Ever seen a beautiful baby suddenly fall sick, a healthy animal lose weight, or a successful business come to a halt?
There can be many reasons for this, but Nazar e Bad or Evil Eye is also one of them.
According to a Hadith, Rasoolullah ﷺ said, “The evil eye (nazre bad) is real” (Source). But as always, a Muslim turns to Allah for help in all problems.
In this article, we’ll tell you the Sunnah duas and Quranic ayats for protection from evil eye and how you should treat nazar e bad.
Please share it with your friends, it’s a sadqa e jariya.
Nazr e Bad Utarne Ki Dua For Baby Hadith Main
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya
قَالَ كَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يُعَوِّذُ الْحَسَنَ وَالْحُسَيْنَ وَيَقُولُ “ إِنَّ أَبَاكُمَا كَانَ يُعَوِّذُ بِهَا إِسْمَاعِيلَ وَإِسْحَاقَ، أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ، وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ ”
Riwayat main hai ke Rasoolullah ﷺ Hazrat Hassan رضي الله عنه aur Hussain رضي الله عنه par nazr e bad se hifazat ke liye farmatay kay “Tumharay Walid Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ apne baito Ismail aur Ishaq ke liye Allah Taala se nazar e bad se hifazat in alfaaz main mangtay thay” (Source)
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ
Ye dua sirf babies ke liye hi nahi balkay bacho, baro, mard, aurat, animals, sab par parh kar dam kar saktay hain insha Allah Buri Nazar se hifazat hogi.
Transliteration
Aa’oozu Bi Kalimaatillahit Taammati Min Kulli Shaeetanin Wa Haamma Wa Min Kulli Aeenil Laamma.
Urdu/Hindi Translation
Main Har Shaitan, Takleef Day Janwar, Aur Nazar e Bad Se Mehfooz Rehne Ke Liye Allah Ke Kaamil Aur Pur Asar Kalimaat Ke Zarye Panah Mangta Hu
English Translation
O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.
Nazar Ki Dua Quran e Kareem Surah Qalam Main
Jo Dua Upar Bayan Ki Gaee, Uske Alawa Jis Ko Nazar Lagay Us Par Quran e Kareem ki Surah Qalam Ki Aakhri 2 Ayat 7 Martaba Parh Kar Dam Karnay Se Nazar Ka Nazar Utar Jata Hai.
Surah Qalam Ayat 51 and 52 Arabic Text
وَإِن يَكَادُ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَـٰرِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا۟ ٱلذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُۥ لَمَجْنُونٌۭ
وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌۭ لِّلْعَـٰلَمِينَ
English Translation
The disbelievers would almost cut you down with their eyes when they hear ˹you recite˺ the Reminder, and say, “He is certainly a madman.”
But it is simply a reminder to the whole world.
Urdu/Hindi Translation
Jin Logo Ne Kufr Apna Liya Hai Jab Woh Naseehat Ki Ye Baat Suntay Hain To Aisa Lagta Hai Ke Ye Apni Taiz Taiz Ankho Se Tumhay Dagmaga Dengay, Aur Woh Kehtay Hain Ke Ye Shakhs To Deewana Hai.
Halan Kay Ye To Dunya Jahan Ke Logo Ke Liye Naseehat Hi Naseehat Hai
Nazar Se Bachne Ki Dua, Tarika Aur Wazifa
Nazar Se Bachne Ke Liye Quran e Kareem aur Hadees Sharif Main Bohat Si Ayat Aur Duain Aaeen Hain. Is Ke Alawa Ulama e Ikram Ne Bhi Bohat Se Wazifay Quran o Hadith Ki Roshni Main Bayan Kiye Hain.
Lekin Aksar Ulama Farmatay Hain Ke Jo Shakh Ye Ayat Aur Duain Rozana Baad Fajr Namaz, Asar, Aur Raat Sonay Se Pehle Parh Lay Us Par Kisi Qism Ki Buri Nazar, Jadu, Hasad Waghera Kaam Nahi Karega Insha Allah.
Aur Agar Pehle Se Koi Buri Nazar Ya Jadu/Taweez Waghera Ka Asar Hua To Is Amal Ki Barakat Se Khatam Ho Jaega.
Woh Amal Ye Hai
- 1 Martaba Kalima e Tayyiba – لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ
- 1 Martaba Durood e Ibrahimi
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ،
اللَّهُمَّ بَارِكَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ
- 1 Martaba Syedul Istaghfar
English Translation of Syed ul Istaghfar
“O Allah, You are my Lord; There is no god except You. You created me and I am Your servant. And I abide by Your oath and promise [that I may honor it] to the best of my ability. I seek refuge with You from every evil I have committed. I acknowledge Your favor upon me and I acknowledge my sin, so forgive me, for surely there is no one who can forgive sins except You.”
Urdu Translation of Syed ul Istaghfar
“Aay Allah, Ap mere Rab hain, Ap ke Siwa koi Khuda Nahi. Aap ne mujhe Paida Kiya Aur Main Apka Banda Hu. Aur Main Ap Se Kiye Huay Ehed Aur Waday Par Apni Istita’at Ke Mutabiq Qaim Hu, Apnay Kiye Huay Buray Kaamo Ke Wabal Se Apki Panah Mangta Hu. Mujh Par Jo Apkay Ehsanat Hain Main Unka Iqrar Karta Hu Aur Apne Gunaho Ka Bhi Iqrar Karta Hu. Pas Mujhe Bakhsh Dijiye Kyu Ke Apke Siwa Gunaho Ko Bakhshne Wala Koi Nahi”
Agar ye istaghfar yad na ho to koi chota istaghfar 3 martaba parh lain.
- 1 Martaba Surah Fatiha
- 1 Martaba Ayat ul Kursi
- 3 Martaba Surah Ikhlaas
- 3 Martaba Surah Falaq
- 3 Martaba Surah Naas
- 3 Martaba Ye Dua
بِسْمِ اللهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
- 3 Martaba Ye Dua
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ
- 3 Martaba Surah Yunus Ki Ayat 81 aur 82
فَلَمَّآ أَلْقَوْا۟ قَالَ مُوسَىٰ مَا جِئْتُم بِهِ ٱلسِّحْرُ ۖ إِنَّ ٱللَّهَ سَيُبْطِلُهُۥٓ ۖ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يُصْلِحُ عَمَلَ ٱلْمُفْسِدِينَ
وَيُحِقُّ اللَّهُ الْحَقَّ بِكَلِمَاتِهِ وَلَوْ كَرِهَ الْمُجْرِمُونَ
- 1 Martaba Durood e Ibrahimi (Ya koi sa bhi Durood)
Ye parh kar apne upar bhi dam kar lain aur jis par nazar hai us par bhi dam karain. Iske alawa aik glass pani par dam karke bhi pilae to insha Allah nazre bad ka asar utar jaega.
Iske alawa agar ziada sakht asar ho to achi tarha Wudu karke 2 Rakat Salatul Hajat Parh kar Allah Taala se dua mangay aur Dua e Anas ka bhi ehtimam karain.
How To Get Rid Of Evil Eye – Nazar Ki Dua Aur Tarika In English
Apart from the Duas we have mentioned in this article, Rasoolullah ﷺ used to recite the following dua and blow it on the person affected by the evil eye.
“بِسْمِ اللهِ اَللّٰهُمَّ أَذْهِبْ حرَّهَا وَبَردَهَا وَوَصْبَهَا”
After that, he used to say
“قُمْ بِـإِذنِ اللهِ”.
Translation Of Dua For Evil Eye
In the name of Allah, O Allah Remove The Cold and Hot and Pain and Grief Of This Evil Eye (From This Person)
Then he used to say
“Stand up by Allah’s command”