Namaz e Janaza (funeral prayers) in Islam are unique from any other religion.
When Muslims pass away, Allah SWT has ordered us to get together, pray for their forgiveness, and bury them with honor.
To make this task easier, Prophet Muhammad ﷺ has taught us beautiful duas for Janaz prayers, so that we can say goodbye to our Muslim brothers and sisters in the best way possible.
In this article, we’ll learn the Sunnah method of Namaz e Janaza, along with its Dua.
Namaz e Janaza Ka Sunnat Tarika | Step By Step Guide
Namaz e Janaza bohat asan namaz hai jo har musalman parh sakta hai. Agar dekha jae to ye puri namaz mayyat ke liye maghfirat ki dua hai.
Ye jamat ke sath ada ki jati hai aur tamam namazo ki tarha is main bhi ba wuzu hona zaruri hai.
Ayye iska sunnat tareeqa seekhtay hain.
Namaz e Janaza se mutalliq intihaee aham aur tafseeli bayan jis main mukammal tarika aur dua sikhaee gaee hai
Title: Namaz e Janaza Ke Masail, Dua, Aur Baaz Ghalat Rasumat
Speaker: Maulana Mehboob Elahi Sahab
Namaz e Janaza Main Kitne Faraiz Aur Sunnatain Hain?
Namaz e Janaza Main 2 Faraiz aur 4 Sunnatain hain.
Faraiz
- 4 martaba takbeerat kehna
- Kharay ho kar namaz e janaza ada karna (agar koi sharaee uzr nahi)
Sunnatain
- Hamd o Sana
- Durood Sharif
- Mayyat ke liye dua
Yani agar kisi shaks ko namaz e janaza main kuch bhi nahi ata aur woh sirf 4 takbeerat ke sath namaz parh leta hai to namaz e janaza ho jaegi.
Lekin uska sahi nafa aur noor sunnat tareeqay se ho aega.
Woh tareeqa ye hai.
Step 1: Niyat
Namaz e Janaza shuru karne se pehle Wazu karna aur namaz e janazah ki niyat karna zaruri hai. Niyat ke koi khaas alfaaz ada karna zaruri nahi kyu ke niyat ka matlab hai dil ka irada. To bas itni biyat kafi hai
“Main is muslaman ki namaz e janaza Allah ki riza ke liye ada kar raha hu”
Step 2: Takbeer e Tehreema
Niyat ke baad Namaz e Janaza shuru karne ke liye Takbeer e Tehreema yani Allahu Akbar kaha jaega. Ye pehli takbeer hai is namaz ki.
Ye takbeer bilkul usi tarha hogi jis tarha aam namazo ko shuru karne ke liye hoti hai yani dono hath kaan ki lau tak utha kar Allahu Akbar kahengay aur hath bandh lengay.
Step 3: Hamd o Sana
Is e baad Allah Taala ki hamd o sana karengay yani wohi mashhoor sana ki dua parhengay jo namaz main parhi jati hai.
سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ. تَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَى جَدُّكَ. وَلاَ إِلهَ غَيْرُكَ
Transliteration:
Subhana Kalla Humma Wabi Hamdika Wa Tabarakasmuka Wa Ta’ala Jadduka Wala Ilaha Ghaeeruka
Urdu/Hindi Translation:
Aay Allah main teri paaki bayan kartu, aur teri hamd karta hu, aur tera naam paak hai, aur teri shaan sab se buland hai, aur tere siwa koi Ilaah (khuda) nahi
Ye parhnay ke baad dusri takbeer kahengay yani Allahu Akbar kahengay. Lekin is martaba hath kaano tak nahi uthaengay balkay bandhay rakhengay aur sirf zaban se takbeer kahengay.
Step 4: Durood Sharif
Allah Taala ki Hamd o Sana ke baad ab Rasoolullah ﷺ par Durood o Salam parha jaega. Hadith sharif ke mutabiq Durood e Ibrahimi sab se afzal durood hai. Isi liye ye namaz main bhi parha jata hai aur namaz e janaza main bhi yehi parhna chahye.
Lekin Hadith se sabit doosray durood bhi parhay ja saktay hain.
اللّٰهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى اٰلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللّٰهُمَّ بَارِكَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى اٰلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيد
Transliteration:
Allahumma Salli Ala Muhammadin Wa Ala Aali Muhammadin Kama Sallaeeta Ala Ibraheema Wa Ala Aali Ibraheema Innaka Hameedum Majeed.
Allumma Baarik Ala Muhammadin Wa Ala Aali Muhammadin Kama Baarakta Ala Ibraheema Wa Ala Aali Ibraheema Innaka Hameedum Majeed.
Urdu/Hindi Translation:
Aay Allah Apni Rehmatain Naazil Farma Muhammad ﷺ par Aur Muhammad ﷺ Kay Ghar Walo Par Jis Tarha Tunay Rehmatain Naazil Farmaee Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Par Aur Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Kay Ghar Walo Par, Aap Hi Tareef Ke Laiq Aur Buzurgi Walay Hain.
Allah Barkatain Naazil Farma Muhammad ﷺ Par Aur Muhammad ﷺ Ke Ghar Walo Par Jis Tarha Tunay Barkatain Naazil Farmaee Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Par Aur Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Kay Ghar Walo Par, Aap Hi Tareef Ke Laiq Aur Buzurgi Walay Hain.
Ye Durood Sharif parhnay ke baad Teesri martaba Takbeer Kahengay. Is baar bhi hath bandhay rahengay aur sirf zaban se takbeer kahengay.
Step 5: Mayyat Ki Maghfirat Ke Liye Dua e Janaza
Iske baad Namaz e Janaza ki asal rooh yani Dua e Janaza parhengay. Hadith sharif main mutaddid dua e Janaza ati hain jo mayyat ke lehaz se parhi jati hain.
Maslan aik dua aisi hai jo tamam baligh mard o aurat ke liye hai. Phir aik dua aisi hai jo baligh mard aur aurat ke liye alag alag hai.
Isi tarha agar chotay bachay ki mayyat hai to na baligh bachay ki dua alag aur na baligh bachi ki dua alag hai.
Jis tarha ki bhi mayyat ho uske lehaaz se dua parhni chahye.
Agay article main hum ye tamam duain ek ek kar ke tarjumay ke sath apko bataengay.
Abhi ye samajh lain ke jis dua ka bhi moqa ho woh parhain aur phir choti martaba takbeeer kahain, yani hath bandhay rakh kar zaban se Allahu Akbar kahain.
Is tarha Takbeer e Threema ko mila kar 4 takbeerat ho gaee.
Step 6: Salam
Iske baad Salam pherdengay.
Salam phernay ka tareeqa ye hai kay pehlay Righ kandhay ki taraf dekh kar kahengay
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah
Phir Left Kandhay ko dekh kar kahengay
Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah
Salam phertay waqt dono hath khol dengay.
Is tarha Sunnat ke mutabiq namaz e Janaza mukammal ho jaegi, Alhamdulillah.
Namaz e Janaza Ki Dua For Baligh Mard Aur Aurat
Ab seekhtay hain namaz e janaza ki duain. Jesa ke hum ne upar bataya kay namaz e janaza ki mukhtalif duain hadith main ati hain jo mayyat ke aitbaar se parhi jati hain.
Bunyadi tor par 5 qism ki dua e janazah hoti hain.
- Woh dua e janaza jo kisi bhi baligh mayyta ke liye parhi ja sakti hai
- Namaz e Janaza ki woh dua jo sirf baligh mard ke liye hai
- Namaz e Janaza ki woh dua jo sirf baligh aurat ke liye hai
- Choti nabaligh bachi ki dua e janaza
- Chotay nabaligh bachay ki janazay ki dua.
Chalain aik aik karke tamam duain seekhtay hain.
Baligh Mayyat Ke Liye Dua e Janaza
Ye sab se mashhoor dua e janaza hai jo aam tor par logo ko yaad hoti hai. Ye dua kisi bhi baligh mard ya aurat ke janazay ki namaz main parhi ja sakti hai.
Arabic Text
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِحَيِّنَا وَمَيِّتِنَا وَشَاهِدِنَا وَغَائِبِنَا وَصَغِيرِنَا وَكَبِيرِنَا وَذَكَرِنَا وَأُنْثَانَا ، اللَّهُمَّ مَنْ أَحْيَيْتَهُ مِنَّا فَأَحْيِهِ عَلَى الْإِسْلَامِ، وَمَنْ تَوَفَّيْتَهُ مِنَّا فَتَوَفَّهُ عَلَى الْإِيمَانِ
Transliteration
Allahummagh Firli Hayyina Wa Mayyitina Wa Shaahidina Wa Gha’ibina, Wa Sagheerina Wa Kabeerina, Wa Zakarina Wa Unsaana. Allahumma Mann Ahyaeetahu Minna Fa Ahyihi Alal Islam, Wa Mann Tawaffaeetahu Minna Fa Tawaffahu Alal Eemaan.
Mayyat Ki Dua In Urdu/Hindi Tarjuma
“Aay Allah Maghfirat farma dijay hamaray zindo ki aur murdo ki, Aur jo mojud hain unki aur jo ghaib hain unki, Aur Jo chotay hain unki aur Jo baray hain unki, Aur Jo mard hain unki aur Jo aurtain hain unki. Aay Allah jab tak tu hamay zinda rakh Islam par zida rakh Aur Jab hamay maut day to Eemaan par maut day.”
Janazay Ki Dua In English Translation
O Allah, forgive our living and our dead, and those who’re present and those who aren’t, and the young and the old, and the men and the women. O Allah as long as you keep us alive, keep us on Islam and when you give us death, give it in the state of Eemaan.
Ye dua ap kisi bhi baligh mayyat ke janazay main parh saktay hain.
Lekin iske alawa bhi kuch duain hadith main ati hain. Lekin un duao main mard aur aurat ke liye alag alag dua hai.
Woh duain agay bayan ki ja rahi hain.
Baligh Mard (Male) Ki Mayyat Ke Liye Dua e Janaza
Ye dua e janaza boht tafseeli hai aur baligh mardo ke liye parhi jati hai. Is main mayyat ki maghfirat ki dua aur uski akhirat ki kamiyabi ke liye khaas dua ki gaee hai.
Ap is dua ko pichli dua ke baad namaz e janaza main parh saktay hain
Arabic Text
اللَّهُـمَّ اغْفِـرْ لَهُ ، وَارْحَمْـهُ ، وَعَافِهِ ، وَاعْفُ عَنْـهُ ، وَأَكْـرِمْ نُزُلَـهُ ، وَوَسِّـعْ مُدْخَـلَهُ ، وَاغْسِلْـهُ بِالْمَـاءِ وَالثَّـلْجِ وَالْبَـرَدِ ، وَنَقِّـهِ مِنَ الْخَطَـايَا كَمَا نَـقَّيْتَ الـثَّوْبَ الأَبْيَـضَ مِنَ الدَّنَـسِ،وَأَبْـدِلْهُ دَارًا خَـيْرًا مِنْ دَارِهِ ، وَأَهْلًا خَـيْرًا مِنْ أَهْلِـهِ ، وَزَوْجًا خَـيْرًا مِنْ زَوْجِهِ ، وَأَدْخِـلْهُ الْجَـنَّةَ ، وَأَعِـذْهُ مِنْ عَذَابِ الْقَـبْرِ وَعَذَابِ النَّـارِ
Transliteration
Allahummagh Fir Lahu War Hamhu, Wa Aafihi Wa’fu Anhu, Wa Akrim Nuzulahu, Wa Wassay Mudkhalahu, Waghsilhu Bil Maa’ee Wassaljee Wal Barad, Wa Naqqihi Minal Khataaya, Kama Naqqaeetas Saoobal Abyaza Minad Danas. Wa Abdilhu Daran Khaeeram Min Daarihi, Wa Ahlan Khaeeram Min Ahlihi, Zaoojan Khaeeram Min Zaoojihi, Wa Adkhilhul Jannah, Wa A’izhu Min Azabil Qabri Wa Azabin Naar
Urdu/Hindi Tarjuma
Aay Allah Iski maghfirat farma aur is par rehem farma. Is se darguzar farma aur isko muaaf farma. Aur Isko ikram ke sath bula. Aur iski qabar ko wasee farma dijye. Aur isko dho daaliye paani se, aur baraf se, aur olo se. Aur isko gunaho se aisa paak o saaf kardijay jese sabun safaid kapray ko dho deta hai. Aur badal dijay Iske Ghar ko Behtar Ghar se. Aur khandan ko behtar khandan se. Aur biwi ko behtar biwi se. Aur Isko Jannat main dakhil farma. Aur Isko azab e qabr aur azab e jahannum se mehfooz farma.
English Translation
O Allah forgive him and have mercy on him. Excuse him and forgive him. And give him an honorable reception. And extend his grave. And wash him with water, ice, and hail. And cleanse him of sins like soap cleans white cloth. And exchange his house for a better house, his family for a better family, his wife for a better wife. And admit him in Jannah and protect him from the punishment of the grave and Jahannum.
Baligh Aurat (Female) Ki Mayyat Ke Liye Dua e Janaza
Jo dua e janaza abhi upar guzri, wohi dua baligh aurto ke liye bhi mangi jati hai. Lekin sirf us main muzakkar aur moannas (make and female) ke seegho ka farq ajata hai.
Woh dua ye hai.
Arabic Text
اللَّهُـمَّ اغْفِـرْ لَهَا ، وَارْحَمْهَا ، وَعَافِهَا، وَاعْفُ عَنْـهَا ، وَأَكْـرِمْ نُزُلَـهَا ، وَوَسِّـعْ مُدْخَـلَهَا ، وَاغْسِلْـهَا بِالْمَـاءِ وَالثَّـلْجِ وَالْبَـرَدِ ، وَنَقِّـهَا مِنَ الْخَطَـايَا كَمَا نَـقَّيْتَ الـثَّوْبَ الأَبْيَـضَ مِنَ الدَّنَـسِ ،وَأَبْـدِلْهَا دَارًا خَـيْرًا مِنْ دَارِهَا ، وَأَهْلًا خَـيْرًا مِنْ أَهْلِـهَا ، وَأَدْخِـلْهَا الْجَـنَّةَ ، وَأَعِـذْهَا مِنْ عَذَابِ الْقَـبْرِ وَعَذَابِ النَّـارِ
Transliteration
Allahummagh Fir Laha War Hamha, Wa Aafiha Wa’fu Anha, Wa Akrim Nuzulaha, Wa Wassay Mudkhalaha, Waghsilha Bil Maa’ee Wassaljee Wal Barad, Wa Naqqiha Minal Khataaya, Kama Naqqaeetas Saoobal Abyaza Minad Danas. Wa Abdilha Daran Khaeeram Min Daariha, Wa Ahlan Khaeeram Min Ahliha, Wa Adkhilhul Jannah, Wa A’izha Min Azabil Qabri Wa Azabin Naar
Urdu/Hindi Tarjuma
Aay Allah Is Aurat ki maghfirat farma aur is par rehem farma. Is se darguzar farma aur isko muaaf farma. Aur Isko ikram ke sath bula. Aur iski qabar ko wasee farma dijye. Aur isko dho daaliye paani se, aur baraf se, aur olo se. Aur isko gunaho se aisa paak o saaf kardijay jese sabun safaid kapray ko dho deta hai. Aur badal dijay Iske Ghar ko Behtar Ghar se. Aur khandan ko behtar khandan se. Aur Isko Jannat main dakhil farma. Aur Isko azab e qabr aur azab e jahannum se mehfooz farma.
English Translation
O Allah forgive her and have mercy on her. Excuse her and forgive her. And give her an honorable reception. And extend her grave. And wash her with water, ice, and hail. And cleanse her of sins like soap cleans white cloth. And exchange her house for a better house, her family for a better family. And admit her in Jannah and protect her from the punishment of the grave and Jahannum.
Namaz e Janaza Kya Hai Sunnat Ya Farz?
Namaz e Janaza aik musalman par doosre musalman ka akhri haq hai. Ye woh namaz hai jiskay zarye hum Musalman ki mayyat ko izzat o ikram aur duao ke sath rukhsat kartay hain aur Allah taala se uski maghfirat ki darkhast kartay hain.
Namaz e Janaza Islam main Farz e Kifaya ka darja rakhti hai. Yani agar kisi muhallay main koi mayyat ho jae to agar kuch musalman mil kar uski namaz e janaza parh lain, to ye Farz us muhallay ke sab musalmano ki taraf se ada ho jata hai.
Lekin agar puray ilaqay se koi shakh bhi namaz e janaza na parhay to tamam log gunahgaar hongay.
Is liye Namaz e Janaza ki bohat ahmiyat hai aur isko ehtimam ke sath seekhan aur ada karna chahye.
Namaz e Janaza Parhnay Ki Fazilat Hadees Main
Rasoolullah ﷺ ne bohat si ahadees main Janazay ki namaz parhnay ke fazail bayan farmae hain.
Aik hadith main irshad farmaya kay
“ مَنْ شَهِدَ الْجَنَازَةَ حَتَّى يُصَلِّيَ عَلَيْهَا فَلَهُ قِيرَاطٌ، وَمَنْ شَهِدَ حَتَّى تُدْفَنَ كَانَ لَهُ قِيرَاطَانِ ”. قِيلَ وَمَا الْقِيرَاطَانِ قَالَ ” مِثْلُ الْجَبَلَيْنِ الْعَظِيمَيْنِ ”.
Mafhoom: Jo shakhs kisi (Musalman) ka namaz e janaza parhay uske liye 1 qirat ajr hai. Aur jo uski tadfeen main bhi shamil ho uske liye 2 qirat ajr hai. Poocha gya kay 2 qirat kitna hota hai? Farmaya “Jesay 2 bohat baray pahar”
Is hadith se wazay hai kay Musalman ki namaz e janaza parhnay ki bay intiha fazilat hai. Is liye isko mamuli amal nahi samajhn a chahye.
Kya Namaz e Janaza Ke Baad Mayyat Ki Maghfirat Ki Dua Karni Chahye?
Namaz e Janazah ki in duao ko ghor se parhain, inke ma’ani ko samjhay. Aur phir apne dil se batae ke kya in duao ke baad kisi dua ki zarurat hai?
Ye duain hamay Huzoor e Akramﷺ ne sikhaee hain. Ye itni jamay aur mukammal hain kay hum 1 ghantay tak bhi dua mangtay rahain to in duao ke muqablay ka mazmoon nahi la saktay.
Is liye sunnat yehi hai key Namaz e Janaza jo ke khud dar asal Dua e Janaza hai, uske baad kisi ijtimaee dua ki zarurat nahi. Sahaba Ikram namaz e janaza mukammal hotay hi janazay ko tadfeen ke liye le jatay thay. Kyu ke woh deen ko samajhtay thay aur Namaz e Janaza main jo Dua mangi jati hai uski ehmiyat ko jantay thay. Is liye apni taraf se mazeed kuch nahi kartay thay.
Namaz e Janaza khatam honay ke baad foran tadfeen main jaldi karni chahye. Kisi ijtimaee dua ki zarurat nahi.
Haan jab aap tadfeen se farigh ho jae us waqt, aur uske baad rozana jis tarha chahain apne marhoomeen ke liye dua karain. Balkay dua ka har waqt mamool banae.
Lekin chu kay Namaze Janaza ke baad Huzoor e Aqdas ﷺ se ijtimaee dua sabit nahi, is liye is se guraiz karna chahye.
Yaad rakhain, sunnat ke mutabiq amal, ghair sunnat amal se hazar gunah behtar hota hai.