Shab e Meraj woh azeem raat hai jab hamare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ko asmano ki sair karaee gaee, jannat dozakh ka mushahida karaya gaya, aur Allah Taala se hum kalami ka shaf mila.
Is raat ki haqeeqat aur ehmiyat se koi inkar nahi.
Lekin is raat ki khaas ibadat, namaz, nawafil aur duain kya hain? Ayye jantay hain.
Shab e Meraj Me Nabi ﷺ Aur Sahaba Konse Nawafil Parhte Thay?
Hum Muslaman hain aur hamare liye har kaam main hidayat Alah ke Nabi ﷺ aur apke Sahaba ke tareeqo main hai.
Is liye hum Shab e Meraj main bhi wohi Ibadat karengay jo Nabi ne kari aur wohi Namaz aur Nawafil parhengay jo Sahaba se sabit hain.
To chalye Hadith se maloom kartay hain.
Ulama e Kiram farmatay hain ke Hadith Sharif ke mukammal zakheeray main koi Hadith bhi aisi nahi milti jis main Shab e Meraj ki koi khaas ibadat bayan ki gaee ho.
Na hi kisi khaas tareeqay se Nawafil parhna kisi bhi Sahabi se sabit hai.
Is baray main jo Ahadith bayan ki jati hain aur India, Pakistan aur Bangladesh main baaz hazrat un Ahadith ki bunyaad par kuch khaas nafil namaz batatay hain. Woh tamam Ahadith Mozu hain (yani jhooti).
Is liye khoob samajhna chahye ke Shab e Meraj ke liye koi khaas ibadat, nawafil, ya namaz nahi hai.
Na hi is raat main alag se koi khaas ibadat ka hukum hai
Haan, agar ap rozana Tahajjud parhtay hain, to is raat main bhi parhay. Agar roz tilawat kartay hain to is raat main bhi karain.
Lekin agar sirf is raat ki khaas fazilat samajh kar koi ibadat karengay to woh sahi nahi. Kyu ke is raat main Ibadat ki koi fazilat Allah ke Nabi ﷺ ne nahi bataee.
Shab e Meraj Ki Namaz Ka Tarika Kya Hai?
Shab e Meraj ki Namaz ka tarika to hum tab bayan karain jab aisi koi namaz ho.
Jesa ke upar bataya gaya hai ke Sahb e Meraj ki Namaz ya Nawafil alag se kuch nahi hain.
Agar ap normally Tahajjud ki namaz parhtay hain, to is raat main bhi usi tareeqay se Tahjjud ada kar lain.
Yani pehle Wuzu karain, us ke baad 2-2 rakat karke 8 rakat Tahajjud ada kar lain.
27 Rajab Ki Raat Main Kya Padhna Chahye?
27 Rajab yani Shab e Meraj main ibadat ki koi fazilat alag se nahi. Agar rozana ibadat ka mamool hai to zarur is raat main bhi karain.
Lekin sirf is raat ki khaas fazilat samajhna theek nahi.
Agar ap raat ko ibadat ke aadi hain to ye karain.
Dua
Dua ibadat ka maghaz hai. Is liye raat ko tanhaee main Allah Taala ke sath dua main batain karne ki adat dalni chahye.
Dua ke liye kisi khaas zaban ya alfaaz ki zarurat nahi.
Balkya jis tarha bacha bay takalluf apne abba se mangta hai, isi tarha banday ko bay takalluf ho kar apnay rabba se mangna chahye.
Nawafil
Agar kisi kitab main Shab e Meraj ke Nawafil ya Namaz ka tarika bayan kia gaya hai to woh bilkul ghalat hai. Kyu ke hadith se aisi koi cheez sabit nahi.
Bas agar tahajjud parhna chahy to usi tarha se parhay kesay aam dino main parhtay hain. Kisi bhi soorat ki tilawat kar saktay hain.
Roza
Shab e Meraj ka Roza bhi Pakistan, Hindustan, aur Bangladesh main bohat mashhoor hai. Log ssamajhtay hain is Rozay ki koi khaas fazilat hai.
To mere bhai, hadith se aisa kuch bhi sabit nahi.
Is liye agar rozay rakhne ka mamool chala araha hai to is din bhi rakh lain. Lekin khaas is din ki fazilat samajh kar roza rakhna ghalat hai
Kya Ap Hamay Ibadat Karne Se Rok Rahay Hain?
Hargiz nahi.
Hum apko ibadat se kyu rokengay. Hum to bas ye keh rahay hain ke jo ibadat, namaz, ya nafil bhi parhay pehle dekh lain ke kya Allah ke Nabi ﷺ ya Apke Sahaba ne aisa koi amal kia ya nahi.
Agar kia hai to shoq se kar lain. Lekin agar nahi kia, to apni taraf se Deen main izafa na karain.
Jab Allah ke Nabi ﷺ ne Shab e Meraj main ibadat ya Namaz ka koi hukum nahi dia, to apni taraf se iski fazilat mat bayan karain.
Isi tarha kuch log 22 Rajab ko Hazrat Imam Jafar Sadiq ki Yom e Pedaish ke Naam pe Koonday ki niyaz karte hainh. Ye bhi shariat se sabit nahi hai.
Allah Taala hum sab ko Deen ka fehem naseeb farmae aur hum par apni rehmat ki barish farmae.