Maah e Rajab Ki Fazilat, Dua, Roza Aur Nawafil

Rajab Islamic calendar ka 7th mahina hai aur un 4 mahino main se hai jin ko Allah Taala ne hurmat wala mahina farmaya. Is mahinay ke ahir main Shab e Meraj ka waqia bhi pesh aya tha.

Is article main hum apko Rajab ke mahinay ki fazilat bataengay aur jo ibadat, nawafil, aur duain hadith main is mahine ke liye ati hain woh bhi bayan karengay.

“Rajab Ki Fazeelat Aur Ahkaam” – Urdu Bayan by Mufti Taqi Usmani Sahab

Rajab Ke Mahine Ki Fazilat Kyu Hai

Rajab ke maheenay ko Allah Taala ne khaas fazilat ata farmaee hai. Ye un 4 mahino main se hai jinko Quran e Kareem main “Ash’hurul Hurum” yani Hurmat wlay mahinay kaha gaya.

Hadith ke mutabiq woh 4 Hurmat walay mahine ye hain.

Zul Qaada, Zul Hijjah, Muharram, Aur Rajab

Surah Taubah main ALlah Taala farmatay hain

’’إِنَّ عِدَّۃَ الشُّہُوْرِ عِنْدَ اللہِ اثْنَا عَشَرَ شَہْرًا فِیْ کِتٰبِ اللہِ یَوْمَ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالْأَرْضَ مِنْہَآ أَرْبَعَۃٌ حُرُمٌ ذٰلِکَ الدِّیْنُ الْقَیِّمُ۔‘‘                                  (التوبۃ:۳۶)

Mafhoom: “Haqeeqat ye hai ke Allah ke nazdeek Maheeno ki tadad 12 mahinay hai, Jo Allah ki kitab (yani Luh e Mehfooz) ke mutabiq Us Din Se Nafiz Chali Ati Hai Jis Din Allah Ne Asmano Aur Zameen Ko Paida Kia Tha, In 12 Mahino Main Se 4 Hurmat Wale Mahine Hain. Yehi Deen Ka Seedha Taqaza Hai”

Is mahine ko Allah Taala ne fazilat di hai. Is main Shab e Meraj bhi hoti hai jis main Rasoolullah ﷺ ko Jannat o Dozakh ka mushahida karwaya gaya aur bohat si ibratnaak cheezay dikhaee gaee.

Is liye Ulama ne likha ke in 4 hurmat walay mahino main ibadat ka bohat sawab hai. Isi tarha in main gunaho ka wabal bhi bohat hai.

Jo shakhs in maheeno main nekio ka ehtimam karay aur gunaho se bachay to Allah Taala baqi pura saal bhi usko naik amal ki tofeeq ata farma dete hain.

Is liye is Rajab ke mahinay main himmat karke ziada ibadat karni chahye.

Rajab Ka Chand Dekh Kar Dua

Rajab ka mahina Ramadan ul Mubarak ki amad ka pata deta hai. Jab Rajab ka chand dekhain to 2 duain parhni chahye.

Pehle to naya chand dekhne ki dua.

اللَّهُمَّ أَدْخِلْهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيمَانِ ، وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ ، وَرِضْوَانٍ مِنَ الرَّحْمَنِ ، وَجِوَارٍ مِنَ الشَّيْطَانِ

Urdu Translation: Aay Allah Is Chand Ko Hamaray Upar Aman, Eemaan, Salamti, Aur Islam Kay Sath, Aur Rahman Ki Razamandi Aur Shaitan Kay Bachao Kay Sath Dakhil Farma

Uske baad Rajab ki khaas dua jo Rasoolullah ﷺ Ramadan ul Mubarak ke liye manga kartay thay.

“اَللّٰھُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيْ رَجَبَ وَشَعْبَانَ وَبَلِّغْنَا رَمَضَانَ”

Urdu Translation: Aay Allah! Hamaray Rajab aur Shaban Main Barakat Ata Farma Aur Hamay Ramadan Tak Pohncha

Is Dua ka ehtimam karna chahye takay Ramadan ul Mubarak tak Allah Taala hamy pohncha day.

Maah e Rajab Main Roza Rakhne Ki Sunnat

Jesa ke bayan kia gaya ke Rajab ke mahine main ibadat, nawafil, aur naik kaamo ka khoob ehtimam karna chahye.

Isi silsilay main Rasoolullah ﷺ ka mamool tha ke Rajab ke mahine main kasrat se Roza rakha kartay thay.

Sahih Muslim main Ibn e Abbas رضي الله عنه se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ Rajab main kasrat se Rozay rakha kartay thay.

Aik martaba ek Sahabi ne Ap ﷺ se Roze rakhne ke mutalliq poocha to Ap ﷺ ne farmaya ke hurmat walay mahino main Roza rakha karo.

Is liye Rajab main Roza rakhna tamam Ulama ke nazdeek Sunant hai aur fazilat ka amal hai.

Rajab ke roza rakhne ki koi khaas niyat hadees main nahi ati. Lekin hum ye dua parh sakte hain kyu ke iska matlab theek hai.

rajab fasting roza rakhne ki niyat aur dua

Lekin Hadith main Rajab ki kisi khaas tareekh ke Roze ka hukum nahi hai. Balke pooray mahinay main jab bhi moqa mile nafli roza rakh sakte hain.

Rajab Main Nawafil Ka Ethimam

Isi tarha Rajab ke mahinay main nawafil ka bhi khaas ehtimam karna chahye. Tamam nafli ibadaat yani Tahajjud, Ishraaq, Chaasht, Awwabeen, Salatul Tasbeeh waghera hasb e tofeeq parhna chahye.

Lekin ye samajh lain ke Rajab ki namaz koi alag se nahi hoti. Balkay Rajab ki namaz ya nawafil bhi wese hi parhe jatay hain jese kisi bhi aur mahinay main.

Is liye agar kisi kitab main Rajab ke Nawafil ka kkoi khaas tarika likha hai ya uski koi alag fazialt bayan ki gaee hai to woh ghalat hai.

Bas itni baat haq aur sach hai ke Rajab main nafli ibadat, namaz, roza, sadaqaat waghera khoob karna chahye.

Koi khaas tarika apni taraf se banana sahi nahi.

Balke jab moqa mile aam namazo ki tarha Rajab main bhi nafil parh sakte hain.

Isi tarha baaz logo ne Rajab ke Koonday ki rasam ko zaruri samjha hua hai. Ye bhi ek bay asal cheez hai jiska shariat se koi talluq nahi.

Allah Taala hamay is mubarak mhinay ki qadar dani ki tofeeq naseeb farmae aur Ramadan ul Mubarak hum sab ko ata farmae.


by

Comments

One response to “Maah e Rajab Ki Fazilat, Dua, Roza Aur Nawafil”

  1. Muhammad Aziz ur Rehman Avatar
    Muhammad Aziz ur Rehman

    Masha Allah jaza kallah

Follow our WhatsApp Channel

X