Salatul Hajat Ki Namaz Ka Tarika Aur Dua PDF

A Muslim only bows down to Allah SWT and seeks his help in every difficulty.

This is why Rasoolullah ﷺ has taught urizqs so many different Duas so that we can connect with Allah SWT in every matter.

In this article, we will discuss one of the most beautiful Sunnahs of Prophet Muhammad, Salatul Hajat or the Prayer of Need.

Rasoolullah ﷺ used to instruct his Sahaba to offer 2 rakat Salatul Hajat and read the Dua of Hajat for every important matter.

Let’s discuss this Dua in detail.

Salatul Hajat Ki Dua

Here’s the Dua to read after offering Salatul Hajat Namaz.

Arabic

لَا اِلٰـهَ اِلَّا اللّٰهُ الْحَلِیْمُ الْکَرِیْمُ، سُبْحَانَ اللّٰهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِیْمِ، اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَ، أَسْأَلُكَ مُوْجِبَاتِ رَحْمَتِكَ، وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِكَ، وَالْعِصْمَةَ مِنْ كُلِّ ذَنْبٍ، وَالْغَنِیْمَةَ مِنْ كُلِّ بِرٍّ، وَّالسَّلَامَةَ مِنْ كُلِّ إِثْمٍ، لَا تَدَعْ لِيْ ذَنْبًا إِلَّا غَفَرْتَه وَلَا هَمًّا إِلَّا فَرَّجْتَه وَلَا حَاجَةً هِيَ لَكَ رِضًا إِلَّا قَضَیْتَهَا یَا أَرْحَمَ الرّٰحِمِیْنَ.

salatul-hajat-ki-namaz-ki-dua-Arabic text-with urdu english translation

Dua e Hajat Transliteration

La Ilaha Illallahu Haleemul Kareem Subhan Allahi Rabbil Arshil Azeem, Alhamdulillahi Rabbil Alameen.

Allahumma Inni As’aluka Moojibaati Rahmatika Wa Aza’ima Maghfiratika Wal Ghaneemata Min Kulli Bir Was Salamata Min Kulli Ism, La Tada’li Zamban Illa Ghafartahu Wala Hamman Illa Farrajtahu Wala Haajatan Hia Laka Rizan Illa Qazaeetaha Ya Arhamar Raahimeen

Urdu Hindi Translation

salatul hajat ki namaz ki dua-urdu-translation-tarjuma

“Nahi Hay Koi Mabood Siwae Allah Kay Jo Haleem o Kareem Hai. Paak Hai Allah Jo Arsh e Azeem Ka Rab Hai, Har Qism Ki Tareef Allah Rabbul Alameen Ke Liye Khaas Hai.

Aay Allah! Main Sawal Karta Hu Ap Ke Rahmat Ke Mojibaat Ka Aur Apki Maghfirat Ke Irado Ka Aur Har Naiki Ke Maal e Ghaneemat Ka Aur Har Buraee Se Salamti Ka. Hamaray Kisi Gunah Ko Na Choriye Magar Bakhsh Dijiye Aur Na Hamara Koi Gham Baqi Rakhye Magar Usko Door Farma Dijiye Aur Hamari Har Hajat Ko Jis Se Ap Razi Ho Usko Puri Kardiye Ay Arhamar Rahimeen.”

English Translation

“There’s no God but Allah, The Most Forbearing and The Most Generous. Glory be to Allah, who is the owner of the great throne. All praise is for Allah, the sustainer of all the worlds.

O Allah! I ask You for everything that leads to Your mercy and forgiveness, enrichment in all good, and freedom from all sins.

O Allah! Don’t leave any of our sins, but forgive them, and don’t leave any of our sorrows, but clear them, and fulfill all our wishes that you are pleased with, O Most Merciful”

Download Dua e Hajat PDF

Salatul Hajat Ki Namaz Ka Tarika [Niyat, Time, Rakat]

Now that you understand the Dua of Hajat, let’s discuss the step by step mehtod of offering Salaltul Hajat.

Best Time

Salatul Hajat is a nafil prayer that you can offer at any time outside the prohobited Makrooh times.

Makrooh times are:

  • After Fajr ki namaz till 15 minutes after Sunrise.
  • Zawal ka waqt (15-20 minutes before Zuht time starts)
  • Between Asr and Maghrib prayers.

You offer Salatul Hajat any time except for the times mentioned above.

Lekin buzurgo ne farmaya ke Salatul Hajat ada karne ka sab se acha waqt Tahajjud Ki Namaz ka waqt hai. Kyu ke Tahajjud ke waqt Allah Taala apne banday se bohat qareeb hotay hain aur duao ko qubul farmatay hain.

Iske alawa Islamic calendar main jo bhi bari raatain ati hain maslan Shab e Qadr, Shab e Barat waghera, to us main bhi ye namaz parhni chahye.

Niyat

Salatul Hajat ki niyat bohat Asan hai. Jis maqsad ke liye bhi salatul hajat parh rahay ho bas uski nbiyat kar lain.

For example “Main beti ki shadi ke achay rishtay ke liye 2 rakat Salatul Hajat parh rahi hu. Aay Allah meri is hajat ko apne karam se pura farma dijiye”

Bas itni niyat kafi hai kyu ke niyat ka matlab hai dil ka irada. Koi khaas alfaaz kehna zaruri nahi.

Rakat

Salatul Hajat ki namaz main 2 Rakat hoti hain. Agar dil chahay to 2 – 2 rakat karke 4 ya 6 rakat bhi parh saktay hain. Lekin 2 kafi hain kyu ke Hadith main 2 rakat hi ka zikr hai.

Hajat Ki Namaz Ka Tarika Step By Step

Ayye ab step by step Salatul Hajat ka tareeqa ka dekhtay hain

Step 1: Achi Tarha Wuzu Karain

Hadith sharif main aya hai ke Salatul Hajat ke liye achi tarha Wudu karna chahye. Wudu ki dua bhi parhain aur Sunnat tareeqay se Wazu karain.

Step 2: Niyat Karain

Uske baad Salatul Hajat ki wohi niyat karain jis tarha upar bayan kia gya.

Step 3: Namaz e Hajat Ada Karain

Ab namaz e hajat ada karain. Ye 2 rakat nafil bilkul wesay hi ada kiye jaengay jese aam namaz hoti hai.

Yani Allahu Akbar keh kar Sana, Surah Fatiha, aur Surat parhaengay. Phir Ruku aur Sajda karengay. Is ke baad dusri rakat ada karengay isi tarha. Phir Tasshahud main beth kar Attahiyyat parhengay, Durood Sharif, Dua, aur phir Salam pher lengay.

Is tarha Namaz e Hajat ada ho jaegi.

Step 4: Allah Taala Ki Hamd o Sana Karain

Ab Salatul Hajat ki dua parhnay se pehle Allah Taala ki Hamd o Sana karain. Yani Allah ki tareef bayan karain. Maslan, ye kalimat parh saktay hain

1- سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ 

2- سُبْحَانَ اللّهِ ، والْحَمْدُللّهِ ، وَ لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ ، وَ اللّهُ اَكْبَرُ ، وَ لا حَوْلَ وَ لا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّهِ

3- لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

4- سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه ، وَرِضـا نَفْسِـه ، وَزِنَـةَ عَـرْشِـه ، وَمِـدادَ كَلِمـاتِـه

Step 5: Rasoolullah ﷺ Par Durood Bhejay

Is ke baad Rasool e Akram ﷺ par durood o salam bhejain. Koi sa bhi durrod parh saktay hain. Maslan

اَللّٰهُمَّ صَلِّ وَسَلِّمْ عَلَى نَبِيِّنَا مُحَمَّدٍ

Ya phir Durood e Ibrahimi

اللّٰهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى اٰلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ، اللّٰهُمَّ بَارِكَ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى اٰلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيد

Step 6: Namaz e Hajat Ki Dua Parhay

Is ke baad Salatul Hajat ki dua jo is article ke shuru main batai gaee thi woh parhay. Dua parhtay huay apne maqsad ko zehn main rakhain.

Dua e Hajat Parhne Ka Tareeqa

Saolatul Hajat ki dua parhtay waqt apne zehn main apni hajat aur maqsad ko rakhain. Allah Taala se puri ummeed ke sath dua ko parhain, ye sochtay huay ke Allah Taala har baat par qadir hai aur meri zarurat zarur puri karega agar ye mere haq main behtar hua.

Ulama farmatay hain ke maqsad ke husool tak salatul hajat rozana parhni chahye. Har martaba wohi tareeqa aur steps follow karain jo upar bayan kiye gae hain.

Allah Taala ko bando ka baar baar mangna pasand hai. Is liye khoob mangay.

Salatul Hajat Ka Hukm Hadith Sharif Main

Salatul Hajat ka hukm Rasoolullah ﷺ ne Sahaba Ikram ko Hadith main dia jo Tirmizi aur Ibn e Maja main mojud hai.

”عن عبد الله بن أبي أوفى، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: من كانت له إلى الله حاجة، أو إلى أحد من بني آدم فليتوضأ وليحسن الوضوء، ثم ليصل ركعتين، ثم ليثن على الله، وليصل على النبي صلى الله عليه وسلم، ثم ليقل: لا إله إلا الله الحليم الكريم، سبحان الله رب العرش العظيم، الحمد لله رب العالمين، أسألك موجبات رحمتك، وعزائم مغفرتك، والغنيمة من كل بر، والسلامة من كل إثم، لا تدع لي ذنبا إلا غفرته، ولا هما إلا فرجته، ولا حاجة هي لك رضا إلا قضيتها يا أرحم الراحمين.”

(أبواب الوتر، باب ما جاء في صلاة الحاجة، رقم الحدیث:479، ج:1، ص:603، ط:دار الغرب الإسلامي – بيروت)

Source

Mafhoom:

Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke

“Jis shakhs ko Allah Taala se koi khaas hajat ho ya kisi banday se koi kaam pesh ajae to usko chahye ke khoob achi tarha Wuzu karay, phir 2 rakat (apni hajat ki niyat se) Namaz e Hajat parhay, uske baad Allah Taala ki Hamd o Sana karay aur Rasoolullah ﷺ par durood o salam bhejay aur uske baad in Alfaaz main dua karay”

Agay Salatul hajat ki Dua bayan ki gaee hai jo ab hum tafseel se bataengay.

Ya Namaz Kab Parhi Jati Hai

Salatul Hajat ek nafil namaz hai jo Allah Taala se apne deen o dunya ki kisi bhi zarurate ko pura karne ke liye parhi ja sakti hai.

Chahay aulad ki shadi ka rishta talash karna ho, exams main kamiyabi chahye ho, job ki talash ho, ya beemari se sehat chahtay ho, Allah Taala se 2 rakat Salatul Hajat parh kar dua mangay, insha Allah har zarurat Allah Taala puri farmaengay.

Yehi Sahaba Ikram ka tarika tha aur yehi hamay Rasoolullah ﷺ ne sikhaya.

Namaz e Hajat Kis Maqsad Ke Liye Parhi Ja Sakti Hai?

Salat ul Hajat dunya o akhirat ke har maslay aur zarurat ke liye parhi ja sakti hai.

Aam tor par log in zaruriyat ke liye Namaz e Hajat parhtay hain, jo achi baat hai. Jis maqsad se bhi parhay, Salatul Hajat ka treeqa wohi rahay ga. Bas niyat kartay waqt apne maqsad ko dimagh main rakhay.

For Marriage

Shadi (marriage) ke liye zarur Salatul Hajat parhni chahye. Pehle to is niyat se parhay ke meri beti ka acha rishta mil jae. Aur jab mil jae aur baat pakki ho jae to is niyat se namaz e hajat parhay ke shadi khair o afyat se ho jae.

Aur jab shadi ho jae to is niyat se parhay ke Allah Taala is rishtay main barakat dalay aur dulha dulhan ko apas ki muhabbat aur izzat ata farmae, aur hamesha ek dusray ke sath achay tareeqay se zindagi guzarne ki tofeeq day.

Job Ke Liye

Job ke liye apply bhi karain aur sath sath Salatul Hajat parh kar Allah Taala se rizq e halal ki dua bhi kartay rahin. Is ke alawa agar already job kar rahay hain tab bhi Allah se job main taraqqi aur afyat ki dua mangtay rahain.

Sehat Ke Liye

Sehat Allah Taala ki nbohat bari nemat hai. Sehat ki baqa ke liye aur agar koi beemar ho jae to uski sehatyabi ke liye Salatul Hajat zarur parhni chahye. Yaad rakhye, agar doctor bhi kisi ko la ilaaj keh day, lekin Allah chahay to sehat ata kar sakta hai. Is liye mayus nahi hona chahye aur dil se Salatul Hajat parh kar Allah se sehat ki Dua mangni chahye. Iske alawa Ayat e Shifa ki tilawat karke mareez pe dum karna chahye.

Aulad Ke Liye

Naik aur sehat man aulaad hasil karne ke liye, Aulaad ki sahi tarbiyat ke liye, aur Aulad ki dunya o akhirat ki taraqqi ke liye zarur salatul hajat parhna chahye. Kyuke waalidain ki dua to wesay bhi aulaad ke haq main bohat ziada qubul hoti hai.

Qarz Se Nijat Ke Liye

Qarz insan ke dil par ek bojh hota hai. Is se nijat ke liye koshish bhi karain aur sath sath Salatul Hajat parh kar Allah Taala se madad mangay ke woh apko kisi makhlooq ka muhtaj na karay aur qarz ada karwaday. Khaas tor par Qarz Ki adaigi ki masnoon dua ka ehtimam karain.

Naik Hidayat Aur Gunah Chornay Ke Liye

Agar gunah nahi choot rahay aur naiki karna mushkil lag raha hai to Salatul Hajat parh kar Allah Taala se hidayat aur mada mangay. Jo banda Allah se naiki main madad mangta hai Allah Taala uski dua zarur qubool farmatay hain. Chahay kitne bhi gunah ho gae ho, mayus mat hona. Allah bohat bara hai.


by

Follow our WhatsApp Channel

X