Offering Nawafil and prayers in Shab e Barat, the night of 15th Shaban, are virtuous acts that have been narrated by more than 17 Sahaba and numerous scholars.
In this article, we’ll tell you the right way to worship in Shab e Barat so that you can make the most of this blessed night without indulging bidaat or any rituals that are against the teachings of Islam or not proved by the Sunnah of Rasoolullah ﷺ.
Please read it till the end and share it with your friends and family as sadqa e jariya.
- Read: What Is Shab e Barat Date And Its Status In Islam.
- Read: Shab e Barat Ki Dua Kya Hai
- Read: Shab e Barat Fasting | Kya Roza Rakhna Sunnat Hai?
Shab e Barat Ki Nafil Namaz Kya Hai?
Is there any specific method prayer or nawafil for Shab e Barat? No. We do not find any evidence of that in Hadith.
Rasoolullah ﷺ se Shab e Barat main kisi khaas tarha ki alag namaz ka koi suboot nahi. Balkay Sahaba Ikram aur Ulama se yehi sabit hai ke jo nafli Ibadat bhi Rasoolullah ﷺ se aam dino main sabit hai woh Shab e Barat main bhi ki ja sakti hai.
Yani normal nafil namaz parhain, quran e kareem ki tilawat karain, aur zikr o azkaar karain amslan subhan Allah, Alhamdulillah, Allahu Akbar, Durrod sharif, teesra kalma, Ayat e Kareema, or jo bhi duain hadith se sabit hain.
Is ke alawa har woh nafil namaz jo Allah ke nabi se sabit hai parh saktay hain.
Jo cheez mana hai woh ye hai ke apni taraf se koi khaas namaz eejaad kar lain ke ye Shab e Barat ki Nafil Namaz hai. Aisa nahi hai.
For example, kuch log is din Salatut Tasbeeh ki jamat se namaz kartay hain. Isi tarha kuch log Salatut Tauba ki jamat kartay hain. Aur baad log khaas Namaz e Shab e Barat parhtay hain jis main pehli rakat main surah yaseen, dusir rakat main koi aur bari surat parhi jati hai,
Ye sab Hadith se ya kisi bhi sahabi se sabit nahi.
Is liye jab Allah aur uskay Rasool ne hamay asani di hai to usko istemal karna chahye.
Yani, simple aam dino ki tarha 2 – 2 rakat karkay nafil namaz parhain. Jo surat yaad ho parh lain aur Allah se ro ro kar maghfirat maang lain.
15th Shaban Main Ibadat Ka Sahi Tareeqa – Kya Padhna Chahye?
Then what’s the right way to worship in Shab e Barat? Let me explain.
Shab e Barat starts from the maghrib on the day of 14th Shaban and lasts till the Fajr of 15th Shaban.
Yani ap Maghrib hotay hi Shab e Barat ki barkato se maala maal ho saktay hain. Puri raat jagna zaruri nahi.
Bas Maghrib ke baad se Ibadat main lag jae aur koshish karain ke isha tak khoob ibadat karain. Uske baad Isha jamat se parh kar khana kha lain aur kuch aram kar lain.
Uske baad sonay se pehle kuch tilawat kar lain aur dua karke so jae.
Phir raat ke akhri hissay main uth kar tanhaee main Tahajjud ke waqt khoob dil laga kar nawafil ada karain aur dua mangay. Yahan tak ke Fajr ka waqt ho jae.
Bas ye hai sahi tarika Shab e Barat main ibadat karne ka. Koshish karain ke ye raat tanhaee main ibadat kartay guzray. Bari bari mehfilo main ya dosto ke sath ya masid main jahan rush hota hai aisi jagho par janay ke bajae tanhaee main apne Allah se baatain karain aur apni khatao par nadamat ke sath tauba karain.
Shab e Barat (Nisf Shaban) Ki Nawafil Namaz Ka Tarika
Chalye apki asani ke liye main apko Shab e Barat main Ibadat ka kuch tarika bata deta hu. Yaad rakhye ye sirf mashwara hai. Aisa karna koi zaruri nahi. Jesay ibadat karne ka apka dil chahy karain. Bas sunnat se sabit ho aur koi kaam shariat ke khilaf na ho.
Lekin aik baat bohat zaruri hai ke Maghrib, Isha aur Fajar Ki Namaz jamat se masjid main ada karain. Agar apne sari raat ibadat kari lekin Farz namaz chordi to koi faida nahi raat jaagnay ka.
Is liye ye hai mukhtasr tarika jis se maine bohat se Ulama ko Shab e Barat main namaz aur ibadat kartay dekha.
Ap bhi aisa kar saktay hain.
Sahi Niyat
Achi tarha sunnat ke mutabiq wazu kar lain aur wazu ki dua bhi parhain.
Us ke baad Shab e Barat main ibadat ki niyat sahi kar lain. Chahay ap shab e barat main namaz parhain, nafil ada karain, tilawat karain, sadqa kherat karain, ya dua mangay, Niyat aik hi hogi, ye:
“Aay Allah main apki Riza ke liye [ye kaam – namaz, tilawat etc.] kar raha hu”
For example, Tahajjud parhnay lagay to kahain Ya Allah Main 2 Rakat Tahajjud Apki Riza Ke Liye Parh Raha Hu.
Bas iske alawa koi alag se Shab e Barat ki namaz ki niyat nahi hoti.
After Maghrib – 6 Rakat Awwabeen Nawafil
Jesa ke mene bataya tha ke Shab e Barat ka time Maghrib ki namaz ke baad se shuru ho jata hai.
To sab se pehli Nafil prayers jo ap Shab e Barat main ada kar saktay hain woh hai Awwabeen ki namaz.
Awwabeen maghrib ke baad 6 rakat nafil namaz hoti hai jo aam dino main bhi parhi jati hai.
Shab e Barat main isko aprhnay ka aur bhi sawab hoga insha Allah
Hadith Shareef main ata hai ke
(Tirmizi) مَنْ صَلَّى بَعْدَ الْمَغْرِبِ عِشْرِينَ رَكْعَةً بَنَى اللَّهُ لَهُ بَيْتًا فِي الْجَنَّةِ
Allah’s Messenger (S) said: “Whoever prays six Rak’ah after Al-Maghrib, and he does not speak about anything between them, then they will be counted for him as twelve years of worship.”
Yani, jo shakhs Maghrib ke baad 6 rakat nafil parhay (Awwabeen ke) aur uske doran koi baat na karay, to aisa hai jesay us ne 12 saal ibadat ki.
Dusri riwayat main ye bhi ata hai ke Awwabeen ada karnay se tamam sagheera gunah muaaf ho jatay hain.
Is liye Shab e Barat ki ibtida is mubarak namaz se karain. Ye namaz 2 – 2 rakat karke 6 rakat parhi jaengi aur bilkul aam namazo ki tarha surah fatiha aur koi bhi dusri surat is ke sath parh saktay hain.
2 Rakat Salatut Tauba Nafil Prayers
Iske baad 2 raat Salatul Tauba ke ada kar lain.
Ye bhi nafil namaz hai aur iska maqsad ye hai ke Shab e Barat main ap Allah Taala ke huzoor tauba kar lain.
Bas is Niyat se 2 Rakat Tauba ke nafil parh lain ke aay Allah in 2 rakat ki barakat se mujhe muaaf farma day main tamam gunaho se tauba karta hu.
Ye 2 rakat bhi aam nafil ki tarha parhi jaengi jis main ap koi bhi surat parh saktay hain.
2 Rakat Salatul Hajat Nafil Namaz
Iske baad 2 rakat Salatul Hajat parh lain.
Woh kyu? Kyu ke Shab e Barat Allah Taala ki bay shumar rehmato barkato aur inayato ki raat hai.
Is liye 2 Rakat Salatul Hajat parh kar Allah Taala se is raat ki tamam khair o barakat maang lain. Dua karain ke Aay Allah meri ibadat ko na dekhiye balkay ap apne karam se mujhe is rrat ke tama anwar o barakaat ata farma dijiye, main deseve nahi karta tab bhi.
Ye rakat bhi aam nafil ki tarha hain bas is kay baad Dua e Hajat parhi jati hai.
Dua e Hajat aur Salatul Hajat ka mukammal tarika yahan parh saktay hain
Is tarha koshish karain ke Isha tak ibadat main masroof rahain.
After Isha – 6 Rakat Namaz e Tahajjud
Uske baad Isha ki namaz ba jamat parh lain.
Isha ki namaz main Witr se pehle 6 rakat tahajjud ki niyat se parh lain. Tahajjud ki namaz sab se afzal nafli namaz hai aur is raat main isko zarur parhna chahye.
Lekin agar apko dar ho kay aap raat ko Tahajjud ke time nahi uth paengay to Isha mian Witr se pehle hi Tahajjud parh lain.
Lekin ziada afzal yehi hai ke raat ke akhri hissay main uthay yani Fajar ka waqt shuru honay se pehle aur Tahajjud ada karain.
Is namaz main bhi koi khaas Soorat tilawat nahi karni balkay jo yaad ho.
Tahajjud ki namaz ka mukamaal tarika (English and Urdu)
Raat Main 4 Rakat Salatul Tasbeeh
Salatul Tasbeeh bhi aik bohat mubarak nafli namaz hai jo is raat main ada ki ja sakti hai
Salatul Tasbeeh mukammal tarika ye hai.
Quran e Paak Ki Tilawat
Nawafil ke alawa Shab e Barat main Quran e Kareem ki kuch tilawat bhi zarur karni chahye. Is se Allah Taala ki khaas rehmat mutawajjay hoti hai.
Kisi bhi surat ki tilawat ki ja sakti hai lekin apki asani ke liye mera mashwara ye hai.
- Baad maghrib Surah Waqyah ki tilawat kar lain
- Baad Isha Surah Mulk ki tilawat karlain
- Raat main Surah Yaseen ki tilawat kar lain
Iske alawa chaltay phirtay Surah ikhlaas, falaq, aur naas parhtay rahain.
Zikrullah Aur Dua
Shab e Barat Dua ki raat hai is liye khhob dil laga kar dua mangay.
Lekin dua se pehle kuch dair Allah ka zikr kar lain. Mera mashwara ye hai
- 1 tasbeeh La Ilaha Ilallah ki parh lain
- 1 tasbeeh Durood Sharif
- 1 tasbeeh Astaghfar
- 1 martaba Syed ul Astaghfar
Uske baad apni zaban main jo dua chahay mangain. Ro Ro kar apne malik se faryad karain aur apni har dunyavi aur akhirat ki zarurat maang lain.
Aur mujhe bhi dua main rakhain.
Nawafil Esal e Sawab Kar Dain
Shab e Barat main ap jo bhi nawafil ada karain, duain mangay, zikr o azkar karain, ya tilawat e quran e paak karain, akhir main uska sawab apnay marhoomeen ko pehncha dain.
Isko esal e sawab kehtay hain aur ye karna nafil ibadat main ja’iz hai.
Iska asan sa tarika ye hai ke bas Allah Taala se ye kahain.
“Ya Allah apne jo bhi nawafil, tilawat , aur zikrullah ki tofeeq mujhay ata farmaee usko apni bargah main qubool farma lay aur is main jo kami kotahi ho gaee usko muaaf farma day.
Apne fazal se mujhe iska pura pura ajar ata farmayye. Aur meri taraf se is ko Rasoolullah ﷺ ko hadyatan pohncha dain. Aur tamam marhoomeen khususan mere waldain, [or jo bhi dost rishtay daar is dunya se chalay gae] unko iska sawab piohncha dijiye aur mere sawab main se bhi kami na farmayye.”
Lijiye esal e sawab ho gya, insha Allah.