Tahajjud Ki Namaz Ka Asan Tarika, Time, Dua Aur Rakat (Urdu/Hindi/Roman)

Click here to read our Tahajjud Prayer Guide in English

Jo hamara khaas dost hota hai hamay us se akelay milna ziada acha lagta hai takay dil ki baatain kar sakay aur sath waqt guzaray.

Isi tarha jo banday Allah (SWT) ke khaas hotay hain unko Allah se akelay milne main ziada lutf aur maza ata hai.

Aur Allah se akelay milne ka behtreen tarika hai Tahajjud ki namaz ada karna.

Ye aisa mubarak moqa hota hai jab sirf banda aur uska rab ek dusre ke sath hotay hain, dusra koi nahi hota.

Is waqt jo dua mangay qubool hoti hai, jo ansu bahae wo rab ke nazdeek boht qeemti hotay hain.

Yehi waja hai ke Allah ke Habib Hazrat Muhammad ﷺ ne hamesha tahajjud ki namaz ko ehtimam se ada kiya, lambi lambi soortain tilawat ki, taweel rakat parhi aur be shumar dua mangi.

Yehi tarika Sahaba aur Aulia ikram ka raha hai.

Is liye agar ap bhi apne rab ka qurb chahte hain to Tahajjud ki namaz ko lazim pakar lain.

Is article main hum apko Tahajjud ki namaz ta tarika, isko ada karne ki asan tarkeeb, aur deegar zaruri information dengay.

Tahajjud Ki Namaz Parhne Ka Tarika

Tahajjud ki namaz parhna bohat asan hai kyu ke ye bilkul aam namazo ki tarha parhi jaegi.

Bas iske khaas honay ki waja iska tareeqa nahi balke iska waqt hai jab inasn tanhaee main apne rab ke huzoor pesh hota hai hai aur uska zikr karta hai.

Jis tarha se ap 2 rakat nafil parhte hain isi tarha Tahajjud ki namaz bhi parhengay.

Yani Wuzu karke namaz shuru karengay. Pehle Surah fatiha parhengay, aam namazo ki tarha aik surat milaengay, ruku sajday karengay, dusri rakat main attahiyyat main bethengay, Durood Sharif parhengay, salam pherdengay.

Lekin ye zarur hai ke tahajjud ki namaz main jitni lambi surat yaad ho woh parhna chahye takay lamba qayam ho.

Isi tarha ruku aur sajday main tasbeehat Subhana Rabbi Yal Azeem aur Subhana Rabbi Yal Aala ziada se ziada parhna chahye. Aam namazo main hum 3 dafa parhte hain, tahajjud main ye tasbeeh 11,13, 15 dafa dil laga kar parhay.

Isi tarha sajday main tasbeeh ke baad Arabic main masnoon duae bhi mangni chahye kyu ke ye qubuliyat ka zardast waqt hota hai.

Tahajjud Namaz Ki Niyat

Tahajjud ki namaz ki niyat bas ye hai ke

“Main tahajjud ki namaz ada karne ki niyat karta hu/karti hu”.

Bas dil main irada ho ke tahajjud parh rahay hain to ye niyat kafi hai.

Tahajjud Ki Rakat

Huzoor e Aqdas ﷺ se Tahajjud main ziada se ziada 12 rakat sabit hain. Lekin akhri umar main Ap ﷺ chaar rakat tahajjud parha karte thay aur in main bohat lambi tilawat farmatay thay.

Lekin tahajjud ki kam se kam miqdar 2 rakat hai. Hadith shareef ke mutabiq Ap ﷺ 2-2 rakat karke tahajjud ki namaz ada farmatay thay.

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ كَانَ النَّبِيُّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ يُصَلِّي بِاللَّيْلِ رَكْعَتَيْنِ رَكْعَتَيْنِ ‏.‏

Mafhoom:

Ibn e Abbas se riwayat hai “Huzoor tahajjud ki namaz 2-2 rakat karke ada farmatay” [Ibn Majah]

Tahajjud Ki Dua

Tahajjud ka waqt dua ki qubuliyat ka khaas waqt hai. Chahay apki koi bhi pareshani ho maslan qarz ho, shadi aur naik rishte ki dua, aulaad ki dua, sehat ki dua, ya kisi bhi jaiz cheez ki dua is waqt zaroor qubool hoti hai.

Allah taala ne dua mangna bhi asan farma diya. Is liye ap apni zaban Urdu ya Hindi main dua mangay, wo rab sab zubanay samajhta hai.

Lekin Hadith shareef se kuch khass duae Manqool hain jo Tahajjud ke waqt mangna insha Allah bohat ba barkat hoga

tahajjud ki namaz ki dua in urdu and hindi translation

Download Tahajjud Ki Dua – PDF

‏”‏اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ وَلَكَ الْحَمْدُ، لَكَ مُلْكُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، وَلَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَقَوْلُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالنَّبِيُّونَ حَقٌّ، وَمُحَمَّدٌ صلى الله عليه وسلم حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ، أَنْتَ الْمُقَدِّمُ وَأَنْتَ الْمُؤَخِّرُ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ـ وَ لاَ إِلَهَ غَيْرُكَ

(Source)

Urdu/Hindi Translation

Ya Allah! Tamam tareefain tere liye hain, tu aasmanon aur zameen ka malik hai, aur jo kuch un mein hai. Tamam tareefain tere liye hain; tu aasmanon aur zameen ka qabza rakhta hai aur jo kuch un mein hai. Tamam tareefain tere liye hain; tu aasmanon aur zameen ka noor hai aur tamam tareefain tere liye hain; tu aasmanon aur zameen ka badshah hai; aur tamam tareefain tere liye hain; tu haq hai aur tera wada haq hai, aur tujh se mulaqat haq hai, tera kalam haq hai aur jannat haq hai aur dozakh haq hai aur tamam anbiya (alaihim assalam) haq hain; aur Muhammad ﷺ haq hain, aur qayamat ka din haq hai. Ya Allah! Main tere samne (apni marzi) supurd karta hoon; main tujh par iman lata hoon aur tujh par bharosa karta hoon. Aur tujh se toba karta hoon, aur teri madad se (apne mukhalifeen, kafiron se) behas karta hoon aur tujhe munsif (hamare darmiyan faisla karne) ke tor par leta hoon. Apne karam se mujhe mere pichhle aur ane wale gunahon ki maafi de; aur jo kuch main ne chupaya ya zahir kiya aur tu wahi hai jo (kuch logon ko) aage barhata hai aur (kuch) peechhe. Tere siwa koi ibadat ke laiq nahi.

أَللّٰهُمَّ اِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّىْ

Mafhoom: Aay Allah! Bay Shak Tu Maaf Karne Wala Hai, Muaaf Karne Ko Pasand Karta Hai, Bas Mujhe Muaaf Farma Day

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَافِيَةَ

Aay Allah! Main Apse Affiyat Ka Sawal Karta Hu

اَللّٰهُمَّ إِنِّىْ أَسْئَلُكَ حُبَّكَ وَ حُبَّ مَنْ يُّحِبُّكَ وَ الْعَمَلَ الَّذِىْ يُبَلِّغُنِىْ حُبَّكَ

Aay Allah! Main Apse Apki Muhabbat Ka Sawal Karta Hu, Aur Un Logo Ki Muhabbat Jo Ap Se Muhabbat Karte Hain, Aur Un Amaal Ki Muhabbat Jo Mujhe Apki Muhabbat Tak Phncha Dain

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا وَرِزْقًا طَيِّبًا وَعَمَلاً مُتَقَبَّلاً

Aay Allah! Main Apse Sawal Karta Hu Mufeed Ilm Ka, Paak Rizq Ka, Aur Maqbool Amal Ka.

Loose Urdu/Hindi TranslationTransliterationArabic
Aay Darwazay kholne walayYa Mufattihal Abwab،يَا مُفَتِّحَ الأَبْوَابِ
Aay asbab ke sabab peda karne walay

Aay dilo aur nigaho ko phernay walay
Ya Musabbibal Asbab Wa Ya Muqallibal Quloobi Wal Absawrيَا مُسَبِّبَ الأَسْبَابِ، و يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ وَالأَبْصَارِ
Aur faryad karne walo ki faryad sunnay walayWa Ya Ghayasal Mustaghiseenو يَا غِيَاثَ الْمُسْتَغِيْثِيْنَ،

Aur aay Hairano ko Rasta batanay walay
Wa Ya Daleelal Mutahayyireenو يَا دَلِيْلَ الْمُتَحَيِّرِيْنَ
Aur Aay Ghamgeeno Ko Khushi Dene WalayWa Ya Mufarrihal Mahzooneenو يا مُفَرّحَ الٌمَحزُونِينَ
Meri Faryad Sunlay
Meri Faryad Sunlay
Meri Faryad Sunlay
Aghisni Aghisni Aghisniاَغِثنِي اَغِثنِي اَغِثنِي
Aay mere palne walay mene tujh pe bharosa kiaTawakkaltu Alaika Ya Rabbiتَوَكَّلتُ عَلَيكَ يا رَبّيِ
Aur apne tamam kaam tere supurd kardiyeWa Fawwaztu Ilaika Amriو فَوَّضتُ اِلَيكَ اَمرِي
Aay mere paalne walay, Aay mere Paalne walay, Aay mere Paalne walayYa Rab, Ya Rab, Ya Rabيا رَبُّ يا رَبُّ يا رَبُّ
Ya Allah!Yaa Allah!يآ اَللّٰهُ
Aay Hamesha Zinda Rehnay Walay, Aay Qaim Rakhne Walay

Aay Jalal, Izzat, Aur Buzurgi Walay

Ya Hayyu Ya Qayyumu Ya Zal Jalali Wal Ikrawmيَا حَيُّ يَا قَيُّوْمُ، يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ.
Aay Khush Haali Dene Walay
Aay Rizq Dene Walay
Aay Karam Karne Walay
Ya Basitu Ya Razzaqu Ya Fatthau Ya Kareemيا باسَطُ يا رَزَّاقُ يا فَتَّاحُ يا كَرَيمُ
Bay Shak Allah Apne Bando Ko Dekh Raha HaiInnallaha Baseerum Bil Ibadاِنَّ اللهَ بَصِيْرٌ بِالْعِبَادِ

Tahajjud Main Tilawat e Quran

Tahajjud ka waqt namaz aur dua ke sath sath tilawat e quran ke liye bhi behtreen waqt hota hai. Is liye ehtimam ke sath kam az kam 15-20 tilawat karni chahye.

Tahajjud ke waqt kisi bhi surat ki tilawat ki ja sakti hai. Behtar ye hai ke apni tilawat ka maool rakhay aur rozana tarteeb se thora thora quran tilwata karte rahain.

Is se na sirf apko Allah ka qurb milega balke apke ghar main bhi barkatain aur rehmatain nazil hongi jis se har qism ke jadu, nazr e bad, hasad, aur nahoosat se nijat milegi. Rizq main barkat ke liye bhi yeh nihayat mufeed nuskha hai.

Tahajjud Ki Namaz Ka Tarika For Ladies

Tahhajud ki namaz jis tarha mardo ke liye fazilat wali hai isi tarha khawateen ko bhi iska ehtimam karna chahye takay woh apne rab ka khaas qurb hasil kar sakay.

Khaas tor par bohat si ladies ke hamay email atay hain beti ke rishte ke liye dua, ya qarz utarne ki dua, ye deegar pareshanio ke liye dua ka kehti hain.

Aisi tamam ladies ko chahye ke Tahajjud ki namaz ka khaas ehtimam karay.

Tahajjud main mangi hui dua seedha nishanay par lagti hai aur jald qubul hoti hai.

Ladies ke liye bhi tahajjud ki namaz ka wohi tarika hai jo mardo ke liye hai. Jis tarha upar bayan kia gya, aurto ko chahye wuzu karke 2 – 2 rakat karke tahajjud ki namaz ada karain.

Ziada se ziada 8 rakat aur kam se kam 2 rakat tahajjud parh sakte hain.

Khaas tor par Ramazan ul Mubarak main Tahajjud ka khoob ehtimam karna chahye. Jab sehri ki liye uthay, to pehle 2-4 rakat Tahajjud parh kar Allah se Allah ki muhabbat aur apni dunyawi aur akhirat ki tamam zaruriyat maang lain. Uske baad sehri kar lain.

Allah Taala hamay is mubarak ibadat ki qadar karne ki tofeeq ata farmae aur tahajjud ka khoob ehtimam karne wala banae sab maao, behno, betio ko.

Tahajjud Ki Namaz Ka Time

Tahajjud ki namaz ka time Isha ki namaz ke foran baad shuru ho jata hai aur Subah Sadiq (yani Fajr ka waqt shuru honay se pehle) tak jari rehta hai.

Lekin jesa ke abhi hum ne hadees main parha ke Tahajjud Namaz parhne ka sab se afzal waqt raat ka akhri hissa yani Fajr ka waqt shuru honay se adha aik ghanta pehle hai.

Ye woh waqt hota hai jab Allah taala Aasmaan e Dunya par nuzzol farmatay hain aur Farishto ke zarye ailan kia jata hai ke hai koi maghfirat ka talabgar jiski maghfirat kardi jae, hai koi rizq ka talabgar jiske rizq main izafa kardia jae, hai koi museebat zada jiski museebat door kardi jae.

Lekin agar raat ke akhri hissay main uthna mushkil lagta ho, to tahajjud ki fazeelat hasil karne ke liye isko Isha ke foran baad bhi parha ja sakta hai.

Iske alawa wese to rozana hi Tahajjud ka ehtimam karna chahye lekin Shab e Jumma, yani Thursday ki raat main zarur parhna chahye kyu Jumma ke din waja se uski ehmiyat barh jati hai.

Kya Tahajjud Ke Liye Sona Zaruri Hai?

Nahi, Tahajjud se sonay ka koi talluq nahi. Afzal yehi hai ke isha ke baad so jae aur raat ke alhri hissay main uth kar tahajjud parhay. Lekin aisa karna zaruri nahi.

Agar kisi waja se raat bhar jagtay rahay aur raat ka akhri hissa ajae to tahajjud zaroor ada karni chahye.

Aur agar ye dar ho ke raat ko atahajjud ke liye nahi uth sakengay to tahajjud isha ke sath bhi parhi ja sakti hai.

Isha Ke Sath Tahajjud Parhne Ka Asan Tareeqa

Jesa ke bataya gya ke tahajjud ke liye sona zaruri nahi. Balkay aj kal jis tarha hamari zindagi hai, aksar log tahajjud ke liye raat ke akhri hissay main nahi uth patay.

Is liye Tahajjud ada karne ka asan tareeqa seekh lain takay is namaz ki kuch na kuch fazeelat hamay hasil ho jae.

Wo tareeqa ye hai ke Isha ki Namaz main Witr se pehle 2 ya 4 rakat tahajjud ki niyat se nafil parh lain.

Insha Allah Tahajjud ka sawab mil jae ga.

Phir niyat ye rakhay ke raat ke akhri hissay main bhi uth kar tahajjud parhengay. Agar uth jae to dubara 2-4 rakat tahajjud parh kar dua kar lain takay afzal waqt ki tahajjud bhi hasil ho jae.

Ye tareeqa Ulama e Kiraam aur boht se aulia kiraam se sabit hai.

Namaz e Tahajjud Kya Hai – Farz Ya Nafil?

Tahajjud aik nafli namaz hai jo raat ki tanhaee main parhi jati hai.

Ye hai to nafil, lekin tamam nawafil main sab se afzal namaz hai aur Allah Taal ko bay intiha mehboob hai.

Yehi waja hai kay hamaray aqa Khatam ul Ambiya Huzoor e Aqdas ﷺ ne kabhi tahajjud tark nahi ki. Ummat par to ye namaz nafil hai lekin Allah Kay Nabi ﷺ par ye namaz farz thi aur ap isko intihaee ehtimam se ada farmatay thay.

Ummul Mumineen Syeda Aisha رضي الله عنها se maqool hai kay “Jisko bhi Allah ke dar se oonchay darjay milay hain wo raat ki namaz (tahajjud) ada karne hi se milay”

Shahih Bukhari main hadith hai ke jab Hazrat Aisha رضي الله عنها se kisi ne Hamaray Pyare Nabi ﷺ ki raat ka mamool poocha to Ammi Aisha ne farmaya

قَالَ سَأَلْتُ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ كَيْفَ صَلاَةُ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم بِاللَّيْلِ قَالَتْ كَانَ يَنَامُ أَوَّلَهُ وَيَقُومُ آخِرَهُ، فَيُصَلِّي ثُمَّ يَرْجِعُ إِلَى فِرَاشِهِ، فَإِذَا أَذَّنَ الْمُؤَذِّنُ وَثَبَ، فَإِنْ كَانَ بِهِ حَاجَةٌ اغْتَسَلَ، وَإِلاَّ تَوَضَّأَ وَخَرَجَ‏.‏

Mafhoom:

“Allah ke Nabi ﷺ Isha ki namaz ke baad jaldi so jatay aur phir raat ke akhri hissay main uth kar tahajjud ki namaz ada farmatay. Phir dubara kuch dair aram farmatay. Jab moazzin Fajr ki azan deta to aap uth jatay, agar ghusl ki hajat hoti to ghusl farmatay, warna wuzu karke Fajr ki namaz ke liye tashreef e jatay” (Bukari 1146)

Is hadees sharif se pata chalta hai ke ye Ap ﷺ ki har raat ka mamool tha. Yani ap kabhi tahajjud qaza nahi kartay thay.

Tahajjud itni azeem namaz hai ke chahy Shab e Qadr ho, Shab e Barat ho, ya koi aur muqaddas raat, Tahajjud ka ehtimam is main zarur kia jata hai.

Tahajjud Ki Fazilat Par Hadith

Namaz e Tahajjud Ki Fazeelat is bayan main tafseel se bataee gaee hai.
Speaker: Hazrat Mufti Abdur Rauf Sakharvi Sahab Db

Topic: Namaz e Tahajjud Ki Fazeelat aur Bay Hisab Jannat Main Janay Walay Log

Tahajjud ki namaz ki fazeelat bohat si ahadees main aee hai jese ke abhi humne bayan ki. Lekin kuch mazeed ahadith tahajjud ki ehmiyat par ye hai:

وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ‏- رضى الله عنه ‏- قَالَ : قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ ‏- صلى الله عليه وسلم ‏-{ أَفْضَلُ اَلصَّلَاةِ بَعْدَ اَلْفَرِيضَةِ صَلَاةُ اَللَّيْلِ } أَخْرَجَهُ مُسْلِمٌ .

Mafhoom:

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se riwayat hai ke Huzoor e Aqdas ﷺ ne farmaya “Farz namazo ke baad sab se afzal namaz raat ke alhri hissay main qiyam ul layl yani tahajjud ki namaz hai” [Muslim]

وعن جابر رضي الله عنه قال‏:‏ سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم ‏:‏ أي الصلاة أفضل‏؟‏ قال‏:‏ ‏ “‏طول القنوت‏”‏ ‏(‏‏(‏رواه مسلم‏)‏‏)‏‏.‏

Hazrat Jabir رضي الله عنه ne Huzoor ﷺ se arz kia “Konsi namaz sab se afzal hai?”, Huzoor ﷺ ne farmaya “Afzal namaz woh hai jisme lamba qiyam kia jae” [Muslim]

عَنِ ابْنِ عُمَرَ، رضى الله عنهما قَالَ رَأَيْتُ عَلَى عَهْدِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم كَأَنَّ بِيَدِي قِطْعَةَ إِسْتَبْرَقٍ، فَكَأَنِّي لاَ أُرِيدُ مَكَانًا مِنَ الْجَنَّةِ إِلاَّ طَارَتْ إِلَيْهِ، وَرَأَيْتُ كَأَنَّ اثْنَيْنِ أَتَيَانِي أَرَادَا أَنْ يَذْهَبَا بِي إِلَى النَّارِ فَتَلَقَّاهُمَا مَلَكٌ فَقَالَ لَمْ تُرَعْ خَلِّيَا عَنْهُ‏.‏ فَقَصَّتْ حَفْصَةُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم إِحْدَى رُؤْيَاىَ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏”‏ نِعْمَ الرَّجُلُ عَبْدُ اللَّهِ لَوْ كَانَ يُصَلِّي مِنَ اللَّيْلِ ‏”‏‏.‏ فَكَانَ عَبْدُ اللَّهِ ـ رضى الله عنه ـ يُصَلِّي مِنَ اللَّيْلِ‏.‏

Mafhoom:

Hazrat Abdullah Ibn e Umar رضي الله عنه ne farmaya

“Huzoor e Aqdas ﷺ ki hayat e mubarak main mene khwaab dekha ke mere hath main ek resham ka kapra hai jo jannat main har taraf mere sath urta ja raha hai. Phir mene dekha ke do farishtay aae jo mujhe jahannum main le jana chahtay thay. Lekin achanak ek aur farishta aya aur us ne mujhse kaha ke daro mat aur un dono farishto ko wapis bhej dia”.

Huzoor e Aqdas ﷺ ko jab ye khwaab sunaya gya to ap ne farmaya

“Abdullah boht acha insan hai. Aur acha hota agar woh tahajjud bhi parha karta”

Us din ke baad se Hazrat Abdullah Ibn e Umar رضي الله عنه ne tahajjud ka mamool bana lia. [Sahih al-Bukhari 1156, 1157, 1158]

Tahajjud Quotes In Urdu/Hindi

Tahajjud Namaz se mautalliq kuch mufeed Quotes ye hain

  • Jis ko rab ke dar se jo bhi mila, woh tahajjud ki namaz se hi mila
  • Tahajjud tanhaee ka wo waqt hai jab malik apne banday se sab se qareeb hota hai
  • Boht se log tahajjud ke zarye apni raato ko qeemti banate hain Aur bohat se log raat ki tanhaee main gunah karke apni dunya o akhirat kahrab karte hain
  • Agar tum chahte ho ke tumhari duae qubool ho, to tahajjud ko lazim pakar lo
  • Tahajjud main nikle huay aansu jahannum ki aag ko bujha dete hain
  • Jisne apni tanhaee ko tahajjud se abad kia, Allah uski qabar ko noor se abad kardega
  • Tahajjud ki namaz Allah ke aashiqo ki namaz hai, woh har kisi ko iski tofeeq nahi deta

Kya Apne Tahajjud Ka Tarika Seekh Liya?

Ummeed hai ke is article ke zarye ap ne Tahajjud Namaz Ka Tarika mukammal samajh lia hoga. Ab agay barhay aur is mubarak namaz ko apni ziodagi ka hissa banae aur iske miracles ka khud mushahida karain.

Aur sath sath apne kisi aik dost ko bhi ye namaz sikha dain takay apke liye sadqa e jariya ban jae.


by

Follow our WhatsApp Channel

X