمدلله

Wazu Ki Sunnatain

3. Har Uzu ko 3 martaba dhona Wuzu ki Sunnat hai.

4. Dono hatho ko apni kalaee (wrist) tak dholain

5. 3 baar kulli karain is tarha kay puray mu ke andar achi tarha pani ghuma lain.

6. Naak main 3 baar paani daalain is tarha ke naak ke upar ke hissay tak chala jae. Is ke sath hi 3 baar naak ko chanak kar saaf kar lain

7. Chehra Is tarha dhona ke peshani ke upar se le kar thori ke neechay tak aur dono kaano ki lau tak geela ho jae.

8. Chehra dhonay main darhi ka khilal karna (yani unglio se darhi ko malna takay paani andar tak chala jae). Khilal kartay huay ye dua parhna masnoon hai

ھکذا امرنی ربی

“Ye mere rab ka hukm hai”

9. Dono hatho ko Kohnio tak dhona

10. Dono hatho ki unglio ka khilal karna

11. Dono hatho par paani is tarha bahana ke upar se neechay kohnio tak beh jae

12. Puray sar ka masah karna

13. Sar ke sath kano ka masah karna

14. Gardan ka masah karna (halaq ka masah sunnat nahi hai)

15. Dono pair takhno tak achi tarha dhona

16. Dono pairo ki unglio ka khilal karna

17. Wuzu ke aaza ko achia tarha malna takay koi jaga khushk na reh jae.

18. Wuzu main aaza ko seedhi taraf se pehle dhona.

19. Wuzu ke doran paani ko zaya na karna

20. Wuzu ke doran ghair zaruri baat na karna.

21. Wuzu ke doran ye dua parhna
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي، وَوَسِّعْ لِي فِي دَارِي، وَبَارِكْ لِي فِي رِزْقِي

22. Wuzu ke baad ye dua parhna
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ، وَاجْعَلْنِي مِنَ المُتَطَهِّرِينَ

Wazu Main Miswak Ki Fazilat

Wuzu main kulli kartay waqt Miswak karna sunnat hai. Rasoolullah ﷺ ka irshad e mubarak hai ke:

تَفْضُلُ الصَّلَوةُ الَّتِی يُسْتَاکُ لَهَا عَلَی الصَّلٰوةِ الَّتِی لَا يُسْتَاکُ لَهَا سَبْعِيْنَ ضِعْفًا

Mafhoom: “Jis namaz ke Wazu main miswak ki gaee ho woh namaz 70 guna afzal hai baghair miswak wali namaz se” (Bayhaqi, Al-Sunan Al Kubra 1:38, Raqm: 158)

Is liye koshish karni chahye ke Wazu main Miswak zarur istimal ki jae. Aur agar Miswak na ho to ungli se daanto ko mal lena chahye.

Is tarha Wazu ka tarika mukammal hua.

Wazu Ke Faraiz

Upar Wuzu ka jo tarika bayan kiya us se kamil wuzu hojata hai aur tamam sunnatain, faraiz, aur mustahab bhi cover ho jatay hain.

Lekin agar kabhi paani ki kami ho ya jaldi main wuzu karain, to sirf Wazu ke faraiz ada karne se bhi Wudu ho jae ga.

Faraiz e Wazu ye hain.

Wazu main kul 4 faraiz hain

1. Kam az Kam 1 martaba pura chehra is tarha dhona ke peshani ke upar se le kar thori ke neechay tak aur dono kaano ki lau tak dhul jae

2. Kam az Kam 1 martaba dono hath kohnio tak dhona

3. Aik chothaee sar ka masah karna

4. Dono pair takhno tak kam az kam 1 martaba dhona

Ye Wazu Ka Farz Tarika hai jis se wazu ho jaega insha Allah. Lekin Wuzu ka asal noor Sunnat tarikay se Wazu karnay se hi hasil hoga

How To Make Wudu | Sunnah Method of Ablution Step By Step

Wudu (Ablution) is the foundation of your Ibaadaat. The quality of your Wudu determines the quality and spirituality of your prayers.

Let’s discuss how to do Wudu by learning its the step-by-step method.

Note: Before perfroming Wuzu, it’s better to do visit the toilet and perform Istinja (if needed).

1. First make the niyat (intention) of Wudu. This can simply be that “I’m making wudu to perform Asr namaz”. However, you can offer any other act of worship with the same Wudu, irrespective of your niyat.

2. Now read Wudu Dua بِسم اللهِ و الحمدلله

3. Washing every organ 3 times in Wudu is Sunnah.

4. Start by washing your hands to your wrists three times each.

5. Rinse your mouth and gargle three times.

6. Rinse your nose by putting water in your nostrils three times and blow your nose each time.

7. Wash your face from your forehead to your chin, including both your ears.

8. Rub your beard so that water goes inside and no part of your skin remains dry.

9. Wash both your arms to elbows.

10. Flow water from your hands to your elbows.

11. Wash the parts between the fingers of your hands.

12. Wipe your head with wet hands

13. Wipe your ears (inside and back) and the back of your neck (not your throat)

14. Wash both your feet up to your ankles.

15. Wash the parts between the fingers of your feet.

16. Do not waste water during Wudu

17. Do not talk to anyone unnecessarily during Wudu.

18. Read this Dua during Wudu.

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي، وَوَسِّعْ لِي فِي دَارِي، وَبَارِكْ لِي فِي رِزْقِي

19. Read this dua after Wudu.
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ، وَاجْعَلْنِي مِنَ المُتَطَهِّرِينَ

20. Rubbing all Wudu organs properly so no part of your skin remains dry.

21. Start washing your organs from the right during Wudu.

Wudu Fard (Mandatory) Actions

If you’re in a hurry or don’t have enough water to perform Wudu the Sunnah way, you can follow the Fard (mandatory) parts of Wudu as well.

If you wash these parts of your body, your Wudu will be valid.

1. Wash your face from forehead to chin, including your ears.

2. Wash your hands up to the elbows.

3. Wipe the upper part of your head.

4. Wash your feet up to your ankles.

These are the Fard parts of Wudu. This is how to make wudu when you’re in a hurry. However, the true spirituality of Wudu can only be experienced when you make it the Sunnah way.


by

Follow our WhatsApp Channel

X