Shab e Meraj Ka Roza | Is It Sunnah?

Shab e Meraj is a blessed night in the Islamic calendar observed on 27 Rajab every year. It is a special night because Prophet Muhammad ﷺ was taken to the heavens on this night, where he witnessed Jannah and Jahannum, and also had the honor of speaking with Allah SWT.

But is it sunnah to fast on the morning of Shab e Meraj? We will answer this question in this article.

Shab e Meraj Ka Roza Rakhne Ki Fazilat

Shab e Meraj ek bohat ba barkat raat hai jis main hamare liye bohat se sabaq hain Is raat ke ba barkat honay se kisi ko inkar nahi.

Lekin musalman who hai jo apni khwahish nahi balkay Allah ke Nabi ﷺ ki ita’at karay. Is liye hamay ye dekhna chahye ke Huzoor ﷺ ne ya Apke Sahaba ne Shab e Meraj ki raat aur aglay din kya kiya.

Agar unho ne Roza Rakha to hamay bhi Rakhna chahye.

Agar nahi rakha to hamay bhi nahi rakhna chahye.

Is liye jab hum Hadees ki kitabo par nazar daaltay hain ro koi aik Mazboot ya Shahih hadith bhi aisi nahi milti jis main Shab e Meraj ka roza rakhne ka hukum dia gya ho.

Na hamay Sahaba Ikraam ki zindagi se aisa koi amal milta hai.

Haan, ye baat sahi hai ke Rajab ka Mahina un 4 mahino main se hai jinko Allah Taala ne Hurmat wala qara dia aur jin main Allah ki rehmat barish ki tarha barasti hai.

Isi waja se Rasoolullah ﷺ is mahine main kasrat se Roze rakha kartay thay. Agar ap bhi pura Rajab ka mahina is tarha guzaray ke har 3-4 din baad Roza rakh lia karain to is main insha Allah Sawab hoga.

Lekin khaas Shab e Meraj ke Roze ki koi fazilat alag se bayan nahi ki gaee hai hadith main.

Is raat main ibadat karne ki jo fazilat bayan ki jati hai aur agle din ke rozay ke jo fazail bayan kiye jatay hain woh bhi Hadith se sabit nahi hain.

Koi aik hadees bhi mustanad aisi nahi milti.

Is liye, is raat main Nabi ﷺ ka asmano par jana to bar haq hai.

Ye bohat mubarak waqya tha.

Lekin is raat ke liye Allah ke Nabi ﷺ ya Apke Sahaba se na to koi khaas ibadat sabit hai na aglay din ka roza sabit hai.

Is liye agar hum apni taraf se is rozay ko ziada sawab samajh kar ya deen ka hissa samajh kar rakhaengay to ye ghalat hoga.

Kya 27 Rajab Ka Roza Rakhna Chahye?

Jesa ke upar explain kia gaya hai ke koi mustanada Sahih Hadith jo Bukhari, Muslim, ya kisi hadith ki kitab main ho us se ye nahi pata chalta ke 27 Rajab ka roza rakhna chahye.

Is liye Shab e Meraj ke liye khaas tor par roza rakhnay ko Ulama e Kiram ne bidat kaha hai, yani roza nahi rakhna chahye.

Baqi ye baat sahi hai ke pura Rajab Hurmat wala aur Ba Barkat mahina hai jis mian ziada se ziada Roze, Nawafil waghera karne chahye. Lekin khaas Shab e Meraj ke Rozay ka koi hukum ya fazilat alag se nahi hai.

Ye Meraj ke mozu par bohat tafseeli bayan hai jis main is waqya ki haqeeqat aur is din se mansoob ghalat rasoomat bayan ki gaee hain.

Isi tarha Rajab ke mahinay ke koonday bhi mashhoor hain jo 22 Rajab ko kiye jatay hain. Iska bhi deen se koi talluq nahi, bas ek rasam hai apni taraf se banaee hui.

Is It A Sunnah To Fast On 27 Rajab?

The event of Isra called Shab e Meraj in Pakistan, India, and Bangladesh, is a blessed event proven from the Holy Quran.

However, we do not find any reliable hadith from Bukhari, Muslim, or any other authentic Hadith book which instructs us to fast on Shab e Meraj.

As Muslims, we should do what our Prophet ﷺ or his Sahaba have done. We should not invent any Ibadat or worship ourselves.

This is why, scholars say that the merits of 27 Rajab or Shab e Meraj are valid. However, performing special prayers or fasting on Shab e Meraj has not been proven from any Hadith.

This is why we should not fast on Shab e Meraj.


by

Follow our WhatsApp Channel

X